Part 23

292 30 15
                                    

(Hello everyone....I don't know wether you all will like this part or not but I promsie to give my best in the next part. Sorry if you don't like this part.)

Scene starts in Neirohi's room,
Neil and Aarohi were cuddling each other. Though Neil was in sleep but Aarohi's mind was filled with thoughts bith negative and positive.

Aarohi: Neil...
Neil(in sleep): Hmm..
Aarohi: Tumhe pata hain.....
Neil(in sleep): Hmm.....
Aarohi: Neil...(patting Neil's cheeks)....Neil!
Neil sat up with a jerk panting.
Neil: Ky..kya hua?
Aarohi: Tum meri baat kyun nahi sunn rahe?
Neil: Arrey so raha tha yaar Aaru....
Aarohi: Tum na sote hi raho....mujhe kuch share nahi karna tumhare saath.....
Neil(hugging Aarohi): Accha baba sorry sorry.....batao....kya bol rahi thi.
Aarohi: Neil.....what if itne saalon ke baad...Akshara waapis laut aaye Abhinav ki life mein?
Neil: Yeh tum kya keh rahi ho?
Aarohi: I know yeh baat mujhe nahi sochni chahiye lekin pata nahi kyun mujhe aisa lag raha hain ki itne saalon khushiyon ke bitane ke baad....Abhinav ka past unke paas laut aayega...aur firse Abhira aur unki life barbaad kar dega.
Neil: Aisa kuch nahi hoga Aaru.....tum bas overthink kar rahi ho...aur kuch bhi nahi. Akshara bhool chuki hain Abhinav ko....use daulat chahiye thi....fame chahiye tha aur isiliye vo chod kar chali Abhinav ko aur ab vo kabhi laut kar nahi aayegi. Accha ab so jaao....kal office bhi jaana hain mujhe.

Saying this Neil lied down hugging Aarohi.

Aarohi(in mind)(hugging Neil): I really wish ki kabhi bhi Abhinav ka past laut kar na aaye unke paas warna shayad iss baar Abhinav bikhar jaaenge aur Abhira bhi nahi samet paaegi unhe.

Next morning,
Abhinav was sitting outside in the chilly weather when Muskaan came with two cups of tea.

Muskaan: Good morning bhai jii....
Abhinav: Good morning....tu aaj itni subah subah kaise uth gayi?
Muskaan: Bas aise hi....neend khul gayi. Waise bhai jii.....aap bhi akele baithe baithe muska kyun rahe the?
Abhinav: Kal raat ko na....maine ek bohot accha sapna dekha.
Muskaan: Kaisa sapna?
Abhinav(with a smile): Maine dekha ki.....Abhir mujhse milne aaya aur mujhe gale bhi lagaya usne. Tujhe pata hain Muski....(teary eyed)....main na uska chehra nahi dekh paaya par usko gale laga kar na bohot roya. Aur na usne mujhse waada bhi kiya ki.....
Muskaan(placing her hand on Abhinav's): Bhai jii.....Abhir aur Akshara didi aapko aur Abhira ko bhool chuke hain. Tabhi toh...itne saalon mein ek baar bhi aapko call nahi kiya....ek baar bhi Goenka house se aapko milne nahi aaye...infact apne bade papa se bulwaya ki vo aapse milna nahi chahte kabhi.....aap jeeye ya mare isse unhe koi farak nahi parta. Bhai jii....aapko accept karni paregi ki Abhir......
Abhinav(with a smile)(teary eyed): Jaanta hoon Muski.....ki Abhir aur Akshara jii kabhi waapis nahi aayengi yaha....bas...kabhi kabhi aisa lagta hain ki...(pointing at the entrance)....abhi Abhir aayega muskurate hue uss jagah se mere paas.
Muskaan looked at the entrance only to find a boy in his early 20's walking towards them. He was none other than Abhir.

Muskaan: Bhai jii...yeh kaun hain?
Abhinav: Kya pata? Aane de....

