Sheetal ko chot na lage isliye Rohan ne use side mein karke apni baahon mein bhar liya tha...wo dono neeche the..Rohan peeth ke bal leta tha..aur sheetal uski right arm par thi..halaki dono ko koi chot nhi lagi thi..sheetal bas Rohan mein simatte ja Rahi thi..raat ki wajah se bohot thandi hawa chal Rahi thi jiski wajah se sheetal ko bohot thand lag Rahi thi..usne kaskar Rohan ko jakda hua tha...Rohan bola..
Rohan : humein chalna chahiye wo log aate hi honge..uski baat sunkar sheetal kaanpte huye boli...
Sheetal : kkuch dder aiisse hi rahiye..mujhe thhthand lag Rahi hai..
Rohan bhi uski baat samajh raha tha..usne bhi sheetal ko apni baahon mein le liya...thodi der baad jab sheetal ko thand Kam lagi toh wo uthne ki koshish karne lagi par bandhe hone ki wajah se wo Rohan ke upar gir gyi..usne Rohan ko dekha jo uski aankhon mein hi dekh Raha tha..tabhi Rohan ne dupatta dono ki kamar se khol Diya aur dono khade ho gye...sheetal ne apna dupatta liya aur Rohan ke sath chalne lagi..wo dono aage gye toh unhein ek mitti ka dher dikha jiske upar ek bada sa ped tha...wahan par ek gaddhe jaisa bana tha..Rohan neeche gaya aur wahan par pade pattharon ko hatake wahin baith gaya phir usne sheetal ko neeche aane ka ishara kiya...wo jagah bohot choti thi...sheetal ko kahin bhi baithne ki jagah hi nhi mil Rahi thi kyuki Rohan ke saamne wo bohot choti si thi..tabhi sheetal Rohan ke aage baithne lagi toh uska hath ek bade se patthar se takraya aur uski baanh phat gyi aur khoon behne laga...sheetal dard se chillane hi wali thi ki Rohan ne apne hath se uska muh band kar diya aur use apni God mein kheech liya aur samne dekhne ka ishara kiya...wahan par do aadmi aa chuke the...Rohan ne sheetal ki baanh dekhi aur apne dusre hath se uske ghaav par hath rakhkar use daba Diya taaki khoon na bahe...sheetal ko bohot Dard ho Raha tha aur uski aankhon se aansu behne lage jo Rohan ke hath par gir rahe the...Rohan ko bhi sheetal ke dard ka ehsas ho Raha tha..par wo kuch nhi kar sakta tha wo bohot majboor tha...tabhi unke samne ek aadmi aa gaya jiski peeth unki taraf di..aur wo jhaadiyon mein kuch dhundh raha tha..use dekhkar dono ki dhadkanein badh gyin...tabhi Rohan ne paas pada ek bada patthar uthaya aur dusri taraf pure force ke sath pheka..jisse wo aadmi us taraf chala gaya..kareeb 15 min baad jab Rohan ne dekha ki wahan koyi nhi tha..tab wo khada hua..aur apne kapde jhaadte huye wahan se bahar nikla...sheetal se khada bhi nhi hua ja Raha tha..ek toh chot upar se thakawat...lekin wo abhi nhi ruk sakte the...Rohan ne sheetal ki chot dekhi phir apni jeb se apna rumaal nikala aur uski chot par kaskar baandh diya...Rohan ko apni koi chinta nhi thi use bass is baat ki tension thi ki kahin sheetal ke sath wo aadmi kuch na karein..upar se uske paas uski pistol bhi nhi thi..wo log bss chale ja rahe the...kareeb 30 min chalne ke baad unhein ek khet dikha...wo dono us khet mein ghus gye...aage jaane par unhein ek machaan dikhi jispar ek aadmi baitha kuch pee Raha tha...wo dono uske paas gye..aur use sab bataya..wo bhala aadmi tha..usne kaha..
Aadmi : Aap logon ko aaj ki raat yahin is Machan par bitani padegi.. kyuki Mera ghar yahan se kaafi door hai..
Rohan : Par agar hum yaha rahenge toh aap Kahan jayenge...
Aadmi : Are hamari chinta mat karo bhai...aapke sath bhabhi ji bhi hain..humara kya hai hum toh bahar Jo ped hai na uske neeche so jayenge...
