Pallavi: Maharaj hum aapse kuch baat karna chahte.
Atharv: Aavashya boliye.
Pallavi: Woh hum soch rahe the ki aapko nahi lagta hai ki humari putri Muskan ka vivah karwa dena chahiye.
Atharv: Haa. Lagta toh hai lekin hum uske iccha jaane bina uska vivah ke baare mein baat kare.
Pallavi: Hum ek baar usse puchenge ki woh kya chahti hai.
Atharv: thik hai. Agar uska iccha hai ki hum uske liye var dhundh woh bhi thik hai aur agar woh apne iccha anusar var chune toh hum apni putri ka Swayamvar rakhenge.
Pallavi: thik hai
Evening
Pallavi: Putri..
Muskan: Mata aap yaha?? Kuch karya tha?? Firse Shree ne kuch kiya kya??
Pallavi: Nahi Putri. Shree ne kuch nahi kiya hai. Woh mai tumse tumhare vivah ke baare mein baat karne aayi huMuskan: Vivah!?
Pallavi: Mai keval itna puchne aayi hu ki tum kya chahti ho tumhara vivah ke liye var hum dekhe ki tum koi pasand ho ya fir tum shyam apne liye var dekhna chahti ho arthaat Swayamvar chahti ho.
Muskan: Mata mai kisi ko pasand nhi karti hu. Aur vivah mujhe karna hai isliye mai chahti hu mai shyam apna var chunu. Toh mai Swayamvar chahti hu. Aage aap log ko jo thik lage.
Pallavi: Agar meri Putri yahi chahti hai toh yahi hoga. Tumhara Swayamvar.
Shree: arthaat jiji ka vivah hone wala hai.
Night
Pallavi: Maharaj humne Muskan se baat kiya woh chahti hai ki uska Swayamvar ho.
Atharv: Thik hai yadi uski yahi iccha hai toh yahi sahi.
Pallavi: Kya hua Maharaj aap thik haina??Atharv: Haa. Hum thik hai priye. Hum soch rahe the ki Muskan ka vivah mere mitr ke putr ke saath ho. Kintu uska iccha hai uska Swayamvar ho. Kintu koi baat nahi.
Pallavi: Maharaj keval iss baat ko lekar aap chintit the. Mere paas iska hal hai. Aap unhe Muskan ke Swayamvar mein bhag lene ke liye patr likh sakte hai.
Atharv: yeh sahi kaha aapne priye. Hum yeh bhul hi gaye the. Dhanyawad priye.
Pallavi: Kintu woh kon jiska vivah aap humari putri Muskan ke sath karwana chahte the.
Atharv: Ayodhya ke Raja Maharaj Veer ke bade putr Rajkumar Dev.
YOU ARE READING
MadhiShree (On hold)
FanfictionSabse bada hai prem jagat mai prem sa na kuch duja, Prem savam ishwar ka roop hai prem hi sachii puja, Prem sada nirmal jaise behti nadi ki dhara, Prem ki pavanta k agey nadmastak hai jaag sara