"Agle din Arhaan ne Sarah ko call kii"
Asalamualaikum sarah(Arhaan ne khushgawar andaaz mai kaha)
Walaikum assalam jii kahiye .....kuch kaam hai aapko (sarah ne narmi se pucha)
Shayad...... surprise hai tumhare liye.....wese kaha par ho tum? (Arhaan ne kaha)
Achaa .....par mujhe surprise Dene ki zarurat nahi....wese mai faiza ke ghar par hu uski ammi ke pass.... Aunty ne aaj subah hi apne pass bula liya thaa (sarah bata rahi thii)
Achaa....toh hum wahi aa rahe hai....kahi jaana mat (Arhaan ne ye keh kar call cut kardii)
Aakhir kyo aa raha hai wo aese......faiza ki ammi kya sochengi.....(Sarah pareshani se soch rahi thii)
"Kuch ghanto baad door bell bajii.."
Pata nahi kyo jab bhii doot bell bajti hai aesa lagta hai kiii faiza uss darwaze par khadi ho....par ab mene sabr kar liya hai.....humesha mayoos hi ho jaati hu...(Faiza ki ammi udaasi se soch Rahi thii)
"Sarah ne gate khola toh.....saamne Arhaan aur shazain khade Thai.....kyoki uske aur dost apne apne ghar chale gaye thaii"
Yaha kya kar rahe ho..... please jao.....(Sarah dabi dabi awaaz mai boli)
Acha toh surprise nahi dekhna aapne.....toh mai aapki iss dost ko le jau apne saath( Arhaan ne Faiza ko uske saamne karta bola)
"Ye wo lamha thaa jab sarah Faiza ko dekh kar kuch kehna chahti thii par lafz uske gale mai atak gaye.......uski aankho se behte aansu ruk nahi rahe thai aur wo faiza ka haath pakad kar ye maloom karna chah rahi thii ke ye koi khwaab toh nahiii.......phir ek dum uske zabaan se lafz fisle-"
Fa .....fa....faiza tum aa gayiii.....(Wo maare bebasi ke bass ye hi bol sakii.....uski khushi ka andaza lagana mushkil thaa)
"Sarah ne Faiza ko gale se laga liya ......aur jii bhar kar royiiii.......aur bass roti jaa rahi thiii.......faiza ki aankho se aansu bhii rukne ka naam nahi le Raha thaa"Arey dono dost yahi darwaze par mulaqaat karogi ghar ke andar nahi jaana? (Arhaan ne hans kar kaha)
Ha...haa.....bilkul.... aunty aur uncle ko maano dusro zindagi mil jayegi.....(Sarah khushi se boli)
"Sarah faiza ka haath pakde ghar ke andar daakhil hui .....aur shazain Arhaan unke peeche chal diye......."
"Ghar ke hall mai ek sofe par faiza ki ammiii bethiii tasbeeh padh rahi thii ke Sarah faiza ko lekar unke saamne aagayii"
"Kya thii ye khushi.....ke ek baar hume lagta hai kiii.....jo shaqs hume chord kar chala gaya...uske aane ka hum intezaar karte hai....par wo wapis lot kar aata nahiii.....uskii raah dekhte dekhte apna saara waqt guzaar dete hai par wo wapis aata nahiii.....phir hum sabr kar lete hai ke wo ab kabhi nahi ayega......par wo shaqs wapas lot aata hai ......ye khushi har khushi se zyada hai ...."
"Uski ammiii faiza ko dekh fut fut kar rone lagiiii".
Mene kaha tha na kii meri bachii ko kuch nahi hua .....meri dua qubool hui hai....Allah....meri dua qubool hui hai.....jo mene iski hifazat ke liye maanga thaa.....(Wo faiza ke gale lag kar keh rahi thiii)
"Faiza ne unn sab ko chup karaya....".
Ab mai aa gayi hu na toh rona kis baat ka.....ab aap sab ko mai rone nahi dungi.... bohot ro liya aap sabne .....(Faiza keh rahi thiii)
"Ab wo saare uss hall mai bethai baate kar rahe thai......itne mahino ke baad unhe khushi naseeb hui thii....unki faiza unke saamne bethiii thiii"
"Shaam mai jab Faiza ke abbu ghar aaye toh unka reaction bhiii sarah aur Faiza ki tarah thaa......unhone apni nam aankho ke sath use gale lagaya aur puri baat puchi itne din kha thiii.......kisne bachaya ....har cheez"
YOU ARE READING
Ek Anjaani Mulaqaat
RomanceYe kahani ek shaant mindset waali ladki aur ek flirty aur magroor ladke kii hai jo ladkiyo se flirt karta hai aur wo kehta hai "mai ladkiyo ke pass nahi jaata ladkiya khud mere pass aati hai" Iss kahani mai jab ladka(shazain) ....ladki(faiza)ko peh...