Part 10 (Last)

662 125 57
                                    

Please vote before, while or after reading this part 🙏🏻🙏🏻
______________________________________

Sidharth reached the hospital hurriedly and entered Shehnaaz's ward. A doctor was checking her when Sidharth came there while breathing heavily.

"Shehnaaz....."

He took her name and she looked at him. There was a bandage on her head and plaster on her left hand.

"Sidharth." She uttered and he ran towards her. His body was still shivering because of fear.

"Shehnaaz tum... Kya hua tumhe?... Tum thik ho na?" He asked being restless.

"Sidharth kuch nahi hua. Main bilkool thik hoon." Said Shehnaaz giving him assurance.

"Nahi. Tum thik nahi ho. Tumhe bohut chot lagi hai. Yeh sab meri galti hai. Maine gusse mein tumhara phone kat diya iss hi wajah se yeh sab hua. Main bohut bura hoon." Said Sidharth almost crying.

Shehnaaz caressed his face and said laughing, "Kya bol rahe ho tum? Koi sense banta hai inn sab baaton ka? Accha, doctor yaaha pe khadi hai, unse puch lo."

Sidharth looked at the doctor with teary eyes who said, "Sach mein darne ki koi baat nahi hai Mr. Shukla. Accident ki wajah Mrs. Shukla ke sir aur haath mein thodi injury hui hai. But there is nothing serious. Hum inka ek aur baar check up kar ke aaj hi inhe discharge kar denge. Phir aap ghar le jaana apni wife ko. Thik hai?"

Sidharth calmed down a little hearing the doctor's words.

"Waise Mrs. Shukla aap bohut lucky hai. Aap ke husband aap se kuch zyada hi pyaar karte hai." Said the doctor to which Shehnaaz blushed.

After the doctor left, Shehnaaz looked at Sidharth and said, "Kaise bacchon ki tarah ro rahe the doctor ke saamne. Aasu pochho."

Sidharth wiped his own tears and asked sadly, "You hate me na?"

Shehnaaz made a surprised face and said dramatically, "Arrey yeh toh mera top secret tha. Tumhe kaise paata?"

"Ahhaaan! Shehnaaz I'm serious. Maine faltu mein tumpe kitna gussa kiya. Jab ki tum sahi hai. Iss moment pe humara pura focus apne business pe hona chahiye. Humein apna khud ka restaurant kholna hai aur bhi kitne sapne hai humare. Mr. And Mrs. Shukla's Kitchen Mumbai mein hi nahi, pure India mein famous karna hai. Isliye maine decide kiya hai, main woh job nahi le raha."

"Sidharth zaldbaazi mein aisa koi decision mat lo jiska tumhe baad mein regret ho. I know woh job tumhare liye kitna important hai. Tumhari khushi hai uss mein...."

"Nahi Shehnaaz." Said Sidharth interrupting. "Main uss waqt khush sirf isliye tha kyu ki itne saare rejections ke baad mujhe finally ek job mila tha. Agar maine woh job le liya toh humein aur struggle nahi karna hoga. Sab kuch pehle jaisa ho jayega. Lekin phir hum woh sapna pura nahi kar paayenge jo hum dono ne saath mein dekha hai. Yeh restaurant meri zindagi hai kyu ki iss mein hum dono ka naam saath mein hai. Aur agar Mr. and Mrs. Shukla saath ho toh kuch bhi mushkil nahi hai. Chahe kitna bhi struggle kyu na karna pade, hum apna yeh sapna milke pura karenge."

Saying that, Sidharth kept his hands on Shehnaaz's while she looked at him being emotional and nodded her head smiling.

"Aunty! Kaise ho aap?" Asked a little boy coming to Shehnaaz.

She looked at the boy and said, "Arrey tum. Tum thik ho na? Tumhe kahi chot toh nahi lagi?"

The little boy nodded in no and said, "Mujhe chot nahi lagi kyu ki aap ne mujhe superhero ki tarah bacha liya. Uske liye thank you Aunty."

"Thank you mat bolo. Balki promise karo ki tum aage se bich sadak pe aise nahi bhagoge. Traffic ka khayal rakhoge."

"Promise." Replied the little boy to which Shehnaaz chuckled.

SidNaaz Short Stories: Kahaniyaan Pyaar KiWhere stories live. Discover now