life and death

162 4 4
                                    

"1 hafte baad"
Faiza apne room mai taiyaar ho rahii thii tabhi shazain uske pass aata hai...

Faiza ye saree mene aapke liye lii thii jab mai ammi ke saath engagement ki shopping karne gaya thaa....aur mai chahta hu aaj aap ise pehne.....(Shazain ek paper beg haath mai liye keh raha thaa)

Achaa saree....!!! (Faiza ne chok kar kaha)

Jii sareee.....!!! Wese bhiii ammii papa toh humare U.s waale ghar par gaye hai kuch din relax karne....office ka off kar rakha hai...bass call par manage kar le rahe hai office (shazain bta Raha thaa)

Par office ka kaam? (Faiza ne kaha)

Ohh faiza bohot sawal karti ho.....humare employee saare bohot qaabil hai....kuch din wo sambhal rahe hai office and mai toh call par sab manage kar hi le raha hu ....toh ammi papa relax hai....kuch zyada hi stress badh jaata hai isliye aaram kar rahe hai (shazain samjhate huye bola)

Ohh achaa.....toh aap wait kare mai taiyaar ho kar aati hu....(Faiza ne kaha)

Hmm mai aapka neeche dining table par wait kar raha hu....with candles (shazain muskura kar bola)

Hum aaj candle light dinner karenge? (Faiza muskura kar boliii)

Jii...ab taiyaar ho jaaye....I'm waiting (ye keh kar shazain room se chala gaya)

"Kuch der baad Faiza seediyo se utarti huiii dinning table ki taraf aa rahi thii..... apne baalo ko kaano ke peeche karte huye aur saree ko theek karte huye wo shazain ki taraf aa rahi thiii.....jab shazain ki nazar uss par padiii.....toh maano har cheez slow motion mai hone lagiii......Faiza ka halki muskurahat se apne baalo aur saree ko theek karna....sab shazain ko ek khwaab lag raha thaa"

Bohot khubsurat (shazain dinning chair se khada hota beikhtiyar bola)

Shazainnn....!!! (Faiza ne kaha)

Jiii bolein naa....(Shazain ne kaha)

Mujhe dekhte hi rahenge kiii aage bhii kuch kahenge aap....ye white saree toh bohot khubsurat hai .....waqai aapki pasand lajawab hai (wo muskurate huye keh rahi thiii)

Saree aapne pehni isliye khubsurat ho gayiii.....aur meri pasand toh waqai bohot achi hai......(Shazain ne kaha)

"Haa bohot achii pasand hai aapki"

Kabhii khud ko sheeshe mai dekhna tab samjh aayega kii meri pasand waqai bohot zyada achii hai (shazain muskura kar bola)

"Ab shazain chair ko dono haatho se peeche kheechta hai aur Faiza ko bethne ka ishaara karta hai ......ab wo dono dinner kar rahe thai.....candle ki halki roshni mai.....shazain apni ungliyon se faiza ke baalo ko uske kaan ke peeche kar raha thaa jo baal uske chehre par aa rahe thaii"

Shazain aapko maloom hai bahar ka mousam kitna acha ho raha hai....aur thandi hawaye bhii chal rahi hai (faiza ne kaha)

Hmm toh hum balcony mai beth kr khoob baate karenge (shazain ne Khushi se kaha)

Aap baatein karenge ??

Nahi baatein toh aap karogi mai toh sununga (shazain muskura kar bola)

"Dinner ke baad shazain faiza ka haath pakde balcony mai ek sofe par bethai aur Faiza ne shazain ke kandhe par sar rakh rakha thaa.....aur shazain usko apni baju mai lekr uske baalo ko sehla raha thaa "

Aapko maloom hai mai bohot khushnaseeb hu (faiza ne narmi se kaha)

Wo kese?

Jiska itna achaa caring shohar ho ....wo ladkii khushnaseeb kese na ho (faiza ne mohobbat se kaha)

Ab mujhe aur kitna khush karengi aap aesi baate karke...(Shazain ne kaha)

Jitna aap soch nahi sakte (faiza ne kadhe par sar rakhe rakhe kaha)

Ek Anjaani Mulaqaat Where stories live. Discover now