"Sarah aaj metro station par tanha khadi....faiza ko yaad kar rahi thii"
Yahi par humare assignment ke pages udd gaye thai naa....aur tum kitna pareshan ho gayii thii....aur shazain tumhare liye metro track par kood gaya....par tum faiza pata nahi kaha gayab ho gayii....hum sab se itna dur chali gayii jaha se aana na-mumkin hai....mai bohot rona chahti hu faiza....bohot zyada ...par ro nahi paati...agar mai kamzor pad gayii toh tumhare ammii abbuu ko kon sambhalega ......mai puri koshish karti hu unko sambhalne kii.....tumhari tarah banne kii....jisse unka ghum kam ho jaye......(Sarah aankho mai dher sare aansu lekar aahista se khud se keh rahi thi.....uss doraan 2 metro aa kar chali bhii gayii....par wo apni soch mai itni khoyii thii ke usko khud samjh nahi aa rha thaa ke kya kare aur kya na kare)
Shazain aur Arhaan bhii aaj metro se hi college Jaa rahe thai kyoki shazain ko faiza kii har wo yaad mehsoos karni thii jo lamhe shazain ne uske saamne bitaaye thai.....bhale hi faiza ko nahi pasand thaa un se baat karna....par mohobbat baat karne kii mohtaaj toh nahii....wo toh bass ek ehsaas hota hai....jo hume kayii saalo tak zinda rakhta hai....aur shazain zinda rehna chahta thaa....faiza ki yaado mai ....
Wo dekho sarah bhii yahi hai par wo itna gumsum si kyo khadi hai ....aesa lag raha hai kisi bohot gehri soch mai mubtala hai....chalo uske pass chalte hai
Assalamualaikum Sarah.....(Arhaan ne kaha)
"Sarah ko iss waqt kisi ki awaaz maano sunaai hi nahi de rahi thiii.....jab Arhaan ne uske kaan ke pass thoda tez kaha toh....Sarah ek khwaab se bahar aayii"Tum!!!
Jii mai .....wese aap kahan khoyi hai(arhaan ne uske chehre ke tasuraat dekh kar kaha)
K...ka...kahi nahii (wo kampte labon se boli)
Toh aese kyo khadii hai aap (shazain ne sawal kiyaa)Bas faiza ki baate soch rahi thii....(Ye alfaaz bolte hi maano uske dil par kisi ne khanjar se waar kiya....aur aansu uske aankho se ho kar gaalo pr tezi se bikharne lage)
Dukh bohot hai par khud ko sambhalo ....Sarah.....(Arhaan uske saamne khada keh raha thaa)
"Kabhi kabhii hume rona aa raha hota hai par jab humse koi rone ki wajah puch le toh hum aur zyada rone lagte hai ....wo hii haal Sarah kaa tha....wo rote huye Arhaan ke seene par apna sar kab rakh gayiii use pata hi nahi chala.....aur jitna Dil par bojh lekr wo mahino se bechain thiii....Aaj maano ro kar saara bojh utaarna chahti thii"
"Arhaan ne apne haatho se uske sar ko aaram se sehlaya ....kya thaa....uss ladkii mai ke wo khud ko usse dur na rakh saka.....wo rona chahti thii kisi ke seene par sar rakh kar.....aur Arhaan usko khud se dur na kar saka ....."
"Sarah ne ro ro kar....apni aankhein surkh kar liii ....Arhaan ne shazain se rumaal maanga aur uski aankho se aansu saaf kiya......aur uske kaan ke pass aa kar bola....."
"Dil se bojh utar gaya.....jitna rona hai aaj rolo tum.....agli baar mai tumhe rone nahi dunga.....ye aansu aapke aankho mai ache nahi lagte"
"Ye saara scene shazain halki muskurahat ke saath dekh raha tha.....ye wo lamha thaa.....jab sab kuch bura hone ke baad.....Aaj kuch acha hua......"