Rohan ne uska shukriyada Kiya...aur Machan ke upar chadh gaya..sheetal ko samajh nhi aa Raha tha ki wo kaise chadhe...Rohan uski uljhan samajh Gaya tha..wo thoda jhuka aur sheetal ko uski baahon se pakad kar upar kheech liya...is wajah se sheetal uske upar aa gyi...phir wo uthke baith gyi..wo Machan zyada badi nhi thi..par us puri Machan ko Rohan ne gher rakha tha...sheetal ko samajh nhi aa rha tha ki wo kya kare...Rohan ne usse kaha...
Rohan : Dekhiye..hum dono ko hi aaram ki zarurat hai..yahan par zyada jagah nhi hai toh aap ek kaam kariye aap mere upar so jayiye...
Uski baat sunkar sheetal hichkichate huye boli...
Sheetal : Nhi..aap so jayiye..Mai aise hi thik hun..
Rohan : Mrs. Ahuja meri baat samajhne ki koshish kariye...aap bohot thaki Hui hain aur humein nhi pata ki kal humein kitna chalna pade.. isliye keh Raha hun...
Rohan ki baat bilkul sahi thi..wo log ek anjaane jungle mein the..sheetal ka phone toh pehle hi Pani mein gir Gaya tha..Rohan ka phone waterproof tha isiliye wo Bach Gaya par wo kisi kaam ka nhi tha par uske phone mein scanner hone ki wajah se Sameer uski location trace kar sakta tha...kuch sochte huye sheetal Rohan ke upar let gyi aur usne apna sar uske right kandhe par rakh liya...kuch der mein sheetal so chuki thi..par Rohan ki aankhon mein nind Kahan thi..sheetal ke uske itna paas hone se uski dhadkanein 100 ki speed se chal rahin thi..wo apne man mein bola..
Rohan : Aaj kitna kuch ho gaya..aaj meri wajah se aap kitna royin hain...wo sab mere dushman hain par wo aapko Target kar rahe hain..bass ek baar Mai yahan se nikal jaun phir dekhiyega ek ek se chunkar badla lunga..yahi sab sochte sochte dono so gye...idhar Kashmir mein.. Siddharth aur mitali ne ek bohot acha din bitaya tha...undono ne ek dusre ke sath bohot saare meethe pal bitaye...wo dono hi ek dusre ke pyar ke rang mein rang chuke the..duniya Jahan se bekhabar wo dono ek dusre mein khoye huye the...Unhein Indore mein huye haadse ke baare mein koi khabar nhi thi kyuki Rohan ne Sameer ko Siddharth ko batane se saaf inkaar kar Diya tha..wo nhi chahta tha ki uski wajah se Siddharth aur mitali ka honeymoon kharab ho..idhar Sameer ko Rohan ka msg Mila jismein usne kuch gadbad hone ki baat likhi thi..tabhi Sameer guards ke sath Indore ke liye nikal Gaya tha...par use Rohan ki location nhi mil Rahi thi..wo kaafi pareshan tha.. commissioner aur unki Puri team ke sath aur apne aadmiyon ke sath wo bss Rohan aur sheetal ko dhundhne mein laga tha...wo bass isi koshish mein tha ki Rohan apna phone on kare aur use uski location mil jaye..Rohan ka phone discharge hokar off ho chuka tha jis wajah se wo phone bhi on nhi kar paa raha tha...isi tarah raat beet gyi...
Subah Suraj ki roshni jab Rohan ke chehre par padi toh uski aankhein khul gyin..usne dekha ki sheetal sukoon se uske kandhe par sar rakhe so Rahi thi..Suraj ki roshni padne se uska chehra bilkul sone ki tarah chamak Raha tha...tabhi usne dekha ki sheetal kasmasa rahi thi..aur thodi hi der mein wo uth gyi..dono neech utar gye..tabhi wahan wo raat wala aadmi aaya aur bola...
Aadmi : agar aap log chahein toh yahan se kuch door par hamara Ghar hai aap wahan chal sakte hain....kal raat zyada thi is wajah se hum aapko Ghar nhi le ja paye...
