makaafat-e-amal

128 9 5
                                    

"agle din shazain and faiza sarah ka waleema attend karke ghar wapas aaye......aur shaadi ki picture dekhne ke liye laptop on kiya...."

Dekhein shazain.....ye picture kitni achii aayi hai aapki (faiza ne shazain ko dekh kar kaha)

Hmm....ab aapka shohar hai hii itna smart (shazain ne muskura kar kaha)

Waqai....aap kuch zyada hi smart hai...par ye smartness bass mere liye hai okay shazain (faiza ne masoomiyat se kaha)

Ab mai aapka huu toh....meri smartness bhii aapki hui (shazain ne usii andaaz mai kaha)

Wese...Sarah and Arhaan bhai kii jodii kaafi achii lagti hai (faiza ne laptop ko dekh kar kaha)

Haa.....ab humari tarah unkii bhii Jodi best hai....dono pyaare hai....(Shazain ne muskura kar kaha)

"Ab faiza shazain ke baaju par sar rakh kar......bed se tek lagaye....laptop mai pictures dekh rahii thiii"

"Aadhi raat ko faiza kii aankh khuli.....toh wo paani peene ke liye uthii aur seedha hokar bethii phir shazain ki jagah par dekha toh ....wo waha nahii thaa.....faiza ne room ke chaaro taraf dekhaa....par wo kahi nahii thaa....phir washroom ka gate khula aur shazain towel se mooh pochta huaa room mai daakhil huaa"

Arey aap jaag rahii hai? (Shazain ne sawal kiya)

Jii..... tahajjud ke waqt apne aap aankh khul jaati hai meri isliye paani pee kar namaz ke liye jaa rahi thii (faiza ne kaha)

Achaa toh ....phir chale saath mai tahajjud ki namaz ada karte hai (shazain ne muskura kar kaha)

Jiii .....par shazain mai Darr gayii thii ke aap kaha chale gaye...(Faiza ne aahista se pareshani mai kaha)

"Shazain uske pass guthno ke bal Beth kar uske dono haatho ko apne haath mai le kar.....uski aankho mai dekh kar kehta hai "

Maii kahii nahii jaa sakta tumhe chord kar .....aur kabhii ye khayal bhii na laana apne zehen mai ....ki mai kahi chala gaya .....mai humesha tumhare pass hii hu (shazain ne bohot mohobbat se kaha)

"Faiza bed par nazre neeche karke bethii thiii aur ek nazar shazain ki aankho mai dekhti hai ....jo uske dono haatho ko apne haatho Mai liye use hi dekh raha thaa"

Maii wuzu karke aati hu phir namaz ke baad bohot baatein karenge (faiza ne narmi se kaha)

"Ab wo dono namaz ke liye khade ho gaye thaiii aur kuch waqt baad dono ne namaz ada karke dua ke liye haath uthaaye"

Ya allah mai chahti hu....shazain humesha mere saath rahe....kabhii uskii zindagi mai pareshani na aaye.....agar pareshani aaye bhi toh mujhe humesha uske liye khada rakhna....kabhi usse dur na karna.....ya allah aap toh jaante hai mai kitna mohobbat karti hu usse......use kabhii dukh aur dard na dena.....ya allah hume apni ibadat aur mohobbat se dur na karna ......(Aur bohot siii duayein faiza maang rahii thiii)

Aey mere allah.....mujhe aesa bana dein kii mai apni biwi ki hifazat kar saku...har mushkil har pareshani se uski hifazat ka zariya ban saku....kyoki pareshani dur karne waale aur hifazat karne waale toh aap hai...bass mujhe zariya bana dijiyega meri biwi ki hifazat ka......ya allah mera dil bhatakne na dena....mai apni biwi ke liye mukhlis rehna chahta hu.....puri zindagi bass faiza ka chahna chahta hu.....uskii zindagi ko sawarna chahta hu....ya allah mai apne liye kya hii maangu bass mujhe deen par qayam rehne waala bana aur ek acha beta aur shohar bana ....aur meri biwi ki har jayez tamannao ko pura karna....meri faiza ko humesha khush rakhna (aur wo bohot si duayein maang raha thaa )

"Dono ne ek saath chehre par haath fer kar......tasbeeh padhlii ......phir shazain faiza ke god mai sar rakh kar usse baate karne laga"

Acha kya maanga dua mai ? (Shazain ne uski god mai sar rakhein rakhein uske chehre ko dekh kar kaha)

Ek Anjaani Mulaqaat Where stories live. Discover now