Zindagi Se Maut Tak

3 0 0
                                    

Bat kah di, hunar-e-Mehdi,
Mujhe urne de, ham barson ke qaidi,

Mujhe na kar band,
iss duniya ke kaid mei,
Mujhe jane de na,
Mujhe chhor sakoon mei,

Ghar se mei duur,
Mere karze mei jhool,
Mera aks magroor,
Mera waqt majboor,

Nazreen, tashreef lai-ye,
Meri ghazlon mei apne ap ko pai-ye,
Mere Geeton ka mushaira banai-ye,
Lafzou mei daaira, kabhi tou tu bahir a,

Hazreen, mohlaiza far-miye,
Mere dil ki dahleez ki dastak par aie-ye,
Mushahideen, zara thahir sa ja-ye,
Mujhe apne hi dil ka rang sataye,

Mei apni zanjeeron ko chupata hi ja ra,
Mei apne maazi ki lakeeren mita raha,

Mei ap ke muqadamon,
ko khud jhutla ra,
Mei zulm o sitam pe,
Aj Juaa laga raha,

Mei tou zan ka mureed,
Mei bas rakhta umeed,
Mujhe nafrat hai khookle kirdaron se,
Nahi milna sakoon tuje apne pyaro mei,
Nahi milna khuda ap ko darbaron mei,

Nazreen, tashreef lai-ye,
Meri ghazlon mei apne ap ko pai-ye,
Mere Geeton ka mushaira banai-ye,
Lafzou mei daaira, kabhi tou tu bahir a,

Hazreen, mohlaiza far-miye,
Mere dil ki dahleez ki dastak par aie-ye,
Mushahideen, zara thahir sa ja-ye,
Mujhe apne hi dil ka rang sataye,

Mujhe mere galtian bhi na sikhaien,
Mujhe zindagi jeene ka dhang na aye,
Mujhe gherou ki kashtiyan,
Kinaro par dubaye,

Mujhe rat ke andhere mei khof daraye,
Mujhe apne shitanou ki sooch rulaye,
Mujhe apne khiyalou ka gham chirhaye
Mujhe apni hi zilat ka boj sulaye,

Nazreen, tashreef lai-ye,
Meri ghazlon mei apne ap ko pai-ye,
Mere Geeton ka mushaira banai-ye,
Lafzou mei daaira, kabhi tou tu bahir a,

Hazreen, mohlaiza far-miye,
Mere dil ki dahleez ki dastak par aie-ye,
Mushahideen, zara thahir sa ja-ye,
Mujhe apne hi dil ka rang sataye,

Mei kainat pori ke kam karou,
Mei doobte tinke ka sahara banou,
Mei apne se upar ap ko rakhou,
Mei apka sooch kar ghar se chalou,

Tou phir, mujhe na kar band,
iss duniya ke kaid mei,
Mujhe jane de na,
Mujhe chhor sakoon mei,






.

آوازِ قلمOnde histórias criam vida. Descubra agora