Rohan ko us aadmi ki aankhon mein sachai dikhi isiliye wo uske sath chal diye..kuch der baad wo log uske ghar pahuche..wahan uski biwi bhi thi..uski biwi ne jab mehmano ko aaya dekha toh Pani le aayi..Rohan aur sheetal dono ne hath muh dhoya..us aadmi ne apni biwi ko unke baare mein sab bata Diya tha...tabhi Rohan usse bola...
Rohan : kya mujhe thodi der ke liye aapka phone mil sakta hai..
Us aadmi ne Rohan ko apna phone diya aur Rohan ne sameer ko call Kiya aur us phone ki location trace karke wahan aane ko kaha...kuch hi der mein wahan 4 gaadiyan aa gyin...wo aadmi samajh chuka tha ki Rohan koi mamooli insaan nhi hai...Sameer ne Rohan ko gale laga liya...Rohan ne us aadmi ka shukriyada Kiya aur use kuch paise Dene chahe par us aadmi ne mana kar diya...phir Rohan aur sheetal apni car mein baithke hotel aa gye..dono fresh huye..khana khaya aur dono hi so gye..wo kaafi thake huye the..Sameer ne bhi kuch bhi puchna sahi nhi samjha...shaam ko hi sab log Delhi ke liye nikal gye...raat Tak wo log Ahuja mansion mein the..dadi aur siyaji ka toh ro ro ke bura haal ho chuka tha..unhein sahi salamat dekhkar unlogon ne chain ki saans li.. Siddharth ne jab Rohan ko call Kiya tab bhi Rohan ne use kuch nhi bataya...Rohan ne sameer ko un sab ke baare mein pata lagane ko keh Diya tha...Raat ke 2 baj rahe the..sheetal apne room mein so Rahi thi...tabhi uski aankh khul gyi..usne apne bagal mein dekha wahan Rohan nhi tha..use pyas lag Rahi thi..par jug Khali tha..wo Pani lene neeche gyi..jab wo pani lekar upar aa rahi thi..tab use peeche ki taraf se ek roshni aati dikhi..wo jug table par rakhkar us taraf gyi...usne jaakar wahan dekha toh wo ek basement tha..ye dekhkar wo thoda dari..phir neeche gyi..sabse neeche jaane par use ek room dikha jisse roshni aa rahi thi...wo wahan gyi aur Jo usne dekha use dekhkar uski aankhein badi ho gyin aur wo behosh hokar gir padi...wahan par Rohan ne berehmi se ek aadmi ki aankhon mein chaku maar diya tha....aur wahan khade Sameer aur sunny ne kuch nhi bol Raha tha....
1 ghante pehle...
Rohan aaram se so Raha tha tabhi use Sameer ka call aaya aur wo basement mein Bane room mein aagaya wo wahan sofe par baitha tha..uske saamne ek aadmi ghutno ke bal baitha hua tha..uske hath pair bandhe huye the use dekhkar lag raha tha ki kisi ne use buri tarah mara ho..phir bhi us aadmi ke chehre par koi shikan nhi thi..shayad use pata tha ki ab wo Zinda nhi bachega..wo aadmi tha...Amit yadav..Shreya ka bhai...Rohan bohot hi thande leheze mein bola...
Rohan : Bolna shuru karo..
Amit : Tumhari wajah se meri behen ki jaan chali gyi...meri family sadak par aa gyi..mere papa ko heartattack aate aate bacha..aise mein Mai tumhe kaise chod sakta tha..meri behn ne Marne se pehle mujhe bata Diya tha ki Rohan ahuja...jise hum underworld wale...Maut ka darwaza kehte hain..uski bhi ek kamzori hai..bass phir maine soch liya ki ab tujhe bhi Mai waise hi tadpa ke marunga jaise meri behn tadap ke Mari hai...aakhir meri behn ki galti kya thi...
Rohan ke chehre par gussa saaf dekha ja sakta tha..uski aankhein kisi daravne manzar se Kam nhi thi..wo bohot hi khatarnaak dikh raha tha..wo bola...
Rohan : teri behen ne meri duniya ujaadne ki koshish ki..aur Rohan ahuja ki duniya par kisi ki nazar bhi pade ye use pasand nhi...ek baar ke liye agar wo mujhe kuch karti toh shayad Mai uski Jaan baksh deta..par usne toh us insaan ki jaan lene ki koshish ki jismein meri Jaan basi hai...wo maatra ek shakhs nhi..meri Puri duniya hain..aur ab tune bhi wahi Kiya toh chal tujhe bhi Teri behn se Milne ka man ho Raha hoga toh Teri ye iccha Puri kar deta hun....Jin buri nazron ko tune sheetal ke upar dala ab wo hi nhi rahengi.....
