30

684 19 0
                                    

After Noor insisted a lot, Ramsha finally opened her room door and Noor went inside. Her eyes were swollen and all red. The room was a whole mess.

Noor's eyes ran in the whole room and finally landed again on Ramsha's eyes who was simply watching Noor taking a view of the room. Their eyes met and Ramsha quickly took off her eyes.

Noor- Tum ro kyun rahi ho? Kya hua hai Ramsha mujhe batao?

Ramsha- Kuch nahi bass ammi ki yaad aa rahi thi.

Noor- Aisa to nahi hai. Mujhse bhi jhut bologi ab? Kyuki jab bhi tumhe phupo ki yadd aati hai tum unki photo dekhti ho naa ki apne kamre ka aisa haal karti ho.

Ramsha- Aisa kuch nahi hai Noor. Kal tum wapas Canada chale jaogi na. Jao khana khao aur araam karo.

Noor- Mai kahin nahi jaungi jab tak tum mujhe sab sach sach nahi bataogi. Janti hu tumhe gussa aa raha tha aurr firr tumhara gussa aasuon mein tabdeel hogaya.

Hearing Noor's words, Ramsha burst out in tears.

Ramsha- Kya mai itni bhi buri hu Noor?

Noor- Aisa kyun soch rahi ho tum?

Ramsha- Tumhe pata hai tum kitni khushnaseeb ho!

Noor- Maine tumse kuch poocha na..

Ramsha- Tumhare pass Umair jaisa bhai hai, Almeer jaisa shouhar hai, Uzma aunty aur Rasheed uncle jaise saas-sasur hain.

Noor- Umair bhai tumhare bhi to bhai hai na.

Ramsha- Tum to janti ho ki mere mann mein Umair ke liye kya hai aur ab to Ahad mamu bhi mera aur Umair ka niqah karwana chahte hain. Lekin Umair ki nazron mein mai kisi kaabil nahi hu aur uski biwi banne ke liye mai pahad bhi tod du to bhi kam hai.

Noor- Umair bhai itne bhi patthar dil nahi hain jitna tum unhe soch rahi ho..

Ramsha- Iss duniya mein to ab mujhe ek yateem ka darja mil gaya hai na. Iss yateem ka ab koun hai aur koi banna bhi nahi chahega.

Noor- Tumhein andaza bhi nahi hai kitne log tumhare peeche tumhari chahat mein pagal honge.

Ramsha- Mann behlaane ke liye baatein na banao..

Noor- Baatein nahi bana rahi hu. Tumne Umair bhai ke alawa kabhi kisi ko dekha hi nahi.

Ramsha- Aurr Umair ne mere alawa sab ko dekh liya.

Noor- Umair  bhai ke peeche naa padi raho. Apni zindagi mein aage badho abhi to tumhe padhna hai self dependent banna hai.

Ramsha- Kya Umair kabhi mujhe ek mouka bhi nahi dena chahenge?

Noor- Dekho Ramsha tumhe pata hai ki mai sab saaf saaf batati hu. Bura mat maan na lekin tumne Umair bhai ki nazro mein khud hi apni izzat girayi hai.

Ramsha- Maine kya kiya hai?

Noor- Tum hamesha mujhse nafrat karti rahi. Umair bhai ko wo log bilkul nahi pasand jo mujhse nafrat karte hai. Tumne ek bar mujhe maarne ki koshish ki thi wo to bhai kabhi nahi bhul payenge.

Ramsha- Mujhe apni galti ka ehsaas hai Noor.

Noor- Tumhe pata hai izzat rooh ki tarah hoti hai. Ek bar chali jaati hai to kabhi wapas nahi aati.

Ramsha- Tum mujhe manane aayi ho yaa aur bhi zyada bujhaane?

Noor- Maine tumhe shuru me hi boli thi bura mat maan na mai sach bata rahi hu. Dekho Ramsha, kuch bhi hojaye khaane se kya dushmani hai?

Ramsha- Hmm Ameena Bi se keh do mere liye kamre me hi laa do.

Noor- Han mai tumhara khaana bhejwa deti hu.

Noor left the room. She didn't wanted to hurt Ramsha but still she can't lie. Truth is truth, no matter how hard is it to believe it. Noor reached the dining table and saw Almeer and Umair waiting for her.

Umair- Kya hua Ramsha nahi aayi?

Noor- Nahi.. Ameena bi aap uska khaana uske kamre mein pohcha dein.

Almeer- Kya hua?

Noor- Kuch nahii wo bass aise hi kuch bhi hojata hai use. Aap dono toh behtar jante hain usey. Chalein Bisimillah karein. (started serving)

Almeer- Tayari hogayi hai Noor?

Noor- Han bass khana khaa kar nikalte hain ham.

Umair- Firr kab aaoge Pakistan wapas?

Almeer- Kamyab hokar In sha allah.

They ate their meal peacefully talking to each other. After dinner, they left the home and reached Shah House.

Shahs were planning for Zoha's niqah as engagement is done. Uzma, Rasheed, Almeer and Noor were discussing about marriage date and Zoha was busy in her office work.

Almeer- Baba hamari chhutiyan lagengi tab hi to ham Canada se wapis Pakistan aa payenge agli bar.. Waise hi abhi 1 hafte ka loss hogaya hai.

Rasheed- Han beta jaanta hu.. Abhi to tum be fikar hokar jao aur apni padhai pe dihaan do.

Uzma- Beta 10 baj gaye hain. Tum dono thode der aaram karlo mai 1.30 baje utha dungi.

Noor- Aap pareshan na hona mama. Mai alarm laga dungi. Ready hokar mai aapko utha dungi agar aap kaho to.

Uzma- Masha Allah. Chalo ab tum aaram karo.

Noor- Jii

They went to their room. Noor was doing her quick night skin care. Almeer was lying in bed scrolling through Instagram reels.

Noor throwed a pillow towards him.

Almeer- Kya hua hai bhyii kyu maar rhi ho?

Noor- Sojao chup chap.

Almeer- Arre yaar ab toh padhai likhai parr hi lag jana hai aakhri din hai aaj sakoon ka

Noor snatched his phone and kept it aside. She switched off the lights and lied on the bed.
Almeer slighlty reached towards her and wrapped his arms around her waist. Noor was lying quietly, all red.

Almeer took her hands and kept on his shoulder.

They slept in the most comfort position.

                                                                                 ******************************









Bachpan (COMPLETED)Where stories live. Discover now