Madhav: Mai karunga Rajkumari se vivah.
Shree: Rajkumar Madhav hum nahi chahte hai ki aap humse apne iccha virudh yeh vivah kare.
Madhav: Yadi humne aapse vivah nahi kiye toh kadachit woh mere iccha ke virrudh hoga.
Shree: Kya?? Kintu jab humne bataya ki hum aapse prem karte hai toh aapne kuch kaha nahi.
Madhav: Isliye kyuki hum chahte the ki aap yah baat sabke samaksh kahe. Jo aapne kahdiya.
Shree see everyone expression. Everyone was smirking. Shree was shy.
Shree: hum abhi aate hai.
Mahi: hmm... toh sayad koi kah raha tha ki woh Madhav se prem nahi karti??
Shree: Accha... bare aaschariye ki baat hai ki woh vyakti Madhav se prem nahi karti. Woh toh kitne acche hai.
Mahi: accha ji...
both laugh
Mahi: Toh kab hoga Meri sakhi ka vivah??
Veer: Kal ka din shubh hai. Kal Ekadashi hai arthath Vasudev Shree Krishna aur Rani Rukmini ka vivah huya.
Mahi: Ucchit hai. Usse shubh din aur kya ho sakta hai. Toh Kakashree, Kaki ab aap nahi jaa rahe hai kyuki vivah ka saare riti-riwaas yahi hoga. Haina Mata??
Gauri: Haa Putri. Bilkul ucchit kaha tumne.
Atharv: Kintu...
Veer: Kintu Parantu kuch nahi mitr.
Mahi and Shree was talking and laughing.
Madhav: Mahi... Mujhe kuch baat karni hai tumse
Mahi: Haa boliye Aarya
Madhav: Ekaant mein.
Shree: Mahi mai na Muskan jiji se milkar aati hu.
Mahi: thik hai.
Madhav: Mahi tum mujhse krodhit ya rusht nahi hona??
Mahi: hum bhala aapse Krodhit aur rusht kyu hoyenge??
Madhav: Kyuki maine nahi bataya ki...
Mahi: Ki aap meri sakhi se prem karte hai.
Madhav: Hmmm.
Mahi: Kya aapko mai dukhi dikh rahi hu. Nahi na. Aapko pata hai Shree Krishna ki kitni ardhargini thi?
Madhav: Haa. 16108 ardhargini thi.
Mahi: Hmmm. Aur 16108 jismein se 8 ardharginiyo ko Ashtbarya ke naam se jaana jaata hai. Aur Ashtbharya mein se sabse jyaada kisi ka naam aata hai Shree Krishna ki patni ki roop mein woh Rukmini. Rukmini Mahalaksmi ka avatar thi. Lekin jab bhi prem aur premika ke roop baare mein baat kiya jaata toh sahdev RadhaKrishna ko jaana jaata. Radha bhi MahaLaksmi ki avatar thi. Dono prem ki devi thi. Dono ke jeevan mein keval Krishna hi Krishna ka naam tha. Woh dono alag nahi apitu ek thi. Vaise hi mai aur Shree ek hai. Aapse prem karte. *
Mahi: Kya hua aap aise kyu dekh rahe hai
Madhav: Soch raha hu ki wahi Mahi hai jo ek samah bohat natkhat thi.
Mahi: Acchaaa. Mai aur Natkhat?? Wah Adbhut nathkhat mai nahi aap hai. ab aap vishram kar lijiye kal aapka vivah hai.
*-This line idea is given by Radha di varia1291
YOU ARE READING
MadhiShree (On hold)
FanfictionSabse bada hai prem jagat mai prem sa na kuch duja, Prem savam ishwar ka roop hai prem hi sachii puja, Prem sada nirmal jaise behti nadi ki dhara, Prem ki pavanta k agey nadmastak hai jaag sara