6 Bajje

4 0 0
                                    

Soya Sara sheher,
Aur ye kalam chalti chale,
Mei likhne behta hou gham apne,
Kiyn ke dil ki haweli mei rat na dhalle,

Zakham bhi lagay,
Khaien han dhoke har jaggay,
Par ham thee bas tere hi saggay,
Par ham thee bas tujh say hi jurray,

Wapis bhi a gayi,
Tuj ko hasil ab kia nahi,
Aj wo behthi thii saath mein,
Par kia wo saath hi thii mere,

Chand ratien bin tere,
Chand wade bin kahe,
Dil behlane mei laggi,
Tumhe mera ehsaas nahi,

Jo duur thee sab say sab seh ke,
Samandar kinare jo rahte,
Ye lahren han zalim, oh galib tu kahde,
Tum doobte ho in mei ham behtay,

Wo barish mei beeghte, ham behte,
Be zabaan thee samne jab kah ke,
A ja tu wapis, bas ik bar wo kah dien,
Ansu lahu, har zakham bhi seh lain,

Rasta na badle,
Ham barsat ke bad ki han nehren,
Tum hi tou mere afkar ko sunay wale,
Ab iss cherhay par a kar ho behray,

Khuli jo ankh, tou ansu bahana thaa,
Tujj se tou milne ka koi na bahana thaa,
Mei, tum aur sheher ki ye khamooshi,
Iss sanate mei tum ab na rahe,

Jaise ho kaaghaz, lafz na rahe,
Jaise makan, jisme nafs na rahe,
Jaise ho tala almari ke khali sundooq ka
Jaise ho aadmi,
Jo apne ghar say hamesha hi durr raha,

Soya Sara sheher,
Aur ye kalam chalti chale,
Mei likhne behta hou gham apne,
Kiyn ke dil ki haweli mei rat na dhalle,

Zakham bhi lagay,
Khaien han dhoke har jaggay,
Par ham thee bas tere hi saggay,
Par ham thee bas tujh say hi jurray,

آوازِ قلمWhere stories live. Discover now