Uske baad kuch 6 7 din Ruhi roz hi late aati aur jaldi chali jati.
Uske insta me lekin wo 6 7 din uske friends ke sath story rehta hi tha to Suraj ko laga shayad wo use ignore kar rhi hai. 8 we din uska project submission ka date tha.Aur usi din unka final reharsal bhi tha to us din sabko 2 baje aana tha. Lekin project ki wajah se usdin bhi wo late ho gyi. Use pohochte pohochte 3:40 ho gya. Sabka practice complete ho hi chuka tha lekin Ruhi ke part ke liye sablog uska intezar kar rhi thi.
Ruhi ke late aane ka fayda uthane ke liye Riya bol padi--" Ab aayi hai madam. Inhe join kiye kuch din nhi hua aur ye abhi se late aane lagi aur wo bhi ek lead dancer and choreographer ho ke. Agar tumhe responsibility de rhe hai to nibhaya bhi karo. Sab log yaha bas tumhari wajah se yaha ruke hue hai."
Ruhi guilty feel kar bolti hai--" I'm so sorry guys. Mera na kuch kaam tha to manage nhi hua. Aur aaj time itna aage kar diya. Mai bohot mehnat se abhi aayi hu. Par meri wajah se tumlog itni der se ruke hue ho iske liye mujhe maaf kar do."
Sabhi log use bolne lagte hai--" Koi nhi. Humlogo ka bhi practice ho rha hai tumhara wait karte karte. No need to be sorry."
Sanjana Ruhi ke paas ja bolti hai--" Abhi sorry se kuch nhi hoga. Hume practice complete karna padega aaj hi."-- aur use le jati hai.Raat ke lagbhag 10 baje tak unka practice chalega kyuki next day unka practice nhi hoga aur uske next din hi unka final performance hai.
Bich bich me 20/30 minutes rest karte karte un logo practice kiya. Aur 10 baajne ke kuch minutes pehle hi unka practice khatam ho gya. Sabhi log bohot hi jyada thak gye the. Sabhi thodi der aaram kar apne apne ghar ki aur chal diye.
Academy me group ke main leads:Suraj, Dipankar, Ankit,Rohan,Ansuman (group ka ek lead),Sunny (ek male lead),Ruhi, Sanjana,Riya kuch aur der ke liye ruk gye. Ruhi ke sath Soniya bhi ruk gyi,halaki use Ankit ne use kaha tha ki wo Ruhi ko room chhod aayega aur use jane ke liye kaha tha lekin Soniya ruk gyi. Ruhi wo kuch din project aur practical ki wajah se bohot hi jyada weak ho gyi thi kyuki uska khane peene pe dhyan thoda kam ho gya tha to Soniya aksar uske paas hi rehti thi taki uska dhyan rakh sake.
Academy me aur thoda kam tha upar se sabko bhookh bhi lag rha tha.
Dipankar sabko puchne laga--" Guys aise to sabko bhookh lag hi rha hoga to ek kam karte hai baki ka kam humare room me leke jate hai. Kam bhi karte rahenge dusri taraf khana bhi bana lenge."
Ruhi bolne lagti hai--" Guys meri body me itna jaan nhi hai ki mai aur waha se room aa saku. Aur Soniya bhi almost thak hi gyi hai. To ek kaam karo tum log chale jao. Baki mujhe kuch details send kar dena mai room me wo khatam kar lungi."
Dipankar use samjhate hue bolta hai--" Ruu akele karogi to burden ho jayega. Koi nhi tum dono ruk jana aaj."
Ruhi use batati hai--" Mera na aaj project ka report submit nhi hua. To mujhe kaal uska report lene subah hi Jana padega aur wo submit karna padega. Aur upar se ise iska bf allow nhi karega kahi aur rukne ke liye. Aur aaj na humare floor me log hi nhi hai to ise akela chhod bhi sakti Mai."
Ankit Ruhi se puchta hai--" Accha to Ruu, tumhare waha khana bana sakte hai?"
Ruhi jawab deti hai--" Haa bhaiya aaram se. Hum dono ka room ek sath hi hai. Jo kam studio ka hai use khatam kar baki ka humlog wahi pe kar sakte hai."
