Itna bhi dil na dukhao ab,
Ki tere zikr par
hum bheed me akele ho jaye.
Aur jab yaad kare khuda ko,
To dua me tujhe bhulane ke hi tarike apnaye.
Itna to koi, jisse nafrat karta hai,
Usko bhi har roz nahi todta.
Ishq karne wale ko,
jab ye nafrat ka aaiyna tum dikhate ho,
To itna bhi dil na dukhao ab,
Ki jab nadi kinare hum khud ko paye,
To likhawat me apne is gum ko sajaana bhi bhul jaye.
YOU ARE READING
Kavi Ya Kavita?
Thơ ca𝐊𝐲𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐊𝐚𝐯𝐢 𝐦𝐞 𝐚𝐢𝐬𝐚 𝐣𝐨 𝐰𝐨 𝐤𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐊𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐧𝐚 𝐛𝐚𝐧 𝐬𝐚𝐤𝐞? 𝐊𝐲𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐦𝐞 𝐚𝐢𝐬𝐚 𝐣𝐨 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐮𝐬𝐞 𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐝𝐢𝐥 𝐤𝐞 𝐤𝐚𝐫𝐞𝐞𝐛 𝐩𝐚𝐧𝐧𝐨 𝐦𝐞 𝐬𝐚𝐧𝐣𝐨 𝐤𝐞 𝐜𝐡𝐡𝐢𝐩𝐚𝐲𝐞 𝐫𝐚𝐤𝐡𝐞...