Ye kehke Rohan ne ek khanjar uski aankhon se aar paar kar diya...
Tabhi use kuch girne ki aawaz aayi...usne door ki taraf dekha toh sheetal behosh hokar wahan gir gyi toh..use dekhkar Rohan ne jaldi se use apni baahon mein uthaya aur Sameer ko dr. Ko call karne ka bolke wo use apne room mein le gaya..wahan le jakar usne use bed par litaya aur pareshani se kehne laga...
Rohan : Mrs. Ahuja..apni aankhein kholiye..suniye na please...
Tabhi wahan Dr. Aayi..usne sheetal ko check kiya aur ek injection lagakar bolin...
Dr. : Dar ke kaaran ye behosh ho gyin thi..ab ye thik hain kuch der mein inhein hosh aajayega..
Phir Sameer dr. Ko neeche chodne chala gaya...Rohan ek tak sheetal ke chehre ki taraf dekh raha tha..kuch der pehle uska wo chehra wo daravna tha..ab pareshani se bhara hua tha...tabhi sheetal ne dheere dheere apni aankhein kholin..Rohan ne usse kaha..
Rohan : Aap thik toh hain na....
Sheetal use dekhkar bohot Darr gyi aur peeche khisakte huye boli...
Sheetal : Aaaap..mmujhsee dddooorr rahiye... please..mujhe kuch mat kariyega please Maine kuch nhi kiya...ye kehte huye usne khudko apne hathon se cover kar liya...Rohan uski aankhon mein khudke liye Darr saaf saaf dekh sakta tha..wo jaise hi uske thoda kareeb hua sheetal phir darte huye peeche khisakne lagi..uski aankhon ka darr Rohan ko bohot Dard de Raha tha...usne uske hath ko pakad liya aur bola..
Rohan : Mai aapko kuch nhi karunga..meri baat toh suniye..
Sheetal ne jhatke se apna hath usse chuda liya aur boli...
Sheetal : Nnnhii mujhe mat chuo..ddooor raho mujhse...
Rohan ne ek jhatke se uska hath chod Diya aur bola...
Rohan : Thik hai aap..so jaiye....
Sheetal : nnhii..mai yahan nhi so sakti..Mai ja Rahi hun yahan se...
Rohan : Aapko kahin bhi Jane ki zarurat nhi hai..
Aur wo uthke apne study room mein so Gaya..sheetal wahin darte huye bed par let gyi..uski aankhon se aansu gir rahe the...wo apne man mein boli...
Sheetal : aakhir unhone Amit ko kyu mara..wo toh kitna acha tha na..sheetal ko yaad hai..Amit uske sath office mein hi kaam karta tha..wo hamesha sheetal ki help karta tha...Sheetal sochne lagi..
Sheetal : uske papa mummy ka kya hoga...wo kehta tha ki uski ek behen bhi hai jisse wo bohot pyar karta hai..Mr. ahuja itne nirdayi kaise ho sakte hain...wo kaise kisi ki jaan...
Ye kehte hi wo rone lagi..rote rote kab uski aankh lag gyi use pata hi nhi chala...
Idhar Rohan study room ke sofe par baitha tha...apne chehre ko apne hathon mein chupaye use bss sheetal ka wo dara hua chehra yaad aa raha tha...uski aankhon se ek katra aansu uske gaalon par aagya...tabhi study room ka dusra darwaza khula aur Sameer andar aaya..Sameer ne Rohan aur sheetal ke beech ki saari baatein sun Lin thi... Sameer ko dekhte hi Rohan ne use apne gale se laga liya...Sameer bhi uski haalat ko bakhubi samajh raha tha...Rohan bola...
Rohan : Sameer...wo mujhse Darr rahin hain..Mai kaise samjhaun unhein..ye sab Maine unke hi toh liye Kiya tha....unki aankhon mein Jo Darr Maine dekha hai na apne liye...yrr lag raha hai kisine mere Dil mein khanjar chala Diya ho...
