"Tockk tockk,tockk tockk"
"Ruhi, darwaza khol"
"Ruhi"
--Subah ke lagbhag 5:30 baje Soniya Ruhi ke darwaje pe aati hai aur use jagati hai.
"Ye ladki abhi tak so rhi hai kya?Call hi karti hu."---Ye bolke Soniya Ruhi ke call karke uthati hai.
Call bajte hi Ruhi phone check karti hai aur call utha leti hai.
"Itni subah kyu call kiya yrr.Sone de mujhe.Mera alarm bhi nhi gaja yrr abhi tak.Plz sone de mujhe.Bohot neend aa rhi hai mujhe."--Ruhi neend me hi Soniya ko bolne lagti hai.
Soniya darwaze pe nock kar bolti hai --"Yrr me tere door pe hu.Uth ke khol de na."
Ruhi uth ke darwaza kholte hue bolti hai --"Kya yrr tu bhi.Itna jldi kyu uthi tu Aaj."
Soniya ne jawab diya --"Mera na train hai thodi der baad toh mai puchne aayi thi ekbar aur tu jayegi ki nhi."
Ruhi bed pe let te hue bolti hai --"Mai nhi jaungi yrr tu Jaa.Wese bhi waha Mai kisiko janti bhi nhi hu aur mujhe Sanju ne mandir sath chalne bola hai to mai wohi ja rhi hu."
Soniya ne ek relaxing saans chdodke bola--"Accha.Mujhe bas laga ki tu akeli rahegi do din to mere sath chal sakti thi.Lekin agar Sanju rehegi to koi nhi."
Ruhi confuse hoke boli--"Do din kyu?"
Soniya jawab deti hai--"Kal bhi bandh hai to college.Notice diya hai college ka."
Ruhi khush hoke bolti hai--"Accha hai phir toh.Kaal pura aaram karungi mai."
Aise me hi Soniya ke bf Bikash ka call aata hai--"Mai niche hu tum aa jao."
"Haa,ruko,aa rhi hu".-- Soniya Ruhi ko bye de kar jati hai.Ruhi sar par kapda oudh leti hai aur sone ke liye aankh bandh karti hai.Tabhi use waqt ka khayal aata hai to wo phone uthake dekhti hai.6 baajne hi wale the to wo thodi der phone hi dekhne lagi.
Wo insta kholti hi hai ki uske feed par Suraj ki post aa jati hai.Wo phir se uske posts aur highlights ko dekhne lagi.6 bajte hi uska alarm baaj gya aur wo apna prayer kar bed thik karke brush karne gyi.Uske baad usne room ko pocha maar diya aur naha liya.Phir wo ready bhi ho jati hai mandir jane ke liye as 8 baajne hi wale the.
Ruhi ready hoke Sanjana ke call ka intezar karti hi rehti hai tabhi use Sanjana ka call aata hai--"Ruu,tum ready ho gyi ho na,agar ho gyi ho to niche aa jao.Suraj gya hai tumhe pick karne".
Ruhi use kehti hai --"Haa haa. Mai tumhe hi call karne wali thi.Thik hai mai room lock karke pohoch rhi hu neeche."
"Okay"-- bolkar Sanjana ne call cut kar diya.
Ruhi jarurat ka saman lekar room lock kar neeche pohochti hi aur dekhti hai waha Suraj uska intezar kar rha hai.
Ruhi ko dekh Suraj kho gya.Wo suit me bohot hi sundar lag rhi thi.Uske forehead ki bindi use aur bhi khubsurat bana rhi thi.
Ruhi Suraj ke paas pohoch kar bolti hai --"Hii.Tumhe jyada intezar karaya ho to sorry."
Suraj uski khubsurti me kho ke bolta hai--"It's okk,Mujhe itna time nhi hua aaye hue."
Suraj ki baaton ka jawab Ruhi ne ek smile se de diya.
Suraj phir Ruhi ko bike pe bethne bolta hai aur dono Suraj aur uske dosto ke flat par leke jata hai.Sanjana,Sunita, Ankit aur Dipankar unka wahi intezar kar rhe hote hai.Unka flat Ruhi ke colony ke thoda aage hi tha toh dono jldi pohoch gye.
Flat pohochte hi Ruhi Sanjana ko dekhti hai aur use hug ka greet karti hai aur bakiyo se milti hai.
Sanjana use unka flat dikhake bolti hai--"Welcome to our chotu sa ghar."
