MR SULEMAN KI PARTY 🥂

205 18 6
                                        

Chapter - 22

🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂🥂

Haya apna haathon ko dekh Kar boli , " ammi dekho mera haath Kitna rukha Aur Ganda dikhai de Raha hain , hume uss Meerab ko nahi nikala chahiya tha . Ab hume hi sara kaam karna padh Raha hai . Dad ko toh nahi pata ko unki gair maujudgi main hum kuch kaam nahi karta the , sara kaam unki najayaz beti meerab hi karti thi . Hum toh bas aram karta the , bas jab voh aate the toh hum yeh dikhata the ki sara kaam hum karta hain aur voh maharani bas aram farmati hai . Ab uske jaane ke baad hume hi kaam karna padh Raha hai . Dad toh kabhi koi servant nahi rakhenga kyuki unhe lagta hai ki hum koi kaam toh karta nahi hai isliya ghar ache se sambhal leta hain . Per unhein kya pata hume toh aram ke alawa aaj tak koi kaam hi nahi kiya hai . Hum kab Tak bhar ka khana order karta karenga  .."

Lyba boli , " kya tum dheemi aawaz main nahi bol sakti , itna tez bolna ki kya kya Zarurat hai ? Kya tum bhul gai ho tumhara dad aaj kal ghar main hi reh rahe hain . Agar unhone sun liya toh gadbad ho jayegi ."

Haya boli , " ammi apna hi toh bataya tha ki dad ko uss manhoos ladki se koi matlab nahi tha , nah hi iski maa se , bhala hi voh bhut famous artist thi per thi toh ek common ladki hi nah ."

Lyba boli , " voh koi common ladki nahi thi , tumne Ashraf khandaan ka Shayad naam nahi suna hoga , Ashraf khandaan bhut hi respectable aur high society main aata hai , unka samne tumhara dad kuch bhi nahi hai aur Ujjwal, voh Ashraf khandaan ki rajkumari thi , samjhi ? Tumhara dad me apna boss ke kehna per ussa apna ke jaal main phasaya tha , job mujha baad main pata chala , warna main toh tumhara dad ko dhokhebaaz hi samajh Rahi thi . Yeh jo ghar hai , Jisme hum reh rahe hain voh khud Ujjwal Ashraf ka ghar hai , usne yen ghar kamaye paison se banaya hai bina apna pita ki help ke , samjhi ? Voh ek self made artist thi jisse ek mamuli employee se pyar ho Gaya tha voh tumhara dad the . Yeh ghar uski beti Meerab ke naam hai . Socha tha ki apna naam karwa lenga per voh toh yahan se dur  kahin bhag gai hai ."

Haya yeh sach sun kar shock reh gai , voh toh Ujjwal Ashraf ko bas ek famous artist aur common ladki samajh Rahi thi . Usse pata nahi tha ki voh kitni badi izzatdaar aur rich family se belong karti thi .

Voh phir haklata hua boli , " voh ammi darasal ..."  Aur chup ho gai .

Lyba ne kaha , " sach - sach batao tumne kuch ulta seedha toh nahi kiya hai na ?"

Haya boli , " darasal ammi .." Aur Phir usne Meerab ko bechna wali sari baat bata di .

Yeh sab sun kar lyba gussa se tamtama uthi aur boli , " bewacoof ladki tumhe nahi pata Ashraf pariwar Ujjwal ki beti ko aaj bhi khoj raha hai , unhein Vishwas nahi ho raha hai ki unki beti Ujjwal ki beti mar chuki hai , samjhi ? Agar unhe pata chal Gaya toh voh log hume aag ke dariya main feink denga tumhara dad ne bataya tha ki Ujjwal Ashraf ke dad bhut hi khatarnak hain . Voh apni natin ko esa haal main dekh Kar hume zinda nahi chodenga aur tumne usse 50 lakh main becha ? Tumhe pata bhi hai tumne kya kiya hai ? Agar tumhara dad ko yeh baat pata chali toh voh hume khud jaan se maar dalenga, samjhi ?"

Apni ammi ki baat sunker haya boli , " ammi toh mujh per itna kyun chilla Rahi ho , khud dad usko nahi rakhna chahta the , phir bhi usse apna pass rakha . Maine toh unka bojh utara hai , voh hume kuch nahi karenga ."

Lyba boli , " haan vese baat toh tum sahi hi keh Rahi ho , voh khud usse apna khoon manna se inkaar kar rahe the per phir achanak se hi usse ghar le aaye , yeh baat toh aaj tak mujha bhi samajh nahi aai aur uska ache se khayal rakhna ke liya bhi hume bola ."

❤️ PYAR KA SADQAY ❤️ •~ MEERASIM FF •~ Where stories live. Discover now