Subah hoti hai aur Ruhi ki aankh khulti hai. Wo dekhti hai ki wo Suraj ke upar soyi hui hai. Wo uthti hai aur fresh hone chali jati hai. Rohan hall me workout kar pani pee rha tha. Ruhi hall me ghush use dekh--" Good morning"-- bolti hai.
Use dekh Rohan ke muh ka pani bahar aa gya. Aur shock me --" Good morning"-- bol use dekhne laga.
Ruhi neend me hi chalte chalte apni neck ki malish karti hui bathroom ki taraf chali gyi. Brush karte karte uski nazar mirror pe padi. Mirror pe nazar padte hi wo bhi shocked ho gyi. Uska neck hickeys se red hoke rakha tha even uske kandhe pe bhi ek do hickeys the.
Ruhi jaldi se muh dho kar bahar aati hai Rohan se bolne lagti hai --" Suraj ko kuch bhi mat batana okk."
Rohan shock se nikla hi tha ki Ruhi ko dekh wo phir se shock ho gya. Usne sir hilake haa ka ishara diya.
Ruhi bathroom me jane hi wali thi ki Dipankar peeche se bolta hai--" Ruu mai bathroom ho aau pehle plz."
Ruhi peeche mudti hi nhi hai.Wo wese hi jawab deti hai--"Okk."
Dipankar subah subah uska ye behaviour dekh bolne lagta hai--"Tu thik to hai na?"
Ruhi apne baal neck pe acche se bikhair leti hai aur uski taraf ghum ke bolne lagti hai--"Haa toh."
Uski nazar jese kisi cheez pe padti hai. Wo Ruhi ke baal hatake dheeme se bolta hai--" Ye raat me hua?"
Ruhi bhi dheeme se jawab deti hai--" Haa. Lekin use mat batana. Wo hosh me nhi tha."
Dipankar jawab deta hai--" Kuch hoga pata tha lekin ye hoga iski ummid nhi thi. Jao tum fresh ho aao.Mai dusre bathroom me chala jata hu."
Phir Dipankar dusre bathroom me chala gya aur Ruhi usi bathroom me nahane chli gyi.
Jane se pehle wo Rohan ko aalu boil karne ke liye bol deti hai.
Ruhi fresh ho aati hai.Aalu bhi boil ho jata hai. Wo paratha banane ke liye dough bana rhi hoti hai. Tabhi Dipankar hath me ek spoon le kar side se Ruhi ko bolne lagta hai --" Thoda idhar mudo to. Mujhe laga ye normal pani se jayega nhi to maine spoon rakh diya tha do freeze me. Is se abhi normal lag rha hai."
Thoda freezed spoon se hickeys ka daag hatane ke baad wo spoon dho ke rakh deta hai aur room chla jata hai. Ruhi yaha dough ready kar use thodi der side me rakh deti hai. Dipankar ek alovera gel cream lake Ruhi ke hath me de deta hai. Ruhi use lagake aalu ready karne lag jati hai.
Aalu ready hone ke baad wo paratha banane lag jati hai. Dipankar aur Rohan dono kitchen me aate hai.
Ruhi paratha banate banate Dipankar se bolne lagti hai--" Mera na thoda project ka kaam chalega aaj se to tum mujhe room chhod aaoge?"
Rohan bich me bolta hai--" Mai ja sakta hu kya bhabhi agar aapko koi problem na ho?"
Ruhi bolti hai--" Mujhe koi problem nhi hai. Wese tum mujhe Ruhi bula sakte ho Roo instead of this bhabhi."
Rohan ek smile kar deta hai.
Dipankar bhi bolta hai--" Thik hai agar tum jaoge to. Key mere room me hai bike ka waha se leke jana."
Dipankar ye bolkar nahane chala gya.
Rohan Ruhi ki help karte karte baatein karne laga.
"Wese aaj Suru sleeping beauty ban gya hai lagta hai! Abhi tak utha nhi."-- Rohan bolne lagta hai.
Ruhi jawab deti hai--" Haa use raat me neend nhi aaya na tabhi."
Rohan --" Hmm. Us room me aksar use neend ki problem hoti hai. Ekbar mujhe lath mar ke gira diya tha.Dipu ko peet diya tha. Ankit bhaiya ke halat ke bare me kya batau,unhe to ek din kiss karne wale the. Aur Sunny Bhai unke to kapde fad diye the. Aise wese Bhai thik hi hai lekin is room me unhe bohot nightmares aate hai pata nhi kyu! Par aap ho na abhi to lagta hai ki abhi wo thode normal ho jayenge."
