"Arz kiya hai
Kaheta toh tha mohabbat mey kurban hoker dekh
Bas jayega Ishq ki basti mey kahi
Kaheta toh tha mohabbat mey kurban hokar dekh
Ishq ke inteha par kar jayega kabhi
Kurbani ke raaste mey
Kurban huye toh sirf hum
Voh na dikha kahi
Mehfil sajaya toh usine tha
Magr apna na kaha kabhi
Zalim duniya mey mohabbat karne ka zurm toh kar liya
Ab saza kya hoga na kaha koi
Duao mey manga tha tujhko bar bar
Magr tuney na manga kabhi
Chord toh diya voh haath jo kaske pakra tha kabhi
Ankhoin ney bhi thak har kar kahediya mujhe
Rulaya na kar roya na jata abhi..."
YOU ARE READING
The Weaving Of Words
PoetryWhen reality starts to hurt then world of books and poems saves us...