Ankit sabko bolta hai --" To phir Suraj,Ansu, Sanju, Ruu,D aur Sunny ruk jao. Riya, Soniya, Mai aur Roo jate hai aur kuch banate hai."
Ruhi--" Okk hoga"-- bolkar Soniya ko unke sath bhej deti hai.
Academy ke studio me 45 minutes jaisa kam karne ke baad unka waha ka kaam khatam ho gya to umwo log Ruhi ke room ke liye nikal gye. Raste me Ruhi peene ke liye cold drink aur 4 chocolate bar leti aayi.
Wo log room pohoch gye. Khana banne me time tha. Ruhi ke room ki key nhi mil rhi aur Soniya ka gas khatam ho gya tha to wese hi unhe time lag gya tha.
Room pohoch ke Ruhi sabhi ko bethne dekar cold drink serve karti hai aur Soniya Sanjana aur Riya ko chocolate dekar kam ke liye table wagera ready kar deti hai.
Unhe laga tha ki kaam der se khatam hoga kyuki sabke portfolios banane the lekin 20 minutes jaisame me hi kaam khatam ho gya kyuki 5 laptops me kaam chla.
Khana banne me abhi bhi ½ ghanta jaisa tha. Sabhi kaam khatam kar beth gye the.
Ruhi kitchen ki taraf dekhne jati hai tabhi use calls aane lagte hai. Wo decline karti hai par call aana bandh nhi hota. Phir wo room se bahar baat karne chli jati hai. Call uske ex ka hota hai,jo use bohot hi jyada pareshan karta hai.
Use bahar gye 10 minutes jaisa hi ho jata hai. Suraj use na dekh kitchen me aa kar Soniya se uske bare me puchne lagta hai.
Soniya--" shayad wo mere room me hogi ya phir bahar stair par baat kar rhi hogi. Agar tum jane wale ho to I guess nhi jaoge to accha hoga. Kyuki wo abhi bohot gusse me hogi."
Suraj ye sun us se puchta hai--" Aisa kyu? Hum log yaha hai isliye to nhi?"
Soniya use batati hai--" Nhi. Uske ex ki wajah se. Usi ka call aaya hai jis se baat karne wo gyi hai."
Suraj--"accha"-- bol waha se aata hai aur Ruhi ko dekhne Soniya ke room me dekhta hai. Lekin wo waha nhi hoti to wo stairs ki taraf dekhne jata hai to use Ruhi rote hue baat karte sunai deti hai--"Tum plz mujhe pareshan karna bandh kar do. Mai taang aa chuki tumse. Chale jao meri zindagi se. Na tum mere sath acche se rehte ho na hi mujhse dur jake mujhe acche se rehne dete ho. Pichle 1/2 saalo se yehi chal rha hai. Jab bhi mai tumhe thodi si khush dikhti hu aa jate ho mujhe pareshan karne."
Suraj stairs ke paas gya. Ruhi use dekh call kaat di aur apne aansu bhi ponch liye.
Suraj uske sath stairs me beth gya aur us se baatein karne laga --" Break up or what?"
Ruhi sehmi aawaz me bolne lgi--" Nothing much. Tum plz yaha se jaoge kya. Mera abhi baat karne ka maan nhi hai."-- aur apna sir deewar pe rakh deti hai.
Suraj uska sir apne kaandhe pe rakh use bolta hai--" Tum agar chaho to mujhse baat kar sakti ho. Aur agar nhi bhi batana chahti ho to you can just calm yourself in my shoulder. "
Ruhi thodi der khamosh beth bolne lagi--" Pata hai jab tum kisi ko bohot jyada chaho aur wo tumhari chahat ki kadar nhi karta to bohot bura lagta. Hum dono 10 mahine jaisa relationship me rhe the lekin uske dil me mere liye kabhi pyaar hi nhi dikhta tha. 10 mahine bhi sirf naam ke liye bich me na jane kitni bar humara break up hua aur kitne haapte humlogo ne baat nhi ki. Wo uski ex se pyaar karta tha even karta hai. Mere saamne humesha bolta hai ki wo use pyaar nhi karta hai abhi. Lekin uski ex ne 1½ saal pehle ek din mujhe jalane ke liye mujhe bataya ki dono relationship me aaye the jab 5 months ke baad humara breakup hua tha. Even they slept together. He even told her that he was just in a relationship with me. He never liked me or loved me.I was totally heartbroken after listening to this. Tabse me us se dur rehti hu. Aur wo mujhe pareshan karta rehta hai ye bolke ki wo bas galti se ho gya. Wo mujh se dur rhe iske liye usne aisa bola."-- aur rone lagi.