Ruhi--" Us room me kuch hua tha kya?"
Rohan--" Wo room me Bhai jab first time aaye the means ye sabhi aaye the. Tab wo us room me rehta tha. Unki ex Natasha ke sath unki bohot se yadein usi room me thi. Phir jab unka accident hua unhe achanak se nightmares aane lage. Pehle laga ki shayad akele rehne ki wajah se aisa ho rha hai to ekdin mai unke sath rha lekin kuch nhi badla. Phir dusre din Mai, Ankit bhaiya, Dipu aur Abinash bhaiya rhe unke sath. Phir Jo hua. Mai aur Abi bhaiya neeche me soye the to bach gye lekin Dipu ko maar par gyi aur Ankit bhaiya ki izzat lut gyi. Phir sabne milke unka room change karaya. Wo room unka hi tha pehle se lekin wo use nhi karte the. Lekin sabko laga ki room change karne ka need bohot hai to kar diya. Jis din unka room change karaya us din Ankit bhaiya the unke sath lekin us din kuch nhi hua. Uske baad wo akele sote the phir bhi kuch nhi hota tha. Ek din room ka problem ho gya to sabhi bhai ke purane room me so gye lekin us din unhe phir se nightmare aaya. Tab se sabko laga ki wo room shayad use Natasha ki yaad dilata hai tabhi aisa hota hai. Ek baat bolunga aap bura mat mano haa, bhai Natasha se sacchi me bohot pyaar karte. Unhone kasam khayi thi ki wo uske baad kisi ladki nhi apnayenge. Aur hume bhi laga tha shayad unke dil me koi nhi aayegi. Par jis tarah wo aapko dekhte hai aisa lagta hai mano wo jaan bhi denge aapke liye."
Rohan ki batein sun Ruhi speechless ho chuki thi. Wo ek smile deke parathe banane me focus karti hai.
Thodi deri baad saare parathe ban jate hai. Dipankar Sanjana ka wait karta hai.
As Ruhi ko kaam tha aur Rohan use drope karne jane wala tha. Wo dono ko breakfast kar lene bolta hai.
Rohan Ruhi ko ghar drop kar aati hai. Tanvi bhi fresh hokar Suraj ko uthane jati hai lekin jis waqt Tanvi nahane gyi usi waqt Suraj bhi utha tha aur apna room khula dekh room lock kar liya wo apni neend Puri karne bed pe gir gya.
Tanvi use dekhne gyi lekin use wo nhi dikha.
Dipankar ko dekh Tanvi puchne lgi--" Suraj kaha gya itni subah subah?"
Dipankar ne Suraj ko room me jate hue dekh liya tha lekin phir bhi usne Tanvi se jhuth bola ki wo kisi kaam se bahar gya hai shaam ko wapas aayega.
Ye sun wo hall me aake gusse me beth jati hai.
Dusri taraf sabhi baat kar lete hai.
Rohan Tanvi se aake bolne lagta hai--" Tanvi chalo me tumhe tumhari jagah chhod aata hu."
Tanvi gusse me bolti hai--" Kyu? Mai yehi rahungi."
Rohan use explain karta hai--" Dekho hum sabko abhi kam hai. Hum sab thodi der baad Kolkata jayenge aur 3 4 din baad aayenge to tum yaha karogi kya?"
Tanvi doubt Karke puchti hai--" Kyu aaj hi? Kaal kyu nhi gye? Yaa phir kaal kyu nhi Jaa sakte? Mai nhi jaungi kahi tumlog bahane banana bandh karo okk. Aur wese bhi tumlog ja rhe ho Suraj to aayega na. Wese bhi mujhe us se kaam hai."
Dipankar use samjhata hai --" Suraj to pehle hi jaa chuka hai. Agar wo nhi bhi jayega tab bhi wo sirf tumhare sath rehne to yaha nhi aayega ye tum bhi jaan ti ho. Phir bhi agar tumhe rehna hai to raho. Hum logo ka abhi kaam hai uske baad 3 baaje ko train hai. Abhi kaam pe jaate waqt Rohan tumhe tumhare ghar room jaha bhi tum rehti ho waha chhod aayega."
Tanvi bina kuch bole breakfast karne lag jati hai. Breakfast hone ke baad Rohan Tanvi ko ghar chhod aata hai.
