Assalam o alaikum!
Kese o sb?
Me bilkul theek r boht zyada khush bhi.
Mera 9th result aa gya. Alhamdulilah 488/505 aye hen.
Ahhh I m so happy. Sb friends ka boht boht boht acha result aya h.Ok so coming back to the story. Yh update boht e mazay ki lgi muj. Hope so ap sbko b boht pasand ayegi.
So happy reading!😊*Shumali Waziristan me hamlay se 2 log jaan bahaq. Mutaadid zakhmi.
* Operation zarb e azb din badin kamyabi ki traf gamzan.
*Quetta hamlay k pechay kis ka hath?
*Wazir e azam ka Doura e London. Aham mamlaat zer e behas
Headlines ki tafseelaat is break k baad... Dekhte rahiye ARY news!Wo khamoshi se headlines dekh rai thi. Ek yai wo waqt hota jb uski baton ko break lgti thi.
"In waziristan waghaira ka tou.... Uffff!! Kya bnega hmara!" Wo apnay ap pr tars kha rai thi.
Headlines break khatam Hui tou wo dobara TV ki traf mur k beth gai. Wo, baba, r bhai srf news dekha krtay they. Ammi, Api r bhabhi hum TV k dramas dekhtin r sarim ko Facebook k ilawa kisi cheez ka shoq na tha.
Breaking news.... Yeh suntay e wo seedhi o k beth gai.
*Rawalpindi or Islamabad k namwar hospitals me ilaaj mualjaye k ilawa kya o raha? Jannay k liye dekhiye yh report.
"G me is waqt ek ghar me hun jahan ap dekh sktay hen k ek aurat jinka naam shumaila h, un k shohar ka abhi abhi dil ka operation hua h, moujood hen. Operation kamyab tou o gya h pr inko ek r buri adat lg chuki h. Jise hm manshiyaat ki lat kehte hen. Aurat ka kehna h k un k shohar ko yh adat pehle nhi thi. Pr ab wo hr waqt wai dwai mangtay hen jo inko operation k bad di gai thi.
R wo dwai kisi medical store se nhi mil rai beghair doctor ki prescription k.Mazeed tafseelaat hm shumaila Bibi se e janen ge.
Wo dam sadhay TV screen ko dekh rai thi. Yai kasar reh gai thi ab! K hospitals b safe nhi raye logon k liye. Wo hmen kya dete hen kya nhi hmen kya maloom? Medicine k under agar koi addictive drug ho tou log kya kren? Life barbaad o jati o gi logon ki.Shumaila ki awaz boht ahista si thi jo usko sai smjh nhi ai. Smjh ai tou bs yai k us k husband ko hospital se koi dwai mili thi jis me kuch mila hua tha.
Lekin eshaal janti thi k is masoom aurat ne tou yai kehna tha. Blkay asal me tou do wajuhaat ho skti hen. Ya tou dwai k under waqai koi addictive cheez dal d gai thi ya phir unhe koi addictive drug e dwai k Torr pr di jati rai. Jo pehle tou dard ko kam krti lekin bad me uska nasha char jata h.
Usnay baba ki traf dekha phir bhai ki traf. Wo dono b heran pareshan se they q k jin hospitals k wo reporter naam le rai thi wahi sb se zyada achay hospitals manay jatay they.
"Kya kuch ho raha h mulk me baba!" Wo baba ki traf dekh k boli jinho ne hlka sa sir jhatka. "Hmari government ko tou khayaal e nhi h in cheezun ka. Bs wo apnay gharon me khush rahen" Arham b bol pra. Eshaal ne ek nazar unko dekha. Wo is bat pr razi nhi thi.
"Bhai! Yh tou hmara b kam h na k dekhen k hm jo kha pi rahay hen wo hmaray liye acha h b ya nhi? Logon me shaor ki kami h!" Eshaal ne kaha tou wo khamosh o Gaye. Apni lawyer behn se akhir kahan tk behas krtay?
YOU ARE READING
Shehr-e-Yaaram #LoveFromPakistan #Completed
Mystery / ThrillerHi everyone this is my second story! Yeh story meri first story se kafi change h. Kafi different h. Pta nhi me acha likh paongi ya nhi pr muj ap logon ki cooperation ki sakht zaroorat h.. Yeh story h Shayaan r Eshaal ki. Life ne un dono k liye apna...