"Arz kiya haii
Piche murkar dekhna chordiya hai humney
Chordiya hai dilo ke alfaaz bayan karna
Kuch waqt ke rawani mey humey badal toh diya tha
Magr mohabbat chordi hai humne
Thi ek galat fehmi ki unhe humse mohabbat hai
Magr ey toh bas thi dilon ki shararat, galat fehmi na rahe ab
Humey dekhkar woh muskurata hai toh hairat kya
Ussey toh bas adat thi dilon ki tauhin karna
Wafa par toh qaaim hai ab bhi
Magr mohabbat chor di hai humne
Di thi tasallni ey kis Dil ko
They toh mohabbat mey sirf hum hi
Nigaho mey iqrar sarey hue they
Hum unke huye,woh humara na huya kabhi..."
YOU ARE READING
The Weaving Of Words
PoetryWhen reality starts to hurt then world of books and poems saves us...