shazain puzzled his feeling

236 8 4
                                    

"Shaam ke 7:30 ho rahe Thai Faiza apne room mai apna hijab pin up kar rahi thiii tabhii uski ammi room mai aayi"

Beta ho gayi taiyaar aap?

"Jii ammii but samjh nahi aa rha hai iss Abaya par ye sandals achi lagegi ya shoes ya Boot?"

Ruko mujhe dekhne do.....hmm iss par ye heel pehno zyada acha lagega ye dark blue stones waali heels....( Faiza ki ammi ne suggest karte bola)

Ohh that's great ammi ye toh kaafi acha lagega iss Abaya par kyoki ye Abaya darkblue colour ka hai and ammi dekhein iss Abaya ke baju aur gale par white motiyo aur shining stones ka combination.... iss heel ke saath matching karega ( wo ab heels pehnte khushi se bol rahi thii)

"Hanaa tabhii btaya mene ab jaldi se neeche aa jao tmhare abbu car mai wait kar rahe hai ...."( Ye keh kar Faiza ki ammi chali gayii)

"Faiza apne chehre ke niqab ko theek karte aur side kandhe par "micro beg" ko latkaaye Ghar se bahar aayi aur car ke back seat ka darwaza khol kr usme Beth gayii"
"Faiza ke abbu "Fahad Sheikh" car start karke road ki taraf chal diye"
"Takreeban 1 ghante drive krne ke baad wo resturant ke bahar khade thaiii"

"Abbu jab ye resturant itna dur hai toh hum kisi pass resturant mai kyo nahi jaate itna dur aane ki kya zaroorat"

"Faiza ke abbu ab zara se muskuraye aur phir bole..beta yaha ke honour mere friend hai .....isliye yaha aata hu....ab aapke sawalat ho gaye toh hum ab andar chale"
"Ab wo teeno resturant mai daakhil huye ......wo resturant maano sirf lakdi aur kaanch ka bana thaa ....waha ke design har resturant se bilkul mukhtalif thaa"
"Gol seediyo se upar Jaa kr Faiza aur uski family ne restaurant ka sabse best jagah book Kiya jaha se bahar ka nazara kaafi achaa lagta thaa ....kyoki unki table ke pass deewar ki jagah transparent sheeshaa laga thaa jisse bahar kii aati jaati gaadiya bakhoobi dikhti thiii aur resturant ke uss transparent sheeshe ke pass bethai log road se khade ho kar dekhe toh saaf nazar aate thaii"

"Kuch rasmi baato ke baad waiter aaya aur unhone dishes order kiye aur Faiza apne ammi abbu ke saath baate karne lagii aur normal College ki bate share karne lagi jisse unko thodi hansi aaye"

"Kuch waqt baad waiter order le aaya uske baad Faiza aur uski family dinner karne mai busy ho gaye"

Shazain baat suno Aaj chale kahi bahar( Arhaan ne kaha)
Yaar tujhe bhii kya mastii chadi hai jo itni jaldi ghar se bahar jaana hai ( shazain laptop par kaam karta bola)

"Yaar kitni der se hum yaha assignment mai apna dimaag khapa rahe hai zara aaram hi karlo bahar ghum kar aur mujhe shadeed bhukh bhi lagi hai"

Chal phir chalte hai.....tujhe ek jagah chicken tikka khilau maza na aaya toh paise wapas( shazain hans kar bola)

"Chal theek hai phir kidhr Jana hai chalo" (Arhaan sofe se uth ta hua bola)

"Ab wo parking mai car nikalne aaye'
"Oye rehne do meri car se chal rahe hai apne car na nikalo( arhaan ne kaha)

"Okay boss "

"Ab Arhaan aur shazain car mai bethai nikal diye chicken tikka khane"

"Kuch der baad wo resturant ke bahar car ko park karte hai"

Yaar aesa nahi lag rha jaise baarish ka mousam ho rha hai aur ye hawaye kitni badhiya chal rahi hai (Arhaan keh raha thaa)
"Shazain aasman ki taraf dekh hi rha thaa kiii uss resturant mai bethii ek ladki par uski nazar chali gayiii"
Wo ladkii kya wo hi hai jo hume metro mai mili thiii?( Shazain ne chamakti aankho se kaha)
Arey bhai pagal ho kya.....kii har ladki mai wo anjaan ladki hi dikh rhi hai tmko ( Arhaan ne ignore karte bola)

"Ab wo dono resturant mai daakhil hote hai aur wo hiii seat book karte hai jaha transparent sheeshe laga hua thaa"

"Shazain aur Arhaan waiter ko order likhne bolte hai" ....tab tak wo uss dark blue Abaya mai jo ladkii bethii thii uska chehra dekhna chahta Thaa

Ek Anjaani Mulaqaat Where stories live. Discover now