Use rota dekh Suraj uske aansu ponch use hug kar leta hai aur use shant karane ki koshish karte hue bolne lagta hai--" You can cry as much as you want. Koi tumhe rokega nhi."
Ruhi Suraj ki baahon me thodi der roti hai aur uske baad uske kandhe pe sir rakh bolti hai--" Mera na pehle pyaar ka nazariya bohot alag tha lekin abhi jaise mujhe pyaar se hi nafrat hai. Maine uske baad 2 relationship try kiye lekin wo log bhi mujhe uske jaise hi lagne lagte hai. Mujhe kabhi kabar aisa lagta tha ki use Mai bas uski physical needs pura karne ke liye chahiye thi."
Suraj use bolne lagta hai--" Tumhe Aaj Tak aise kisi ne pyaar kiya hi nhi hoga jaise tum chahti ho. But the right person will always treat you the right so don't lower your standards."
Dono waise hi bethe the. Suraj Ruhi ka haat pakadne ke liye uska hath pakadne lagta hai tabhi use uske hath me chocolate ka packet milta hai.
Wo use lete hue bolta hai--" Tumhe to nhi khana mujhe hi de do."
Phir wo chocolate khane lagta hai aur baaton ki baaton me Ruhi ka hath pakad leta hai.
Thodi der baad Ruhi Suraj ka dusra hath jis se wo chocolate kha rha tha,use pakadte hue bolti hai--" Can I have a bite?" -- aur bar ka ek bite ke leti hai.
Suraj achanak se uski taraf mud jata hai aur ek hath Ruhi ke neck me kaan ke peeche dalte hue uske lips ke paas ja bolta hai--" Ruu may I?"
Ruhi kuch reaction nhi deti to Suraj ko isme uski haa nazar aata hai aur dheere se uske lips me kiss karne lagta hai. Tabhi dono ka phone baajta hai. Suraj ko Ankit ka aur Ruhi ho Soniya. Wo log khana khane ke liye ready karne wale the to unhe bula liya. Dono --" aa rhe hai --" bol phone rakh diye.
Ruhi khadi ho gyi phir use Suraj ka khayal aata hai to phir beth jati hai aur use kehti hai --" Can I have my chocolate back?"
Suraj use chocolate wapas de deta hai. Ruhi chocolate le kar uska ek tukda Suraj ko khilate hue Suraj me andaz me --" May I?"-- bolti hai to Suraj ko jaise ek gesture milta hai. Aur wo Ruhi ko haalke se kiss karta hai. Kiss karte karte chocolate aise hi unke tongue se dono ke muh me khelne laga.
Chocolate ka bite khatam hote hi Ruhi bolne lagi--" Ye to khatam ho gya. Abhi dusra bite lete lete khana thanda ho jayega."-- aur khadi ho gyi aur use bhi hath se kheech kar utha deti hai.
Dono room me gye. Baki log khana serve karne ke liye nikal rhe the. Ruhi kitchen ki taraf se hote hue bathroom jane wali thi tabhi uska face dekh Soniya puchne lagi--" Tumne phirse jagda kiya kya?"
Ruhi muskurate hue jawab deti hai--" I'm good meri Sona. Thoda sa jagda kiya but now I'm all good."-- bol use gale laga leti hai.
Sanjana dono ki baat sun wo bhi puchne lagti hai --" Are you fine?"
Ruhi use bhi muskura ke jawab deti hai--" Haa."
Phir sabhi khane pe beth jate hai. Khana kha kar dishes karte karte almost 1 baaj jate hai. Sabhi dono room me adjust kar raat ko wahi ruk jate hai.
YOU ARE READING
ARCHIE: My Love Fantasy
RomanceHere's the story of my fictional character i.e. Archie. Who fits into my standards. Ruhi a college student,who is not interested in love anymore falls for a guy. But will it be Ruhi's love of the life? Will they end up together?