Ankit Sanjana ko leke academy gya. Dipankar Suraj ke uthne ka wait kar hall me hi apna kaam karne lga.
Dopahar ke 12:30 baaj gye. Suraj apne room se fresh ho nikal aata hai. Uska body thoda pain karta hai as Ruhi adhi raat uske upar soyi rhi.
Hall me Dipankar ko dekh wo puchne lagta hai--" Kaha gye sabhi?"
Dipankar jawab deta hai--" Ankit aur Sanju academy gye hai. Roo bhi I guess wahi pe hoga. Tanvi ko Rohan ghar chhod aaya hai."
Suraj phir se puchta hai--" Aur Ruhi?"
"Wo to room chali gyi."-- Dipankar normal tone me ek hi saans me bolta hai.
Suraj uske paas beth puchne lagta hai--" Raat ko kuch hua to nhi na? Wo bina bataye room kyu chali gyi?"
Dipankar apne laptop pe type karte karte bolta hai--" Wo to kaal hi jane wali thi na. Use kaam hai to wo chali gyi."
Suraj phir us se sawal karta hai --" Raat me sacchi kuch nhi hua na?"
Dipankar jawab deta hai--" Nhi".
Suraj ko bharosa nhi hota. Wo phir puchta hai--"Sacchi me kuch nhi hua na? Kutte mazak na kar. Sacchi bol kya hua. Baad me agar mujhe kuch pata chla na to Teri khair nhi".
Dipankar use --" Haa Saale ji hoga"--- bol laptop me lag jata hai.
Suraj ko uski baaton ka bharosa to nhi ho rha tha lekin tab ke liye wo chup ho gya. Aur kitchen me chala gya.
Kitchen me parathe dekh wo puchne laga--" Kisne banaye aaj parathe?"
Dipankar jawab deta hai--"Aaloo ke parathe.Ruhi ne banaye. Sab ne kha liya hai. Tu kha le."
Thodi der baad wo do cup chaai aur parathe leke aata hai aur puchne lagta hai--"Sabne kha liya to itne saare kyu hai? Us se kitne parathe banaye tune?"
Dipankar bolne laga--" Wo banane wali thi to Maine mazak me bol diya ki tujhe bohot pasand hai to 2 3 jyada bana de. Uske uske hisab se sabke liye 3 3 banaye the. Ankit ne khaye 3, Roo ne 3, Tanvi sirf 1 kha ke chli gyi, Sanju ne 2 khaye. Maine 3 khaye the. Tere aur mere liye 5 5 banaye the wese. To abhi yaha 10 hai."
Suraj usko ghurte hue bolne laga--" Itna paratha banwane ki jarurat kya thi. 2 2 banane de deta na."
Dipankar use dheere se ek thappad maar bolta hai--" Meri jaan maine nhi bola use itna banane ke liye. Usne khud banaya."
Suraj phir Bina kuch bole parathe khane lag jata hai.
Suraj aur Ruhi dono aamne samne to baat karte hai lekin dono ne abhi tak apne number exchange nhi kiye the. Suraj parathe aur chaai ki ek photo le kar use send kar ek message deta hai--" Thank you for the paratha."
Phir wo parathe khane lag jata hai.
Parathe khane ke baad dono hi academy chale gye. Waha lagbhag 80% members the hi. Sabhi practice kar the.
Aaj sabko 4 baje se start karna tha. Sabhi pohoch bhi gye the lekin Ruhi nhi.
Ankit Dipankar aur Sanjana start kar dete. Kareeb ½ ghante baad Ruhi bhaagi bhaagi academy pohochti hai.
Wo jor jor se saans le bolne lagti hai--" Sorry sorry. Mai late ho gyi."
Dipankar --" Kuch nhi tum thodi der betho hum ye complete kar lete hai"-- bol use bethne deta hai.
Wo apni saanse normal hone tak beth phir uthke routine banane lag jati hai.
Steps dene ka kaam pura complete ho gya tha. Bas practice karana tha. Practice khatam hone ke 20 minutes pehle Ruhi Sanjana ko batake chali gyi.
YOU ARE READING
ARCHIE: My Love Fantasy
RomanceHere's the story of my fictional character i.e. Archie. Who fits into my standards. Ruhi a college student,who is not interested in love anymore falls for a guy. But will it be Ruhi's love of the life? Will they end up together?