Faiza ki yaad mai shayad mai puri zindagi rou.... kyoki wo ek wahid meri dost thii aur mai uski ek wahid dost.....aur Faiza ke ammi abbu ka dard dekh kar ...mujhse bardaasht nahi hota....wo ek hi aulaad thii unki ....jo ab iss duniya mai nahi rahiii (Sarah ab Arhaan se thode faasle par khade ho kar nazre jhukaye boli)
Tum log ye na bola karo kiii faiza ab iss duniya mai nahi hai......mera dil zakhmi ho jata hai ye sunn kar ....(Shazain ne kaha)
Theek hai.....wese Arhaan shukriya mujhe itna rone dene ke liye....agar mai aaj na roti ....toh dil ke bojh se shayad mai mar jaati ......aur mujhe maaf kardo kii mene tumhe pareshan kiya aur mai janboojh kar tumhare pas nahi aayi (wo nazre jhukaye keh rahi thiii)
Isme maafi maangne ki zaroorat nahii haiii.....mujhe acha laga (Arhaan ne halki muskurahat ke saath kaha)
"Waqt bohot tezi se beet Raha thaa .....isi doraan shazain ke last year ke exam bhii khatam ho gaye.....aur use bestest company mai se job ki offer bhii aayi....par shazain ke abbu ne use family business mai involve kiya......"
Sir aapse koi milne aaye hai (office ki ek employee ne darwaze par dastak de kar kaha)
Okay naam kya hai uska.....aap jaaiye mai reception par call karke puchta hu...(Shazain ne telephone se call milaayi ....aur kuch second baad shazain ne uss shaqs ka naam pucha)Ohh.....junaid hai....okay aap unhe mere cabin mai bhej dijiye (ye keh kar usne call cut kardii)
Ab cabin ke darwaze se.....junaid cabin mai daakhil huaa
"Kuch rasmi guftugu ke baad shazain ne kha"
Kya baat bhaai meri yaad kese aa gayiii.....ab toh engineering complete....and dosto se bhi milna julna kam ho gaya hai (shazain hans kar bola)
"Wo shaqs jo uske saamne bethaa thaa....wo apni shaadi ka invitation dena aaya thaa "
Shaadi hai meri Friday ko....mene phone par wedding card send kar diya hai dekh (junaid ne hans kar phone ki taraf ishara karte kaha)Ohh congratulations Bhai..... junaid weds sayra.....name toh acha hai bhabhii kaa (shazain ne halki muskurahat ke saath....phone par aaya paigaam padh kar kaha)
Hmm ....aur iss friday ko shaadi hai....and usse pehle hum boys parties karenge.... Bachelor party.....maza aayega....sare single friends ....(Junaid ne kaha)
"Great toh party kab hai?"
Wese mene group mai message daal diya hai......iss Tuesday ko hai party mere ghar par"Okay......wese kon saa ghar....yaha Delhi mai bhii ghar hi tumhara ....mumbai mai bhii....manali mai bhiii .....aur kuch aur jagah hai....(Shazain hans kar bola)
Arey wedding thodi pahadi jagah karne ka plane hai toh.....manali mai hogi destination wedding aur usse pehle bachelor party ......abhii se packing karle ...matlab Ghar jaate hi packing start karle....kyoki.....Aaj Saturday hai aur Monday ko nikalna hai....mene saare friends ko invite Kiya hai
Okay bhaii....mai ready hu .....bass office ka kaam zyada ho gaya hai....aur papa toh maano aaram karte hai..jab se mene office join kiya hai (shazain saans bharta bola)
Chalo phir mai chalta hu.....aur Monday yad rakhna (ye keh kar junaid chala gaya)
"Shazain laptop mai kuch file dekh raha thaa...tab uska khayal .... manali ki taraf gaya.....ye manali kayi zakham taaze karta hai.....delhi to manali ka road....faiza ki laash.....wo book.....mai kya karu ....mujhe sabr de allah..."
"Ek anjaani mulaqaat" ki aage ki kahani janne ke liye chapter 16 zaroor padhein💗💓💫
Aapki pyaari Author_ishrat
![](https://img.wattpad.com/cover/385294244-288-k821497.jpg)
YOU ARE READING
Ek Anjaani Mulaqaat
RomanceYe kahani ek shaant mindset waali ladki aur ek flirty aur magroor ladke kii hai jo ladkiyo se flirt karta hai aur wo kehta hai "mai ladkiyo ke pass nahi jaata ladkiya khud mere pass aati hai" Iss kahani mai jab ladka(shazain) ....ladki(faiza)ko peh...