Please vote before, while or after reading this part 🙏🏻🙏🏻
______________________________________Sana's face fell after Sidharth rejected her without even thinking twice.
"Seedha reject kar diya? Yeh toh expect nahi kiya tha. Itni kharab hoon kya main?" Thought Sana making a confused face.
She then looked at Sidharth and said, "Dekhiye aap ko time chahiye toh le sakte hai. Mujhe koi zaldi nahi hai. At least aap iss baare mein sochiye toh. Phir jawab dena."
Sidharth sighed and said, "Iss mein sochne wali koi baat nahi hai. Humare bich kabhi pyaar jaisa rishta nahi ho sakta."
"Kyu nahi ho sakta?" Asked Sana making a pout. "Dekhiye main dikhne mein buri nahi hoon, ladki acchi hoon, character thik hai, apne umar ki baki ladkiyon ki tarah dusre ladko ke saath chakkar nahi hai. One man woman hoon. Aap ke saath humesha loyal rahungi aur aap se bohut pyaar karungi. Shaadi se pehle ghar ka kaam shikh lungi aur aap ki seva bhi karungi. Aur kuch chahiye ho toh baata di jiye, main kuch bhi kar sakti hoon."
Sidharth couldn't stop himself from laughing at her words.
"Sana tum... Tum abhi bacchi ho, naadan ho. Tumhe lag raha hai ki tumhe mujhse pyaar hai, par aisa kuch bhi nahi hai. Iss umar mein aisa hota hai, I can understand. Jitni zaldi ho sake yeh sab dimaag se nikaal do."
"Dimaag se kaise nikalu? Feelings toh dil mein hoti hai na?"
"Haan par...."
"Pehle aap yeh baataiye aap mujhse pyaar kyu nahi karte? Kya problem hai mujh mein?"
Sidharth smiled looking at her and said, "Tum mein koi problem nahi hai. You are perfect. Lekin main tumse umar mein bohut bada hoon. Main tumhe uss nazar se dekh bhi nahi sakta. Tumhe pyaar karna hai toh apne umar ke ladkon se karo. Dekhna tumhe bohut accha ladka milega. Aur tab tumhara yeh bachpana bhi chala jaayega."
Sana nodded in no as she couldn't agree with Sidharth. She failed to understand how does age matter when there is true love?
Before she could say anything, Sidharth said, "Chalta hoon."
He turned and started leaving.
"Sidharth!" Called Shehnaaz and he stopped.
"Aap jise bachpana keh rahe hai, woh saccha pyaar hai mera. Sacche pyaar mein umar ki seema nahi hoti. Aap chahe mujhse kitne bhi bade kyu na ho, mera dil toh aap pe hi aaya hai. Aur mera yeh dil bohut ziddi hai. Ek baar aap pe aa gaya, ab kisi aur pe toh yeh aane se raha. Filhaal aap ki naa hai par main jaanti hoon aap bhi kahi na kahi mujhse pyaar karte hai. Isliye toh mere ek call pe taurant mere paas aa gaye. Ab aap dekhte rahiye, aap ki iss naa ko main kaise haan karwati hoon. Shehnaaz Gill hai mera naam, itni asani se haar nahi maanungi."
Shehnaaz giggled saying that while Sidharth looked at her and nodded his head in disbelief thinking it as her childishness. After that he left from there.
"Haaye! Unhone jaane se pehle palat ke dekha. Ab toh confirm hogaya ki unhe bhi mujhse pyaar hai." She thought blushing.
Later that night, Sana was in her room and watching stars while thinking something deeply.
"Har love story mein koi na koi problem hoti hai. Humari love story mein problem age hai. Lekin age kaise problem ho sakti hai? Mummy ne kaha tha Nanu aur Nani ka age gap 15 saal ka tha, Papa ke hisaab se Dada aur Dadi ke bich age gap 17 saal ka tha. Mere aur Sidharth ke bich toh sirf 13 saal ka gap hai. Phir bhi unhe itni problem hai. Babaji aap ne Sidharth ko 10-12 saal baad dharti pe kyu nahi bheja? Itna confusion nahi hota phir.... Kya woh meri kismat mein hi nahi hai?"
![](https://img.wattpad.com/cover/374806984-288-k405881.jpg)
YOU ARE READING
SidNaaz Short Stories: Kahaniyaan Pyaar Ki
Short StoryAnother collection of Short Stories