Ruhi ko kapda dekar Sanjana bahar aa gyi. Lagbhag shaam ke 6:30 baaj gye the to Sunita Sanjana ko lekar paas ke hi store pe saman lene chali gyi dinner ke liye.
Waha flat pe ek taraf Ankit aur Dipankar hall me aaram kar rhe the dusri taraf Suraj Ruhi ke liye Pani garam kar rha tha.
Ruhi dress change kar hall me aa gyi aur unke sath beth ke baatein karne lgi.
Un logo ka floor dusre buildings ke floor se even us building ke floor se bhi kafi alag tha.Jaise ki wo floor kuch khaas ho.
Ruhi wohi baat sochte sochte Dipankar aur Ankit se puchti hai --"Tum logo ka flat jyada different hai mano jaise specially tum logo ke liye hi banaya gya hai!"
Dono jawab dete hai --"Haa.Actually ye flat Archie ke dad ka hai even ye pura building. Humlog jab HS kar rhe the tabhi unhone ye banaya tha aur ye floor specially humare liye design kiya tha ."
Ruhi fir puchti hai --"To Archie abhi kyu nhi rehta yaha? Uske liye hi banaya uske papa ka hi ."
Suraj peeche se aata hua jawab deta hai--" Actually kuch kam se last year Delhi chala gya and ye room hume deke gya."
"Accha"-- kehkar Ruhi jawab deti hai.
Suraj Ruhi ko kehne lagta hai --"Tumhara pani garam ho gya hai.Chalo.me dressing kar deta hu tumhare ghaau ka."
Ruhi Suraj se hichkichate hue bolti hai--"It's okk.Mai kar lungi.Pani garam kar diya tumne wohi bohot he mere liye.Baki ka mai kar lungi."
Suraj Ruhi ke sath sarcasm karte bolta hai --" Aree mai to bhool hi gya tha ki tum to ek independent ladki ho.Tumhe dusro se madad lena pasand hi nhi hai."
"Arey aisi baat nhi hai but tumne itna kuch kiya mere liye abhi tumhe mai ye bhi to karne nhi de sakti na"-- Ruhi Suraj ke sarcasm ko todne ki koshish me bolti hai.
Tabhi Ankit aur Dipankar bolne lagte hai --"Ruu itna agar princess treatment mil rha hai to le lo kyuki humare janab itna aisa treatment to har kisiko nhi dete".
"Dono chup raho"-- bolke Ankit aur Dipankar ko chup karate hue wo Ruhi ko-"Chalo"-- bolke bathroom ki taraf leke jata hai.
Unka wo bathroom bohot hi bada tha mano ek chota sa room hi ho.Ruhi ko ek chair pe bethake wo ek tub me pani nikal leta hai.Ruhi ka bandage kholta hai aur uska perr pani me rakh deta hai.
Suraj bade ho pyaar se uska perr dhula rha tha.
Ruhi us se bolni lgi--"Tumhe sarcasm bohot pasand hai lagta hai".
Suraj uski baaton ka matalab samajhte hue bolta hai--"Tumhe Bina sarcasm ke koi bhi baat samajh me hi nhi aata to mere paas wohi last option bachta hai."
Ruhi chup ho jati hai aur man hi man sharmane lagti hai.
Uski chuppi ko todte hue Suraj usse puchta hai --"Wese tum yaha rehne ke liye itna deny kyu kar rhi thi?Bf ka chakkar hai kya?"
"Bf huhh.Ye sabme nhi hu mai abhi.Aaj kaal ye pyaar vyaar mujhse nhi hota"-- Ruhi ek lambi saans chodke bolti hai.
Suraj bas-- "Accha"-- kehkar topic ko khatam kar deta hai.
Ankit darwaze ke paas se dono ke dekh bolne laga--" Ye nazara to bada hi pyaara hai.In 3 saalon me maine tujhe kabhi is roop me nhi dekha."
"Aa gye phirse mazak karne aisa nhi ki thodi si madad kar du"-- Suraj bhi Ankit se mazak karte hue bolta hai.
Ankit bhi mazak me jawab deta hai--"Tu itna acche se kar rha hai to mai kyu kabab me haddi banu.Wese Ruu ye agar koi kam thik se naa kare to mujhe bol dena apna Bhai samajh ke.Aaj se mai tumhara Bhai tum meri behen.okk".
Ruhi ek smile karke-"okk"- bolti hai.
Idhar Suraj haste hue -"Kitni behen banayega aur tu saale.Ek ka to bolke fayda hai nhi ek peecha nhi chodti.Behene teri hoti hai gale Mera padti hai."-- bolne lagta hai.
Ankit bhi uske sath mazak karke bolta hai--"Tu bulata mujhe saala hai to abhi meri didi to dhundhna padega na.Didi nhi to behen hi sahi filhal."
Mazak karte karte Ruhi ka dressing bhi ho jata hai aur Sanjana,Sunita bhi store se aa ke hall me bethe rehte hai.
Suraj Ruhi ka hath pakad kar hall tak lake aaram se betha deta hai.
Ankit aur Suraj bhi aake beth jate hai aur sabhi TV dekhne lagte hai.
