Aj Ki Taza Khabar

3 0 0
                                    

Rooh posh,
Apna kirdar saja kar nibhata hou roz,
Kahin ghaflat-e-dil ki na ho jaye kafalat,
Jahalat mei qazi hou, razi hou,
Mazi mei, kafiou ka mesiah haal hi mei,

Shair hou, kaahir hou, wasela hou,
Dard ka mein ban ke rukawat,
Banawat mei jalte yahan khoon ke Peyasay, ke bande na dikhte, baramad Han laashian,

Ha suli par charhe hoay hafiz-e-deen,
Idhr Nifaz-e-ummat ke hamshakal teen,
Inko aadmi nahi, ham kahte darenday,
Iss mulk ki fizah mei,
Urte dare parenday,

Zeheni-eytaraf bas rab ha janta, ke ab,
Mushkil kashao ka bhi dil nahi manta,
Ye tehre assar han, insaani jihad kay,
Ke tuuti takhtiyon par ha lahu bahaiya,

Mere noor-e-kalam par zawal kiyn aya,
Maqbara ke pathron par karta mei Shairi, zinda nahi ha tu maut ke kabil,
Ik wahi ha nazil, aur wahin ha lazim,

Tu bhi jayega kabr mei tarapte way,
Ye wada ha waqt ka,
Ke na koi waqt ha raha
Kabhi, sudhurne mein,

Ha na raasta raceed, yahan firke Mazeed, sab han apne mureed,
Phir bhi bantou umeed,
Ke waqif na ho jaye khuda iss jahan say,
Jahan katil ha phirta rab ke mizar mei,
Aur mulzim ka phada,
mustahiq ke haath mei,

Dilchuspi say parhta subah ki akhbar,
Koi na khokli tahreer,
Sirif zulmoun ka toot ra pahar,

Kabhi iss mudat mei likh na paio,
Tou kabhu karou apni sooch ka izhaar,
Har shaqs mei har lamhe ki badunwani
Ye ik khel ha, siyasat dano ka shikar,

Sab mulk say farar, koi na kare intezar, lafzou mei gubar, idhr dil han beqarar,
Beqasoor ki ankhon mei hi bebasi,
Haqdar bhi ho chukken han ghumwar,

Kher, Jaane do na,
Mujhe a kar jhootay bahanay do na,
Mujhe kia fikr, ke koi darbadar,
Na kar sar mei dard,
Bas khuda say dar, rakh seedhi kamar,
Kia hi milni masle ki jarh,
Jab jeena idhr maut par, khof par,
Tera koi na ghar, apni qismat se larh,
Kahien ja kar mar, tujhe kia asar,
Ye dunya ha meri jaannagar,

آوازِ قلمDonde viven las historias. Descúbrelo ahora