Few Days Later.
Haya discharged from the hospital.She is now out of danger.She is taking rest in her room then Meerab enters her room with some fruit.She puts the plate on the table near to Haya.She sits on the bed and says;
"Aab kaisa lag raha hai?"
Haya smiles at her and replies;
"Much better."
Meerab takes a deep breath and says;
"Mujhe tumhari badal ti huyi rawaiye pe shak tha Haya.Mujhe laga tum shayed phir kisi sazish mein ho.Sab kuch tumhara rachai hua ek natak hai bas.Mein bhul gayi thi khuda apne bande ka fitrat aur niyat ke bare mein waqif hote hai.Wohi logo ko dil mein aur fitrat mein tabdili late hai."
"Tumne hi to kaha tha waqt har chiz se parda uthaiga.Waqt ne mere mere tabdili bhi jamane ke samne lee aaya.Aur mein kabhi bharose ke qabil the hi kaha meri harqate hi aisi thi ki Meerab tum to kiya tumhari jaga koi aur hota to woh bhi mujh pe shak hi karta.Ab apni bewokufi ka sunke khud par gussa bohot aata hai.Itni bari gunah karne jaa rahi thi mein.Shaitan ki behkave mein aake mein ek shadi shuda jure ko alag karne ki mansuba banate rahi jin ko Allah ne ek dusre se milwaya.Ek aurat hoke dusri aurat ka ghar ko tabah karna chahti thi.Mujhe to aab khauf aata hai Meerab kya Khuda mujhe maf karenge mere is harqat pe.Mein to jamane ke age kya khuda ke age bhi muh dikhane ki qabil nahi raha Meerab."
Meerab put her hands on Haya's hand and said;
"Sacche aur khulus dil se Allah se mafi mangoge to woh jaat se mafi jarur milegi.Woh Rahim aur Rahman hai Haya.Woh bhi khush hote hai jab unka banda bhatke huye raah se nikal kar sidha raste ka ikhtiyar karta ho."
"Khuda to tab maf karenge na jab unka makhlook jis ke sath bura rawaiya maine rakha woh maf karde.Bolo Meerab tum mujhe maf kar paoge?Woh baten bhula paoge jo maine tumse kaha tha?"
Meerab smiles at her.
"Maine tumhe us waqt hi maf kar diya tha Haya jab tum mere liye Rehan se lari.Apni jaan ko khaatre mein dala.Allah bhi mujhe maf karde aur meri koi baat pe agar tumhe bura laga ho to mujhe bhi maf kar dena."
Haya slightly gets up from her laying position and sits on the bed.
"Sach batau Meerab.Yeh wakiyat hone se pehle mein sirf kosish kar raha tha taki mein move on kar saku.Dil aur dimag ke jang ke bich ulajh ke reh gaya tha.Itne saal jis insaan ko dil mein jaga di use bhula kar age barna bohot mushkil tha mere liye.Use kisi aur ka hote dekhna bhi gawara nahi tha.Jab woh admi tum par humla kiya tha mein sab dekh rahi thi upar se.Pehle to ghabra gayi samaj nahi aaya kya karu.Jab woh tumhe ghasit te huye upar se niche lee jaa raha tha tab mere andar ki shaitan bara khush huwa.Mein tumse jaan churana chahti thi aur sach mein woh din aa gaya.Lekin mere andar jo jamir hai usne mujhe khush nahi hone diya.Woh mujhe bar bar batata raha yeh galat hai Haya.Kaha gayi tumhari insaniyat?Phir Meerab mere jamir ne meri insaniyat ko jaga diya.Ek aurat hoke dusre aurat ke sath yeh saluk mein seh nahi paya aur...."
"Aur tum meri khatir Rehan se lar pare."
Meerab complete the Sentence and Haya smiles at her.
"Murtasim ki jaan basti hai tum par.To aise kaise Meerab ko Murtasim se dur kar sakta hu.Murtasim ke liye tum bohot aziz ho.Murtasim ke khatir mein tumhari liye lari.Agar tumhe us din kuch ho jata to Murtasim bilkul pagal ho jata.Mujhe ehsas hai uske liye tum kitni kimti ho Meerab.Allah kare tum dono humesha sath sath raho aur khush raho.Aur mujhe phuphi banne ki khush kabri jaldi mil jai."Meerab feels shy but she laughs at her.
"Kabhi socha nahi tha Haya yeh din bhi kabhi aa sakta hai jaha hum dono ek dusre ke sath aise beithke baat karenge.Mujhe abhi bhi yakin nahi aa raha."