faiza missing

184 6 4
                                    

"Agle din subah jab Faiza ka kuch pta nahi chala toh uske abbu ne decide Kiya kii uski report wo police station mai darj karaye "
Kaha Jaa rahe hai aap?(Fatima sheikh ne pucha)
Police station......police se madad lene (faiza ke abbu ki aankho mai aansu ke katre thai )
"Ye keh kar unhone apni car nikali aur police chal diye....."
"Faiza ki ammi ka rote rote bura haal ho gaya thaaa...."

"Sarah unke ghar aayiii aur uski ammi ko sahara diya.....phir wo dono Faiza ke room mai jaa bethai .....aur uski har cheez ko dekhne lage...."

Aunty ye painting faiza ne kab banayi?

Maloom nahii parso toh thii nahii uske kamre mai shayad kal book lene jaane se pehle banayii ho...par tumne aesa kyo bola?
Kyoki faiza ne btaya thaa kiii......wo jo bhii khwaab dekhti hai uski painting bana deti hai ....jo khwaab usko bakhoobi yaad ho....!!!

"Phir uski ammi ne painting ko dhayan se dekha....par iss painting mai toh sirf Andhera aur kuch roshni hai aur iss painting mai deevar par jo picture lagi hai uss par "I wanna be yours" likha hai"
Shayad wo kisi pareshani mai toh nahii!!(Sarah pareshani se boliii)

"Aese hi faiza ko dhoondte dhoondte 1 hafta kab beet gaya pta hi nahii chala.....jab aathwe din Sarah apne college jaane ke liye metro station par khadi huii tab shazain aur Arhaan uske pass aaye......."
Aap itne din yaha aa kyo nahi rahi thii aur aapki dost kaha hai?(Shazain ne pucha)
Wo....wo......nahi hai (sarah ki aankho mai beikhtiyar aansu aaye)
Kya hua aapko aap ro kyo rahi hai?(Arhaan ne uski ankho mai aasu dekha aur phir bola)
Arey btaiye kya hua.....aur wo nahi hai....iska kya matlab hai ..?(Shazain ne pareshani se kaha)
1 hafte pehle Sunday ko faiza bookshop book lene gayi thii but wo akele gayii thiii kyoki mai apne relatives ke ghar par thiii par .....wo Sunday se gayab hai....kuch pata nahi chal raha uska (Sarah behte aansuon ke saath keh rahi thii)
Kaha gayii faiza ?(Arhaan ne heraani se kaha)
Pata nahii kuchh bhii....Aaj mai college leave application dene jaa rahi hu faiza aur apna....phir mai dhoondungi apni dost ko (wo aansua ko saaf karte boli)
Aap akele nahi dhoondengi usko (Arhaan ne kaha)
"Akele hi ho gayi hu.....faiza ke ammi abbu itne pareshan hai jiski wajah se unhone apne tabiyat kharab karli aur police koi kaam dhang se nahi kar
rahiii"
Hum hai aapke saath aur Faiza ko hum saath mai talaash karenge (shazain aankho mai udaasi liye bola)
Kya such mai aap dono mera saath denge (sarah ko jaise unn dono par yakeen aa gaya thaa)
Jiii haa.....aur Faiza ko kuch nahi ho sakta.....mai kuch hone nahi doonga usko....(Shazain bola)
Par aapko hume faiza ke baare mai har baat tafseel se Batani hogi jisse hume use dhoondne mai aasani hogi(Arhaan Sarah ki taraf dekhta bola)
Achaa abhii college Mai kuch kaam hai wo karke aap dono se kisi cafe mai milti hu phir har ek baat bataungi.....shaam 5 baje milte hai cafe ka address mai send kar dungi aapko (Sarah boli)
But number? (Arhaan ne phone on karte bola)
"Sarah ne Arhaan ko apna number likhwaya phir wo metro mai chali gayiii"
Chalo hume bhii jaana hai college (Arhaan ne metro ki taraf ishara karte bola)
"Filhaal mai jahaa bol raha hu waha chalo......wapas chalo"

"Wapas chalo matalab"

Sawalat ka time nahi hai wese bhii 1 hafta ho gaya faiza ko gayab huye ab aur mai late nahi kar sakta (shazain bola)
"Ab wo dono wapas car parking mai gaye aur apni car nikali"
Ab bta kidhar jaana hai (Arhaan ne pucha)
Ye dekh iss address par jaana hai (shazain ne apne phone mai use ek address dikha kar bolaa)
"Arhaan car ko tezi se drive kar raha thaa aur shazain se baate kar raha thaa"

Wese gayab kaha ho sakti hai wo ?(Arhaan ne kaha)
Pata nahii.....bass jaha bhii ho theek ho bass ye hi dua hai (shazain ne aahista se kaha)
"Par 1 hafte se gayab hai....tujhe ab bhii lag  rha hai wo theek hogi?"

"Matlab mai samjha nahiii"

Matlab ye kii.... mostly cases mai hota hai.....ladki agar gayab ho jaati hai toh use bech dete hai dusre mulk ya phir.....Khair sab theek hoga(Arhaan ne kaha)
"Aese mat bol yaar......mai use nahi kho sakta na hi bhul sakta hu....mai kuch nahi hone dunga use"(Arhaan ne pareshani se kaha)

Ek Anjaani Mulaqaat Where stories live. Discover now