After few days.
Mahi: Shree mai thori der ke liye bhraman karne jaa rahi hu.
Shree: Thik hai kintu shrig aana aur kuch sanik ko saath lekar jaana.
Mahi: Shree mai yahi par bhraman karne ke liye jaa rahi hu. Ismein sanik ko le jaane ke liye kya aavashyakta hai.
Shree: Nahi phir bhi. Tum akele nahi jaaogi.
Mahi: Shree kya hua tumhe. Tum thik hona??
Shree: Haa mai thik hu. Kintu tum apne saath sanik ko lekar jao ya phir mujhe vachan do ki tum swa rachit wapis aaogi.
Mahi: Yeh kaisi baat kar rahi ho Shree. Avashya mai wapis aaungi. Kintu tumhari mann ko shaant karne ke liye mai tumhe vachan deti hu ki mai aavashya aaungi.
Shree: Thik hai.
After 2-3 hours
Muskan: Shree tumne Mahi ko dekha hai kya??
Shree: Nahi. Bus ek baar aayi thi ki woh mahal se bahar bhraman karne jaa rahi hai. Kintu ab tak toh aagayi hogi. Kadachit apne kaksh mein hogi.
Muskan: Nahi. Maine dekha woh waha nahi hai.
Shree: KYA?? Toh kaha hai woh?? Humlog mahal mein dhundhate hai.
Muskan: Woh mahal mein bhi kahi nahi hai.
Shree: Kya?? Hey Narayan kaha hogi Mahi. Mera mann bohat vichlit ho raha hai.
Madhav: Arey bhabhi aap yaha. Shree kya hua tum chintit kyu ho??
Shree: Vo.. vo.. Mahi...
Madhav: Kya hua Shree?? Kya hua Mahi?
Shree: Voo. Voo Mahi mahal mein kahi nahi hai.
Madhav: Ismein chintit ki kya baat hai Shree?? Mahi kadachit bhraman karne gayi hogi.
Shree: Mahi ko bhraman par gaye huye bohat samah ho chuka hai. Ab tak usse Mahal laut aana chahiye tha. Kintu woh abhi tak nahi aayi.
Dev: Madhav mujhe lagta hai hume samast sena ke saath Mahi ko dhundhna chahiye.
Shree: Haa bhrata aap uchit kah rahe hai aap samast sena ke saath Mahi ko dhundhiye.
Madhav: Nahi. Yadi samast sena ke saath hum puri Ayodhya dhundhenge bohat samah lag jaayega. Thore thore sanik Ayodhya ke saare taraf dekhenge.
Dev: Thik hai mai abhi issi waqt jaata hu.
Madhav: Mai bhi aata hu.
Dev: Nahi tumhe yahi rehna chahiye.
Madhav: Nahi bhrata meri Mahi meri adhargini mera prem mere saath nahi hai mai chhup chhap yaha baith nahi sakta hai..
YOU ARE READING
MadhiShree (On hold)
FanfictionSabse bada hai prem jagat mai prem sa na kuch duja, Prem savam ishwar ka roop hai prem hi sachii puja, Prem sada nirmal jaise behti nadi ki dhara, Prem ki pavanta k agey nadmastak hai jaag sara