Aur phir wo ek ek kar use waha ke stayers ke bare me batane lgi--"Ye pura flat hi humlogo ka hai.Almost sab log hi yaha pade rehte hai. But ye flat originally Suru,Dipu, Ankit, Sunny, Rohan ka hai.Ye side me sare boys rehte hai and mai dusri side me rehti hu.Yaha dusri koi bhi reh leta hai and kabhi kabar hall me hi practice karte hai humlog."
Ruhi rooms dekhte hue bolti hai--"Jagah wese bohot acchi hai.Chota to nhi and bohot hi peaceful."
Sanjana ek smile deke bolti hai --"Haa".
Tabhi Dipankar sabko bolta hai--" Bhai kisiko jana hai ki nhi.Chlo.Jldi chalte hai."
Phir sabhi --"aa rhe hai "-- bolke ek ek kar aa gye.
Sunita Ankit ke sath, Sanjana Dipankar ke sath aur Ruhi Suraj ke sath bike pe beth gyi aur sabhi mandir ke liye nikal gye.
Mandir kareeb 1 ghanta dur tha.Lekin traffic ki wajah se un logo ko 1½ ghanta lag gya.
Mandir pohoch ke sabhi ne acche se puja bhi kar liya.Sabhi mandir ke idhar udhar tehel rhe the toh unhe Ankit ek dusri mandir ki aur dikhate hue bolta hai--"Tum logo ko pata hai? Log bolte hai ki is mandir ka importance bohot jyada hai.Yaha agar koi ladka ek ladki ke sath jaisi life chahe waisa pa sakta hai."
Sanjana sock hoke puchti hai--"Aisa kaise".
Ankit phir bolne lagta hai --"Yaha jo stairs hai na log bolte hai ye ek zindagi ban jati hai jab ek ladka kisi ladki ka hath pakad le to love relationship and goad me utha leta hai to marriage relationship.Wo dono uske baad jaise chalte hai unki zindagi waise hi chalti hai.For example,agar ladka ladki ka hath bich bich me chhod deta hai toh unka relationship Tut ta jarur hai.Agar koi goad me uthake bich me utar deta hai tab to divorce era ata hi hai ek bar hi sahi.Lekin agar koi ye stairs bina goad se utare chadh le to kuch bhi ho unki shaadi hoti hi hai aur shaadi ke baad ek smooth life chalti hai."
Suraj Ankit ke peeth pe marke bolta hai--"Ho gya na.Ye 90's ki kahaniya na 90's ke bacho ko sunana kaam aayega."
Tabhi Dipankar Suraj ko chalenge karke bolta hai--"Tu na ye kahani chhod.Chal aaj dekhte hai kisme kitna dum hai.Chadh lete hai stairs."
Suraj ek sarcastic smile deke bolta hai--"Mai kya tujhe uthake chlu?"
"Mujhe kyu uthayega? Dekh ladke teen hai ladkiya teen.Teeno ek ek ko utha lete hai aur kya.Ye Sunita ko utha lega,Tu Ruu ko utha le."--Dipankar bolta hai.
Dipankar ki baat sun kar apna sir hilate hue Ruhi bolti hai--"Mai nhi haa ye sab me.Tum log karo."
Suraj bhi bolne lagta ha--"Haa yrr she's not comfortable.Mai aise kaise utha lu!"
Ankit aur Dipankar bolte hai--"Kuch nhi hoga na Ruu.It"s just a game.And Suru tu jyada bhau mat kha.Wese agar tum dono ko ten's ho rha hai ki baad me kya hoga to don't worry agar tum dono ka kuch chla bhi.We'll be very happy.And Suru agar tere gharwale na mane to hum log mana denge okk.Chal abhi."
Charo ke bolne ke baad Suraj aur Ruhi dono maan gye.
Suraj ne--"May I"-- bolke Ruhi ka haa lekar use goad me utha liya.
Waha almost 100 stair the.Koi kuch khaye bina hi gye the to ladko ke liye aur bhi jyada tiring ban gya tha.
Ruhi bar bar ye check kar rhi thi ki Suraj thak to nhi gya hai.Jab bhi use lagta tha ki wo thak gya hai wo use utarne ke liye bol deti thi.Lekin Suraj --"Tum itna bologi to me concentrate nhi kar paunga"-- bol ke use chup Kara deta tha.
Aise hi chalte chalte teeno ladke ladkiyo ke sath stairs complete kar mandir tak pohoch gye.Teeno kafi thak gye the.
