"Monday ki subah shazain apna saman pack kar raha thaa....tabhii uski ammii uske room mai aayi"
Beta ready kar liya tumne apna beg ...aur kuch bhule toh nahii? (Uski ammii ne aaram se kaha)
"Shazain nazre jhukaye apne beg mai kuch teshirt daal raha thaa"
"Jii ammii ye last hai....."
Aur thand ka mousam chal raha hai tumne jacket wagera ache se rakhiii?
Jii ammii sab ready hai (wo halki muskurahat ke saath bola)
Samaan toh ready ho gaya par mera beta udaas kyo hai (uski ammii uske bagal Mai aakar beth te bolo)
N...na....nahi mai udaas nhi hu (shazain ne kaha)
Beta.....ab maa ko samjhaoge .....khushi ke peeche ka ghum bhi pehchaan leti hu .....ab kya hua ye btao?(Uski ammii uska ek haath pakde boli)
"Ammii ke aese puchte hii shazain ne unki taraf dekha....aur apne behte aansuo ko na rok saka..."
Kya hua Mera bachaa ......??
Ammii delhi to manali ka road mere zakhm taaza karta hai.....mai ye kehta toh hu faiza ko kuch nahi hua...par uss din ka wo manzar......mere aankho ke saamne aa jata hai.....aur mai rota nahii hu bass faiza ki yaad mai ye aankhe bhar aati hai (wo aankho se behte aansuo ke saath keh raha tha)
Ek Salah du......aap shaadi kar lein .....sab problem solve ho jayegi(uski ammi ne bade pyaar se kaha)
"Nahii kar sakta ...kyoki Mera dil gawahi nahi deta ke mai faiza ko chord kar kisi aur se mohobbat karu....kisi aur ladki se shaadi karu"
"Ab humesha zindagi aese toh nahi guzaar sakte ....shaadi toh aapko karni hogi naa"
Mai future nahi soch raha ammii...bass apna past aur present ko lekr chal raha hu (wo halke se bola)
"But past ko bhulna hota hai....future ko acha banane ke liye"
"Shayad mai past ko bhulna nahi sakta apna present barbaad karne ke liye...mujhe acha lagta hai use yaad karna .....jab mene use pehli baar dekha thaa ...tab ye nahi socha thaa kii iss qadar mohobbat ho jaayegi mujhe usse ....ab mohobbat ho gayi hai toh wafadaari bhi zaroori hai"
Such mai aapko koi nahi samjha sakta.....par beta shaadi toh karni hogi aapko....aakhir ek hi beta hai mera aur humare bhii laakho armaan hai (uski ammi ne udaasi se kaha)
Chaliye ab zyada aap toh sad na hoye.....future baad Mai dekhte hai ....bass aap khush rahe.....iss duniya mai do hi aurtein hai jisse mene hadd se zyada mohobbat kii hai ....ek aap aur ek faiza......(Wo ammi ki taraf dekhta bola)
"Wo baate kar hi rahe thaii kii shazain kr room ka darwaza kisi ne knock kiya"
Jii andar aa jaaye.....(Shazain ne kaha)
Sir aapse milne koi ladkii aayi hai.....(Ghar ki ek mulaazma ne kaha)
Achaa aap use yaha le aaye (shazain ne kaha)
"Kuch der baad darwaza ek awaaz ke saath khula....."
Tum!!!! (Shazain ne be-ikhtiyaar kaha)
Jii.....humne saath mai hi jaana hai naa.....junaid ne kaha ...tum shazain ke saath aao....toh mai aa gayii (hooriya ne muskura kar kaha)
Ye kon hai ? (Shazain ki ammi ne pucha)
Jii aunty assalamualaikum kesi hai aap(hooriya unke gale lag kar bolii)
Walaikum assalam bachee ....!!
Wo....ammii humari dost hai ye ....hooriya....(Shazain ne halke se kaha)
![](https://img.wattpad.com/cover/385294244-288-k821497.jpg)
YOU ARE READING
Ek Anjaani Mulaqaat
RomanceYe kahani ek shaant mindset waali ladki aur ek flirty aur magroor ladke kii hai jo ladkiyo se flirt karta hai aur wo kehta hai "mai ladkiyo ke pass nahi jaata ladkiya khud mere pass aati hai" Iss kahani mai jab ladka(shazain) ....ladki(faiza)ko peh...