Abhir came towards Abhinav and stood infront of him with a smile. Abhir'd eyes were brimming with tears but there was a happy smile on his face as he looked at Abhinav in reality after so many years.

Muskaan: Beta....tum kaun ho?
Abhir(wiping his tears)(with a smile): Jii main......

"Papa!!"

Came out Abhira screaming on top of her lungs angrily.
Abhinav: Abhira....kya hua? Tu itna chilla kyun rahi hain?
Abhira(angrily): Yeh kya hain?
Abhinav: Photo frame hain beta.....
Abhira(angrily): Vo toh mujhe bhi pata hain lekin....(turning the frame)....yeh kya hain? Aap Ms.Akshara Goenka aur unke rajkumar ke picture ke saath kya kar rahe the?
Abhinav(in mind): Ui jaa! Kal yeh photo frame waapis upar rakhna hi bhool gaya. Yeh kya kiya Abhinav?
Abhira(angrily)(teary eyed): Papa.....kya aap Abhir ko yaha waapis laana chahte ho? Kya aap usse mujhse bhi zyada pyaar karte ho?
Abhinav(cupping Abhira's face): Bilkul nahi beta....aisa kuch nahi hain.
Abhir: Haan...tum galat samajh rahi ho inhe.
Abhira(angrily): Don't you dare to interfere. Ho kaun tum? Kaun hain yeh papa?
Abhinav: Pata nahi beta....tu vo sab chod na.....tu mujhe bata....tu kyun aisa soch rahi hain?
Abhira(teary eyed)(angrily): Aap abhi bhi uss Abhir ki photo se baat karte ho jise aapki koi parwah nahi.....matlab aap Akshara Goenka aur Abhir ko..(crying)...waapis laana chahte ho?
Abhinav: Aisa kuch nahi hain beta....
Abhira(crying): Aisa hi hain......(angrily)...par aap na ek baat kaan khol kar sunn lo papa....agar kabhi Abhir aur Ms.Akshara Goenka yaha par aaye...ya iss ghar mein kadam rakha...toh main yeh ghar chod kar chali jaaungi....dekh lena aap.
Saying this Abhira went inside the house crying.
Abhinav: Abhira...beta sunn toh....Abhira.....
Abhinav went behind Abhira to convince her but they didn't knew that Abhira's outburst has fallen someone in dilemma about revelation.

Muskaan: Tum kyun yaha khade ho? Kaun ho tum? Aur yaha kya kaam hain?
Abhir(in mind): Agar inhe pata chal gaya ki main Abhir hoon toh yeh mujhe iss ghar mein toh kya...iss shaher mein bhi nahi rehne denge. Nahi nahi....main nahi jaa sakta bina papa aur Abhira ko Maa se milwaye.
Muskaan: Kaha kho gaye?
Abhir: Um..kahi nahi....mera naam Adi hain....Aditya. Maine suna tha ki....umm...(looking at To-let board).....aap room kiraye par dete hain. Main yaha apne masters complete karne aaya hoon....toh room chahiye tha.
Muskaan: Room dekhne ke liye koi itni subah subah aata hain bhala?
Abhir: Sorry bu....
Muskaan: Kya?
Abhir: Sorry aunty....main andar jaa kar apna room dekh sakta hoon please?
Muskaan: Hmm...aa jaao.....
Abhir(in mind): Bua toh full kathor bann gayi hain. Lagta hain mamu se shaadi ke baad ka side effect hain. Chalo koi nahi....(with a smile)...inhe waapis se sweet banane ki zimmedari bhi main hi utha leta hoon.
Muskaan: Arrey oo....waha khade khade nuskura kyun rahe ho? Andar aaoge? Ya poora din wahi khade rahoge?
Abhir: Aaya aunty.....
Abhir came inside the house with a smile on his face.

Scene ends.



Humdard❤️💕 (Completed)Where stories live. Discover now