Thaka hua hi Suraj bolta hai Dipankar se--"Ho gya tera strength check up abhi".
Dipankar muskurate hue jawab deta hai-- "Dum to hai bhai wo mujhe bhi pata hai.Lekin tere sath mazak karke accha lagta hai na."
Dono ka mazak chalne lga.Phir waha bhi sabhi se darshan kar ashirwad liya.
Mandir ke bahar aa kar stairs ke paas ruk kar Suraj Ankit se mazak me puchta hai --"Yaha se neeche utarte waqt koi ritual nhi hota hai kya?"
Ankit bhi bade hi josh me bolta hai--"Hai toh.Agar tu use phir se uthake leke jayega na to matlab dono ek sath hi upar bhi jaoge."
"Wow"-- bolke Suraj Ankit ko mazak mazak me marke neeche tak leke ja rhi rha tha.Tabhi jaise usne Ruhi ki aawaz suni. Wo stairs tak pohoch ne hi wali thi ki uske pau me kuch chub gya.Sabhi log use dekhne chle gye. Jakham thoda gehra tha kyuki ek kaanch ka tukda tha.Kaanch ko nikal ke paas ke hi ek naal me khoon ko rokne ke liye pau ko dho diya.5 minutes jaise baad khoon nikalna thoda bandh hua.
Sunita bolne lgi--"I guess use koi uthake le chalo waha tak.Warna khoon phir se niklega."
Sanjana bhi uske baat me haa milate hue bolti hai--"Haa,Tanu thik hi bol rhi hai." Tanu Sunita ka dusra naam hai.
Ruhi ko lagta hai ki wo unlogo pareshan hi kar rhi hai aur thoda chalne ki koshish karke bolti hai --"It's okk.Mai chal lungi.Itna bhi jyada kuch nhi hua hai."
Chalne ki wajah se uska khoon thoda thoda aur nikal rha tha.Use dekh Suraj bola--"I guess itna kuch kam bhi nhi hua hai ki tum neeche tak jaa sako. It's okk. Mai le chalta hu. Warna ye chidiya tumhare khoon se rang jayengi."
Ruhi kya bolengi sochti hi reh gyi aur Suraj ne use utha liya.
Dipankar phirse Suraj ko chidhane ke irade so bolne lagta hai --" Dekh Suru bhagwan ji bhi nhi chahte ki tum dono akele akele unke paas jao."
Suraj use ek look deke bolta hai --"Tu room chal beta pehle. Tera mazak me nikalta hu."
Sunita bhi dono ko dekh ke bolti hai--" Wese ek baat to hai dono bohot jyada pyaare lag rhe ho".
Ruhi Sunita ek uncomfortable wala smile deke uski baaton ka jawab deti hai aur Suraj se dheemi awaaz me kehti hai--" So sorry.Meri wajah se tumhe itni problems jhelni padi."
Suraj uski taraf dekh bolta hai--"Tumhari baaton se mai distract hota hu.And wese bhi tumhara khayal rakhna hum sabhi ki responsibility hai kyuki tumhe laye bhi hum bhi hai and you are now a lead of our group.So no need be sorry."
Ruhi phir kuch nhi bolti hai aur aise hi chalte chalte wo log parking area me pohochte hai.
Teeno ladke apni bikes nikal lete hai.
Dopahar ke almost 3 baaj gye the to sabhi ko bhookh bhi lag rha tha.
Sanjana Dipankar ko bolne lagti hai --"Pehle kuch kha le kya? Bohot tez bhookh lag rha hai."
Dipankar Ankit aur Suraj ko bolta hai--"Guys kahi koi restaurant ya kuch dekh ke lunch kar le kya? Wese bhi bohot time ho gya.Sabhi ko bhookh bhi lag rha hoga".
Ankit bolta hai --"Aage ek Veg restaurant hai wahi ruk jate hai."
Wo log restaurant pohoch gye.
Aage ek farmacy dekh Suraj Ruhi se--"Tum chalo to mere sath"--bolkar baakiyon ko restaurant jane ke liye bola.
Wo Ruhi ko farmacy leke gya aur uska bandage karaya.Doctor ki di hui dawaiya lekar bandage hone ke baad dono bhi farmacy se nikal gye.
Suraj paas ke hi ek dukan me kuch lene ke liye gya.Ruhi bahar hi thi.