Sameer : Rohan tu chinta mat kar...Mai use samjhaunga.....use bataunga..ki tu usse kitna pyar karta hai..ye sab tune uske hi liye kiya..
Rohan : nhi...tu unse kuch nhi kahega...wo pehle hi bohot dari huin hain..Mai nhi chahta ki unhein aur takleef ho..
Sameer : par Teri takleef ka kya Rohan..use is haalat mein dekhkar tujhe takleef nhi ho rahi hai kya...
Rohan : mera kya hai..wo meri aankhon ke samne rahein...meri zindagi kat jayegi...
Sameer apne man mein bola...
Sameer : Ye pyar nhi hai..ye deewanagi hai...
Phir Sameer Rohan ko aaram karne ka bolke chala gaya...Rohan kamre mein aaya aur soti hui sheetal ko dekha..jiske chehre par aansuon ke nishan the jo sukh chuke the..dekhke pata chal raha tha wo kitna royi thi..Rohan ke Dil mein ek tis si uthi..usne time dekha..subah ke 4 baj rahe the...usne change Kiya aur gym mein chala gaya..kareeb 2 ghante baad wo room mein aaya...shower liya aur ready hoke neeche aaya..wahan Sameer siyaji aur dadi dining table par baithe the..sheetal unke paas khadi sabko breakfast serve kar Rahi thi..uske chehre par koi bhaav nhi the...usne ek nazar bhi Rohan ko nhi dekha..Rohan apni chair par baithke breakfast karne laga..uski nazar sheetal par hi thi..usne breakfast Kiya..toh sheetal siyaji se boli..
Sheetal : Mom..Mai bhi Aaj se office jaungi..
Siyaji : Okay beta..tum ready ho jao aur Rohan ke sath chali jao...
Sheetal ne kuch nhi kaha aur room mein jaakar ready hoke aagyi...Rohan apni car ki driving seat par baitha tha..sheetal aayi aur uske bagal wali seat par baith gyi..Rohan ne gaadi aage badha di..is beech uski nazar kayi baar sheetal par gyi..par sheetal ne use ek nazar bhi nhi dekha baat karna toh bohot door ki baat hai..Sameer bhi office aagya tha..aur apne cabin mein baithke kaam kar raha tha...sheetal bhi apne cabin mein baithi kaam kar Rahi thi..aur Rohan apne cabin se bss use dekh Raha tha..uska kaam mein bilkul man nhi lag raha tha..phir bhi wo kaam karne laga..sheetal din bhar apne cabin mein baithi kaam karti rahi...usne lunch bhi nhi kiya..shaam ko wo Sameer ke cabin mein gyi aur use din bhar ki saari report de di..uske baad wo Bina Rohan ko bataye Ghar chali gyi..Rohan aur Sameer bhi sath mein Ghar aaye...unhein kaafi der ho gyi thi..Rohan kamre mein gaya toh dekha ki sheetal bed par baithi book padh Rahi thi..wo closet room mein gaya aur change karke aagaya..wo bhi sheetal ke dusri side bed par baith gaya..uske baithte hi sheetal ne book side mein rakhi..apna pillow aur ek blanket liya aur sofe par jaakar so gyi...Rohan bass bebasi bhari nazron se use dekh Raha tha...Wo uthkar study room mein chala gaya aur wahan ke sofe par let gaya uske hathon mein uska phone tha jispar sheetal ki photo show ho rahi thi..use dekhte huye hi wo so Gaya...aise hi ek hafta beet gya.. Siddharth aur mitali jab Ghar aaye aur unhein Rohan aur sheetal par huye hamle ka pata chala toh wo dono se hi naaraz ho gye..par Rohan aur sheetal ne unhein mana bhi liya..ab 12 din ho chuke the..par sheetal ne Rohan se baat nhi ki..jab bhi Rohan usse baat karne ki koshish karta wo use ignore kar deti...Rohan bohot hurt tha..sheetal ke is bartaav se par wo chahke bhi use kuch nhi keh sakta tha...aakhir aise hi wo use apni jaan nhi kehta tha...Sheetal ka haal bhi kuch Aisa hi tha..Rohan ko ignore karke use bhi koi Khushi nhi mil Rahi thi..par uske man mein abhi bhi wo khanjar wala scene aajata tha..jisse wo Darr jaati thi..use nhi pata tha ki Rohan ne aisa kyu kiya..use lag raha tha ki wo Rohan se baat kare ya na kare Rohan ko isse zyada koi fark nhi padega..wo nhi samajh payi thi ki ek usiki wajah se Rohan ko fark padta tha...is beech unka bharadwaj wala project bohot acha chal raha tha...is beech bharadwaj wale project mein ek Naya member aaya..uska naam Aryan Desai tha...wo sheetal ka kaafi acha dost ban Gaya tha....ek din Aryan ne sheetal se kaha...
