POEM-12 SAAHAS

94 19 6
                                    

Ye zid hai jeetne ki jo mujhe na thamne degi!
Ye zid hai fir se uthne ki jo mujhe na bikharne degi!
Ho kaafila sath mere ya rahu me tanha...
Rahunga me wo raahi jo kabhi na thama...
Hai himmat to is jazbe ko rok ke dikha!
Un aankho ko jinme jalti hai wo shikha...
Hai haunsla is dil me jo kabhi na hua riha...
Me aag hu..agar hai himmat to mujhe bujha!
Agar Tu hai chattaan..
To me paani bhi kisi se kam nahi!
Weh jal jo sheetal hai...
Par usme hai ek raudra roop chhipa!
Bahut din hue ab tu mujhe rok nahi sakta...
Pravaah ab prachand hoga...
Dum hai to ise rok ke dikha!
Hai shakti agar tujhme sammohan ki...
To me bhi kam nahi hu us mohan ka...
Tu dena chahe mujhe har laalsa..!
Par bhakti ka hi mujhe maarg dikha..!
Hai sampoorn jaise shiv-shakti,
Poorn hai meri ye srishti...
To ja.. Le ja, is sheesh mukut ko!
Aur yeh sheesha apne aap ko dikha!
Tu hoga paarangat saam daam dand bhed me...
Mene bhi kayi din bitaaye hai chattano ki ret me!

★✩★✩★✩★✩

Hey my dear readers! I hope you are doing fine. If you feel like few things have made you stuck in a loop, I hope this poem of mine can help you a little to light the courage and belief in yourself. It's all about the self confidence sometimes and looking into the inside of the heart.

Thank you for reading!:)

THE POETRY Where stories live. Discover now