Tum Na Rahe

1 0 0
                                    

Ke jaise saara khoon beh jaaye,
Gham ke andeshe mein surur rah jaye,
Jaise guzishta daur ki hastiyan,
Jaise kaghaz ki wo kashtiyan,

Ab tera mera pehle jaisa rabta nahi,
Likhien thay khat bhi,
Par khidki khule mein tera fakhta nahi,
Behjou apni dil ki batein tujhko kaise,
Tu mere dil mein to,
Samna chahta hi nahi,

Tu mera aks hai,
Mein tujhko kaise yaad na karun,
Tu har moti se bhi zada keemti,
Kesse tere pass na rahou,

Ghamkhar, han apni gazlou par,
Tere bad tere jaisa koi na milla,
Jab tuj se hi na thay mubtalah
Kal kia hi kissi aur se koi gillah,

Kuch tou bas tuj mei hi tha mukhtalif,
Meri khushi mei tu hi na thi mushtamil,
Gham mei to tujko bulana chahta nahi,
Aur aj tum dil ke bhi qareeb na rahi,

Ab zehan par khayalat ka ahsas toote, Mere upar sawalat ka pahar choote, Poochte hain ke kya,
Wo tujhko chhor kar gaye,
Main kehta hoon ke baqi hai ik janam, Abhi uske chhor ke mujhko jaane mein,

Kalam na torou,
Apna dil torou khamoshi mein,
Apne ap se bhi koi kasam na rakh saka,
To tere wadou ko kesse pora karou,

Iss dur mei bhi koi na lafz mere bikne,
Apni hosh nahi bas kare tumhari fikren
Kho gaya apne hi alfaz mei,
Tere intezaar mei,
Mukhtasir han aaj bhi ik hi jawab ke,
Tukre bikhr gaye aashnai ke bazar mei,

Laa parwahi ka maizar hi nahi milta, Tere bina main kisi se nahi milta

Wapasi ke raastoon par bhi tanhai ha, Mere haath mein ho haath tera,
Chal le kuch kadam mere saath bhi,

Kesse khush rakhou,
Us ko jis ko paya na thaa,
Kesse khush rahou,
Us ne dil par jab sajhaya na thaa,

Kia ha khushi,
Jab apnay ap ko tu ne lautaya na thaa,
Kia thee khushi,
Jab koi meetha jhoot tune pillaya na tha

آوازِ قلمWhere stories live. Discover now