Aryan : Sheetal..kya tum mere sath coffee peene chalogi..
Sheetal : Nhi yrr..mujhe Ghar Jana hai..
Aryan : Please na..chalo na..pakka sirf ek coffee..aur mujhe tumse meeting ke kuch topics discuss karne hain..
Sheetal : Acha thik hai..
Wo log ek cafe mein gye..aur coffee order ki..sheetal coffee peene hi wali thi ki uske phone par ek call aagaya..wo dusri taraf jaake call pe baat karne lagi..tabhi Aryan ne apne jeb se kuch powder jaisa nikala aur sheetal ki coffee mein Mila di..sheetal uske paas aayi aur baat karte wakt jaise hi coffee ko apne hothon se lagane wali thi..ki kisi ne us coffee ko jhatak ke dusri taraf fek diya...wo coffee gir gyi..phir wo shakhs aaya aur Aryan ka collar pakad liya..use dekhkar Aryan Darr se kaanpne laga..aur bola...
Aryan : Sssirr..Aaap..
Wo Rohan tha..uski aankhein gusse se laal thi..usne Aryan ko maarna shuru kar diya..wo use bohot buri tarah maar Raha tha..maar khate khate Aryan adhmara ho gaya tha..Sheetal ye sab dekhkar shocked khadi thi..tabhi wahan Sameer aaya aur Rohan ko peeche se pakadte huye bola...
Sameer : Rohan..chodo use wo marr jayega..
Rohan : Toh marr Jane do..
Aur usne Aryan ko maarna jaari rakha...Sheetal se Raha nhi gaya aur wo chillayi..
Sheetal : Rohan...chodiye use..
Sheetal ki aawaz kaan mein padte hi Rohan ruk gaya...wo sheetal ka hath pakadke apni car mein aaya..aur car ko beach ke paas laake rok diya...sheetal ki aankhon se aansu beh rahe the...dono gaadi se bahar nikle..sheetal Rohan ke aage khadi thi..wo boli..
Sheetal : Kyu mara aapne use...aapne Amit ko bhi mara aur Aryan ko bhi...aapne ek baar bhi nhi socha ki unke gharwalo ke baare mein...aakhir kya bigada tha unhone aapka..kyu kiya aapne Aisa...Rohan...kyu Kiya...
Rohan ne uske hathon ko pakadke gusse mein kaha...
Rohan : Kyuki us Aryan ne aapki coffee mein nind ki dawa milayi thi..
Sheetal : Aur bass itne se ke liye aapne uske sath Aisa Kiya..aur Amit uski kya galti thi...mujhe toh yakeen nhi hota ki Mai aise insaan ke sath reh Rahi hun jisne kisi ka khoon Kiya ho..chale jaiye yahan se mujhe aapki shakal bhi nhi dekhni hai...
Uski baatein sunke Rohan ka dil cheetkaar kar raha tha..usne bohot hi thande leheze mein kaha...
Rohan : Thik hai...
Phir Rohan wahan se chala gaya aur Sameer ko msg kar diya..sheetal wahin baithke rone lagi...tabhi Sameer wahan aaya..usne sheetal ke sar par hath phera toh wo uske gale lag gyi aur boli...
Sheetal : Unhone Amit ki jaan le li..aur aaj Aryan ko bhi itna mara ki uski Jaan hi chali gyi hoti..unhone Aisa kyu Kiya Sameer...wo aise kaise kar sakte hain...
Sameer : sheetal tumhe kuch nhi pata...
Sheetal : kya nhi pata mujhe..
Sameer : Rohan..wo tumse pyar karta hai...wo bhi beintehaa... bepanah...
Sheetal : Toh iska matlb wo kisi ki jaan le lenge...