anjaani call

2 0 0
                                    

Aaj ka mousam waqai kitna khubsurat hai lagta hai iss mousam par kuch likh hi du mai (faiza muskura kar apni balcony mai bethai keh rhi thiii)

Aaah.....kya likhu mai iss mousam ke baare mai ..lafz khatam ho jaate hai ise batane mai ...kuch baarish ki boonde toh kuch ....sansanati hawaye ...lagta hai jaise Hume apni aur bulaye....ufff ye baarish ki boonde..........
(Wo aage kuch kehti ke uski ammi ne usse bola....haa haa bolo or kya bolna hai baarish par)
Ammi aap meri baate sunn rahi thiii(wo muskura kar apni diary band karte boli)

Jiii haa mai aapki baate sunn rahi thii....aap akele mai jo gungunati hai baate wo hi sunn rahi thiii...kyoki aap toh zyada bolti nahi hai ( faiza ki ammi uske barabar mai aakr bethte boli)

Kya karu ammi ab mere koi bhai behen toh hai nhii jinse baate Karu ...ek loti hu and jo baat krti hu aapse hi toh karti hu
"Par beta tumhe apne dosto se bhii baate karni chahiye and tumhare cousin hai unse Karo wo bhi toh bhai behen hai tmhare"( wo smjhate huye keh rhi thii)
"Jii par ammi aapko toh maloom hai na mujhe akele waqt bitana pasand hai...or kisne kha mere pass dost nhi hai"( wo hans kar boli)
Achaa ....mai toh bss "Sarah" ko jaanti hu baaki or dost ke toh naam bhi nhi sune mene
"Ufff ammi itne kitaabe jo hai mere pass wo saari meri dost hai and mujhe unke saath waqt bitana pasand hai"
"Achaa"
"Ab ye jo pakore garam garam mai laai hu chalo shabash Khao ise....or tmhari favourite coffee "(wo muskura kar boli)
"Acha ye jo khane ka saman mai laayi hu tm khaogi ya mai kitaabo ko de du"

(Abki baar faiza bohot hansi thiii ammi ki iss baat se)
"Nhi nhi" ammi mai khaungi meri kitaabo ko na dijiyega
|Ab faiza apni ammi se baate kar rahi thii aur baarish ke maze le rhi thii|

"Kuch waqt baad faiza ka phone Baja"
Achaa tum baat karo mai tumhare abbu ko naashta de kar aati hu ( ye keh kar faiza ki ammi uske room se chali gayi)

"Hello" (faiza ne call pick karke kaha)
"Hey" kesi ho ?? Faiza
Mai theek" Allhumdulilah" Aap kon??
Ohh don't say ke tum mujhe pehchani "nhii" ( call par koi hans kar bola)
Jii nahi mai aapko nahi pehchani .apna taroof karaye.
Ab tum meri awaaz bhi bhul gayi waah !!!
Agar aapko nahi batana toh na bataya mera waqt zaaya na kare!!!
"Arey "pehchanogi pehchanogi sabr rakho....(Call ke dusri taraf waala shaqs muskura kar keh raha thaa)
Jii mujhe jaanne mai koi dilchaspi nahi hai toh mehrbaani aapki dobara call na karna. ( Ye keh kar faiza ne call cut kardi)

Ab wo coffee ka ghoot lete sochne lagiii "kon thaa ye shaqs jisko mera naam bhii maloom hai"
Ye wo nhi ho sakta jo saalo pehle mujhe chord Gaya or ab wapas aayega....toh kon tha ye shaqs ??? ( Wo khud mai ulajhti hui khud se boli)
.
Aaj Tak mai uss shaqs ke dhoke se bahar nahi aayi or wo mujhe ab call kyo karega mai toh sab bhul gayi pr uski yaad nahi bhula paayi .( Ufff allah ye pareshani mujhe kyo aati hai jab bhii khush hoti hu toh humesha koi pareshani dastak de deti hai)
Agar phir call aayi toh ache se puch lungi ke kon hai !!! ( Wo mann hi mann boli.

"Kuch uljhane mere andar hai
Kuch uljhano se sulajhna mujhe andar hi andar hai
Na jaane kab khatam hongi ye uljhane jo meray andar hai"

(Wo apni diary mai zara sii shayari likh kar apne room mai wapis aa gayi)

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: 6 hours ago ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Ek Anjaani Mulaqaat Where stories live. Discover now