Thodi baad acchanak Sunita ka per dard karne laga to wo Sanjana ke room chali gyi.Ankit use dekhne uske peeche chla gya.Sunita ka periods start ho gya tha.Use periods me bohot jyada cramps aate hai.Ankit use room me rakh ke uske liye hot water bag aur kuch icecream leke gya.
Sanjana aur Sunita store se icecream leke aaye the.
Sanjana baakiyon ke liye bhi icecream nikal ke lati hai aur wo kitchen me khana banane chali jati hai.
Most of time khana Suraj ya Dipankar hi banata tha.Lekin aaj Sanjana khana banane chali gyi.
Ruhi bhi--"mai bhi aati hu bolke"-- jane wali thi.Aise me Suraj use rokte hue bolta hai--"Madam aap plz betho.Khana hum bana lenge.You're still not totally recovered."
Tabhi Dipankar bolta hai--" Tu beth mai jata hu."
Phir Dipankar chala gya Sanjana ke sath khana banane.
Ankit, Dipankar aur Sanjana non-vegetarian the par phir bhi Suraj aur Sunita ke sath rehkar wo log bhi kafi had tak vegetarian hi ban gye the.Kabhi kabar hi unka non-veg chalta tha.
Kitchen me kya ho rha hai dekhne Suraj aata hai.Khana almost ho hi gya tha.Suraj ko yaad aaya ki Ruhi ko medicine bhi lena hai to wo use medicine dene chala gya.Use medicine de kar Suraj phir hall me hi Beth gya.
Kuch time baad Dipankar sabhi ko dinner ke liye bulane aate hai.
Sanjana dusri taraf khana laga rhi thi.
Sabhi dining table par pohoche.
Dinner karne ke baad sabhi ne saaf safai karne me ek dusre ki madad kari.Medicide khane ke baad Ruhi bhi thoda acche se chal pa rhi thi aur Sunita ka bhi cramps kam gya tha to dono bhi unki help karne lge.
Saaf safai khatam hone ke baad Sunita Sanjana ke room sone ke liye chali gyi.As uska periods chal rha tha to kisine itna force nhi kiya use aur rukne ke liye.
Raat ke 11 baaj rhe the aur sabhi ko TV dekhte aur baat karte neend bhi aa rhi thi.
Ruhi ko yawn karta dekh Suraj Sanjana se bolta hai --"Tum dono mere room me so jau.Mai aur D so jayenge.Sunita ke sath Ankit chala jayega."
Sanjana Ruhi ki taraf dekhke puchti hai-- "Hoga na?"
Ruhi muskura ke bolti hai-- "I'm fine anywhere."
Sanjana aur Ruhi dono ko good night wish kar sone chale gye.Dipankar aur Suraj TV ke samne hi bethe rahe.Almost 1 baje jaisa me Dipankar Suraj ko bolkar sone chala gya.
TV dekhte dekhte Suraj ko bhi neend aa gya to alas lagne ki wajah se TV bandh kar wahi sofa pe soo gya.
Jo bhi ho Ruhi ko acche se neend nhi aa rha kyuki wo waha pehli baar ruki thi.Ruhi ko dusro ke ghar me ya dusro ke bed pe easily neend nhi aata.
Kareeb 3 baje jaisa uska aankh phir se khulta hai.Wo bathroom jane ke liye uthti hai.
Wo jaise hi hall me kadam rakhti hai use thanda lag jata hai. Usne dekha ki AC ka temperature bohot kam tha aur Suraj wahi sofa pe so gya tha.Wo bathroom se aati hai aur room se ek light blanket lake use oodha deti hai.Kapda Suraj ke body pe padte hi uski aankh khul jati hai.
Wo Ruhi se puchta hai--"Tum?Soyi nhi kya tum?"
Ruhi bolti hai--"Mera chhodo.Tumhe itne bade ghar me sone ke liye jagah nhi mila ki yehi so gye.Aur tumhe thanda nhi lag rha kya?Perr rakhte hi mujhe laga ki mai freeze ho gyi."
Suraj yawn karte karte bolta hai--"Neend lag tha to yehi so gya.Tab matlab thodi garmi jyada thi na to Maine temperature kam kiya tha lekin neend me kitna Kam Kiya pata hi nhi chala.Wese tum chudail ke jaisi kyu ghum rhi ho?"
Ruhi jawab deti hai--"Mujhe na akele sone ki aadat hai aur wo bhi mere bed pe.So meri neend bar bar khool rhi thi.Phir socha ki bathroom se ho aati hu.Phir tumhe dekha to socha ki ek blanket deti jau ."
"Accha accha."Suraj yawn karte karte hi bolta hai.
Ruhi sobe jane hi wali thi ki Suraj phirse bola--"Agar tumhe dar na lage to tum wo wale room me so jao phir.Mera hi room hai wo."
Ruhi--"Hoga koi nhi"-- bolke wapas Sanjana ke sath sone chali gyi.
Suraj bhi temperature normal karke phirse so gya.
YOU ARE READING
ARCHIE: My Love Fantasy
RomanceHere's the story of my fictional character i.e. Archie. Who fits into my standards. Ruhi a college student,who is not interested in love anymore falls for a guy. But will it be Ruhi's love of the life? Will they end up together?