the last chapter

121 9 11
                                    

"Ye waqt faiza ke ghar waalo par sakht thaa.....kya waqai faiza inn sab ki zindagi se dur chali gayiii......har taraf bass siskiyo ki awaaz thiiii.....shazain be-awaaz ro raha thaa......kya phir se faiza uss ki zindagi se dur chali gayiii? Aur ye toh pehle jaane se bhii zyada khofnaak thaa....jaha se Faiza kabhii wapas nahi aa sakegi ....kya ek anjaani mulaqaat mukammal ho kar bhiii adhoori reh gayii thiii?"

"Doctor 5 ghante baad room se bahar aakar .......unhe kuch bata rahe thaii...."

Doctor bolein ??? Kya Faiza theek hai... please bolein naa aap khamosh kyo hai ?(Shazain behte aasuo ke saath doctor se sawalat kar raha thaa)

Dekhiye 5 ghante beet gaye and humne puri koshish kiii par unhe hosh nahi aaya.......hum kuch nahi keh sakte.....ye case kaafi critical hai .....aap mil lein unse jaakar.....kal tak aap body le jaiyega....kyoki ab unka bachpana namumkin hai (doctor samjhate huye keh rahe thai)

"Doctor ke ye alfaaz kisi khanjar ki tarah dilo par waar kar rahe thaiii....."

Na...na... nahii faiza ko kuch nahi ho sakta....meri faiza mujhe chord kar nahi jaa saktiii....(Wo dodta hua room ke andar gaya)

"Faiza ke ammi abbu ko maano kuch hosh hi nahi tha....ek baar phir wo faiza ko khone jaa rahe thai.....magar iss baar usko kho diya toh wapas zindagi mai kabhi mulaqaat nahi hogiii.....faiza ke ammi abbu bhiii faiza ke pass gaye....jaha faiza bejaan haalat mai hospital bed par padii thii"

Faiza beta utho na dekho....dekho tumhare ammi abbu aaye hai tumhare pass....beta uth Jaao naa....hum nahi reh sakte tumhare bagair....shayd ab khoya toh hum bhiii tumhare saath qabar mai dafan ho jaayenge.....beta uth jao apne ammi abbu ke liye....ye tumhare abbu tumhari haalat dekh kar kuch bol hi nahi paa rahe bass khamoshi aur bejaan si haalat mai be-awaaz ro rhe hai...mere liye na sahi apne abbu ke liye uth jao (faiza ki ammii siskiyo ke saath usse bol rahi thiii)

Arhaan ammi abbu ko tu sofe par bitha......inko paani laakar de....(Shazain behte aansuo ke saath keh raha thaa)

"Arhaan ne Faiza ke ammi abbu ko bethaya aur tasalli deta hua paani pilaya jisse unki tabiyat par koi asar na ho"

"Shazain Faiza ke bed ke bagal Mai rakhi chair mai betha aur uska haath apne haath mai liya....."

Faiza tum toh mujhse mohobbat karti thii na toh zindagi ke itne bade safar mai mujhe tanha kese chord sakti ho? Doctor kuch bhii bole par mai ye nahi maanta ke tum iss duniya mai nahii....mene allah se tumhe itne shiddat se maanga hai wo aese mujhe tumse dur nahi kar sakte....humara saath duniya aur jannat dono ka hai.....tum mujhe duniya mai tanha nahi chord kar sakti....Faiza mera bachaa...uth jao na please.....mai nahi reh sakta tumhare bagair......jeena mushkil hai faiza.....mujhe zindagi de do.....tum wapas meri zindagi mai aa jao......Faiza.... faiza (wo apne mathai ko uske haatho par rakhein ek awaaz ke saath ro raha thaa.....)

"Jab wo seedha hua toh usne dekha....Faiza kiii palke hil rahi hai "

Arhaan .....Arhaan..... doctor ko bulaa.... jaldiii......(Shazain ne tez awaaz mai kaha)

"Arhaan ke kehne par turant doctor uss room mai aaye aur ek baar phir faiza ka checkup kiyaa"

Aap khush ho jaaiye mr.sayyed.......aapki duayein kaam kar gayii....warna aese case mai kisi ka bhii bachna mushkil hota hai.....ab ye hosh mai aa gayi toh Hume inka achi tarah treatment karna hoga.....isliye aap sab room se bahar jaaye hum aapko kuch ghanto mai haalat batate hai (doctor ne kaha)

Okay doctor.....(Ye keh kar sab room se bahar aa gaye)

"Shazain Faiza ka maatha aur haath choom kar room se bahar aa gaya"

"Chaliye sab shukrane ki namaz ada kar lijiye.....allah ka jitna shukr ada kare utna kam hai...."

"Shazain ne dekha kii uske ammi papa tez kadmo se unki taraf aa rahe thaiii....."

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jan 28 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Ek Anjaani Mulaqaat Where stories live. Discover now