Inlie directly went home and picked up her dad for the doctor appointment. But she hid that she also had the appointment. "Beta kuch nai hua hai mujhe sab normal hai" Imlie's Dad Satyaji said.
"Na aaje javuj padse(You have to go)" Imlie said. Forgot to tell you Imlie is gujrati and Aryan is Punjabi and so is Vishva.
"Beta chinta nai kar (Beta dont worry about me)" Satya replied
"Am not worried i know you are fine because this is just regular check up. Ab chup bethoge aap" Imlie scolded her dad. Their relationship was such, they were friends more than father-daughter.(I will be writing everything in hindi, because this story is such that the emotions are better felt with hindi)
Dr. Saini ke office mein enter hoke wait karne lage. "Mr. Shah please aap andar jaye" Receptionist ne kaha. Imlie and Satyaji andar gaye aur bethe.
"Hi Bete , Namaste Satyaji Kaise hai aap?" Dr saini ne pucha.
"Bus dekho hum thik hai ye jabardasti leke aai hai" Shikayat karte hue Imlie ke dad bol pade.
"Are betiyaan hoti hi aise hai. Mujhse pucho mein to khud doctor hu phir bhi meri beti mere health ko leke itni pagal hai. Khair general check up hai. Aaaye Mr Shah" Dr Saini aur Satyaji parde ke piche leke gaye jaha unko pura check up hoga.Imlie apne phone mein timepass kar rahi thi jab use apne whats app group mein Aryan ka message aya.
Group name: Mandli
Aryan : Yaar mujhe uska naam pata lag agaya.Dil Vishu
Vishu: Beta fast hai tu
Aryan: I will try my best to woo
Imlie: 🙄Naam bata de
Aryan: Sona
Imlie: 😂Gold wala sona ya sone wala sona
Aryan : Chup re. Ab tu use dosti karegi aur mujhse tu use milwayegi
Imlie: Phut pagal hai kya tere liye aise kaam karti phiru
Aryan: Karegi tu. Meri pyari dost jo tu hai🥰
Imlie: whatever. I have to go back to my daughtet dutyImlie ne app ko band kar dia. Uske dad aur doctor wapas aa gaye the. "Beta ji, aapke dad bilkul thik hai. Bus thoda BP hai. Thoda dhyan rakhna hoga. "
"Dad aap bahar jaye mein aati hoon" Imlie ke dad to bhagna chaate the isliye bina sawal kia wo clinic se baar nikal ke wait karne lage.
"Beta meine khaas apko bulaya tha appointment ke liye. Jab aap mujhe pichli baar store mein mili thi mein kuch notice kia. Aur mujhe sach jaana hai."
"Kya Dr Uncle" Imlie nervous hone lagi jaise uski koi chori pakdi gai ho.
"Mujhe ye bataye aap, aap khane mein kya khaate ho?" Dr ne pucha
"Bus ghar pe normal roti sabzi , dal chawal vagera" Smile karke boli, but woh janti hai ye itna asaaan nai hoga.
"Beta aap wo parde ke piche jake bethe, aapke daath check karne hai" Thoda serious hoke bola."Ji" Imlie gai aur bethi . Dr ne uske muh ka check up kia aur saate vitals bhi liye.
"Chalo" Dr ne kaha imlie unke piche wapas unke samne beth gai.
"Aap ko khaane ke baat guilt feel hota hai?"
"Nai nai toh. " Nervous hoke Imlie ne kaha
"Aapke daath kuch aur keh rahe hai. Aap jaanti hai aap exactly kya karte ho. Khulke baat kijiye . Aapke dad ko hum kuch nai kahenge. Please betaji"Dr ne pyaar se pucha.Imlie ne sir jukaake kaha "Wo mein overeat kar leti hu, phir baad mein bathroom jake ulti karne ki koshish karti hu apne haath se" usnein dheemi awaz mein kaha. Imlie ko ronaa aa raha tha par roi nai. Last time woh 9th standard mein roi thi uske baad usnein jaise sab ek kone mein daba diya tha. Ek barrier bana dia tha.
"Aapka weight concern hai betaji par aap healthy way mein use deal kare. Aap jo kar rahe hai , woh ek eating disorder hai. Bulimia nervosa. "
"I know Dr" Guilt ridden Imlie ne kaha
"Beta ji, aap ko davaya likh ke deta hu. Aapko ye bandh karna hoga. Aapko ek therapist ka naam deta hu aap please unse mile unse apni baatein share kare. Kabhi kabhi physical pareshani se zyada ye mental pareshani bhari padti hai. Aap ek guilt mein ji rahi hai""Uncle Mujhe jaana hoga, meri coaching class hai 15 minute mein dad ko bhi drop karna hai"
"Hmm" Dr jante the Imlie waha se bhaagna chati thi
"Dr Banerjee naam hai. Rutuja Banerjee. Aapko thik lage toh"
"Dad ko is baare mein please mat batana mein dhyan rakhungi" Imlie ko embarassed feel ho raha tha. Wo bus waha se jana chaathi thi.Woh bhagte baar aayi aur uske dad ko leke chali gai.
Dusri taraf, Aryan apne ghare mein phone mein Sona ki Insta profile check kar raha tha. Usnein ek pic dekha jismein gym dikh raha tha. Same gym jaha wo khud roj jata tha. Uske chehre pe ek muskaan aa gayi.
YOU ARE READING
Yaarana
RomancePyaar dosti hai? Hey guys am back but not sure if i want to write on imlie and aryan i mean i can use the names but u guys tell me?