Qaim ik faasala,
Tu ha kidhr, mujhe ye bata,
Tere deedar mein bhi a khara,
Dast-e-saqqi ko apna haath barha,Kuch dil, behtar thee na toote huye,
Kuch din, tukre sametatay bikhar gaye,
Kuch log, aaj bhi tera shumar karien,
Kuch saal ham bhi na thee bhula sakienBadalte mousamou mein,
Bas ham thee mustakil,
Zamana hoa tabdeel,
Par jo na hoa wo mera dil,Ye mera dil ha,
Par bedili ka hissab hi nahi,
Mei likhari hou ratou ke sajdoun ka,
Tujje meri likhai ka koi lehaaz hi nahi,Chahay koi bemaqsad roy-e,
Kon ha jiske khwaboun mein tu soy-e,
Khamoshiyan, Sargoshiyan,
Gamgheen han ratien,
Sawera bhi tujsa, jo laut ke na aiy-e,Tanhai ke alam mei toota sitara,
Jo tukro mei bat kar ansu sajata,
Mein itna ajeeb kiyn,
Wo poochta khuda se,
Wo sab se akeela, wo sab se juda ha,Par phir bhi, mayusi ka duur ha,
Pehchan tou sahi, ke wo kon ha,
Ab kia hi kahou tere zawal pay,
Jawab nahi koi, kissi sawal ke,Andha hou, mujhe jhoot nahi dikhte,
Behrha thaa, Ke tere wade nahi sunte,
Hasil nahasil kuch jazabah-rakabat mei,
Dunya ha arzi, guzar de murawat mei,Lay gayi na dil, tu de gayi na dhouka,
Par apni thii galti ke dia thaa mauka,
Tu zalim nahi, bas hamdard thii us ki,
Tu meri nahi, mein tere raste ka kanta,Khud se aajiz bhi hou,
Ye dukh kissi se nahi banta,
Dia dard jo, wessa gham hi nahi ha,
Kuch tou kar,
Kia pheli afsurdagi kam hi nahi ha,Tu chalti chali,
Sheher ke us kone mei khari,
Ab dekhien na murr ke peechay kahin,
Ye dil akhir kar itna bhi mazboot nahi,
YOU ARE READING
آوازِ قلم
PoetryAb bhi likhou apne dil se, us ke dil ke lie, par wo kho gaye in afsanou mei kahien