Ruhi ka purse Suraj ne hi leke rakha tha to uske purse me ek chocolate bar rakh di.Phir wo dukan se nikal kar Ruhi ko sath lekar restaurant pohoch gya.
Wo charo Ruhi aur Suraj ka intezar kar rhe the order dene ke liye.Dono ke aane ke baad un logo ne order kar diya.Order dene ke baad Ankit Suraj se puchta hai--"Kaha gye the dono?"
Suraj jawab deta hai --"Farmacy gye the.Uska bandage karane.Aur mujhe na note paper bhi chahiye tha to wohi lene".
"Accha.Kuch jyada to problem nhi hai abhi?"-- Ankit Suraj se puchta hai.
"Farmasist ne to bola hai ki itna jyada kuch nhi hai.Bas ek do din rest karne bola hai aur hot water se pau dhone bola hai."--Suraj aaram se bolta hai.
Sanjana tabhi topic change karke bolti hai --" Wese waha ka khana kaisa hota hai?"
Ruhi Sanjana ko batati hai--" Yaha ka khana bohot accha hai.Agar tumhe veg khana ho na to yehi aana.As of my opinion this the best veg restaurant here."
Ankit Ruhi se puchta hai --"Tum aayi ho pehle bhi yaha?"
Ruhi jawab deti hai --" Haa.Mujge jab bhi bahar khane man karta hai mai yehi aati hu.Yaha itne acche veg restaurant milte nhi hai na except this one."
Dipankar Ruhi ko bolta hai-- "Hmm.Tum bhi matlab thodi si explorer type ki ho.Wese tumhe agar non-veg khana ho to mujhe bolna.Yaha ke best non-veg restaurants pe leke jaunga Mai tumhe."
Ruhi smile karke bolti hai --"Mai vegetarian hu."
Dipankar jawab deta hai --" Hmm,good good.Tum to acchi bacchi ho.Sunita bhi vegan hai.Aur Suru sirf eggs khata hai.Baki humlog pure non-vegetarian."
Ruhi muskura ke bolti hai--"Accha ".
Unki baaton ke bich me hi unka khana aa jata hai.Sabhi log khana kha kar bill deke unke flat pe aa gye.
Sabhi log thoda rest kar rhe the tabhi Ruhi kehne lagti hai-- "I think I should leave now.Tum logo ko bhi rest karna chahiye."
Sanjana Ruhi ko dekh bolti hai-- "Bro ek to tum injured ho and upar se Sonu bhi aaj nhi hai.Toh you better stay here na.Wese bhi humare yaha rooms ki kami nhi hai and agar tumhe dress chahiye to mera use kar lena na."
Ruhi Sanjana ko samjhane wali hoti hai --"Lekin,meri baat to su"-- Sanjana use tokte hue bolti hai-- "No lekin wekin.Kaal bhi college bandh hai so stay here.And I'm not asking okk I'm saying this to you".
Sunita aur Dipankar bhi bolne lagte hai --" Haa ruk jao na.Wese bhi waha tumhe akela rehna padhega."
Ankit Suraj se baat kar rha tha.Dono ka baat khatam hote hi dono andar aaye.
Ankit Ruhi se bolne laga--"Ruu tum ruk kyu nhi jati aaj.Soniya bhi to nhi hai I guess.Aur abhi to tumhe chout bhi lag gyi hai na."
Dipankar Ankit ko bolta hai-- " Hum log bhi wohi bol rhe the use par wo lekin pe hi aatki hai."
Sabhi log Ruhi ko mana rhe the tabhi Suraj aake bolta hai --" Guys wo bacchi nhi hai jo tum log use aise mana rhe ho.She's an adult.Uska bhi ek comfort zone hai.May be she's not getting the zone with us na."
Suraj ki baatein sun Ruhi bolti hai --"Aisa nhi ki I'm not getting that zone but I don't want to bother you guys."
Suraj ko jaise uski baatein dil pe lgi wo usi feeling ke sath bola--"Okk fine.Chalo tumhe drope karke aata hu."
Ruhi ko bhi kuch feel hua usne sehme awaz me bola--"It's okk.I will stay here."
Sanjana use Khushi ke mare hug kar leti hai aur use dress change karane leke jati hai.
YOU ARE READING
ARCHIE: My Love Fantasy
RomansaHere's the story of my fictional character i.e. Archie. Who fits into my standards. Ruhi a college student,who is not interested in love anymore falls for a guy. But will it be Ruhi's love of the life? Will they end up together?