Muntazir

2 0 0
                                    

Aio na,
Ke guzr gaye lamhe intezar mei,
Sawera bhi dhal gaya, muntazir
Rat ke mukhtasir se dhalte mizaj mei,

Aion ga,
Mein lene araha teri khabar,
Tou mur ke dekh le meri taraf,
Na tu aya na hi teri koi kasam,

Chalte chalte ye kahan a gaye,
Fursat mei bhi na hoa khatam safar,
Tou furqat mei dheeme,
Rakhiyega apni nazar,

Mein wadou ka pakka,
Ye tu bhi tou janta,
Mein ehd-e-wafa ke putlou ko manta,

Mein adam beizar hou apne aap se,
Mein khooni hou apna, apne haat se,
Jaane kab hoye gay kam,
Iss dunya ke gham,
Jane kab dhoondu tujko apne aap mei,

Mein tou houn hi sab se munfarid,
Par ap janab, ap thee kafi mukhtalif,
tu kafiye rateeb, kay beech ki umeed,
tu charkhay massawi par akeela raheed

Kiyn na ban jaio mei ik acha likhari,
Kiyn na beech ke sakoon,
Mein bhi kar lou kamiye,

Aio na,
Ke guzr gaye lamhe intezar mei,
Sawera bhi dhal gaya, muntazir
Rat ke mukhtasir se dhalte mizaj mei,

Aion ga,
Mein lene araha teri khabar,
Tou mur ke dekh le meri taraf,
Na tu aya na hi teri koi kasam,

آوازِ قلمWhere stories live. Discover now