Afsurdigi

2 0 0
                                    

Ik Toofan ka amad raha mustaqil,
Na tham saka, na he thehr gaya,

Jab tere bare malal rahe muntafiq,
Ab kar behta dil ko, apne sooch se mei muntaqil,

Awazar, wafadar, aj bhi intezar mei raha mullaqat ka ik mukhtasir,

Ye he dar thaa,
Ke millen rasaten par tu na mille kabhi,
Aj yad tere aye, par tu tou aye he nahi,

Be sabab si ha afsurdigi,
Dekh kia kah rahe wo tuj se he,
Be khudi mei, be aqal si ye be qarari,
Gumshuda sa thaa, bas zindagi guzari,

Subah subah koi dastak de,
Bahir khare ye log apnay,
Kahou kia ab in sab se,
Ya karou kia ab iss waqt mei,
Ya larou kia ab kismat se,
Ke thii kia himat kis mard mei,

Chasm-e-nam ye kitabien kholi,
Parhne ke lie nahi chaiye koi boli,
Dhoondta phirou suroor har sham ko,
mille na in pannou mei koi kahani,

Chhupta phirou apnou se he
Iss zamane mei koi apna he nahi,
Tum se hi thii, kash apna he lete,
Q kay Tuj mei theen dikhe, apnay he,

آوازِ قلمOnde histórias criam vida. Descubra agora