Finally i met her

0 0 0
                                    

Kya haseen Subah thi
Me us subah ko kaise bhool sakta hu

Uska mera besabri se intizar karna
Aur phir mujhe daekkar muskurana
Kaash woh waqt tham jata Waheen pae.

Me bike se utra aur uske paas jakar baith gaya
Socha kae bahut sawal karunga
Par sach kahun us waqt Mano meri zaban he nahi thi.

Bas hum donoun khamosh the thodi daer ek dusre ko daekh rehte bas
Thodi daer baad aakhir usne baat karhe diya.

"Assalam"
"Walaikum assalam"

"Me nae Nashta nahi kiya hae"
"Toh chalo khanae chalte hain"

Phir me bike start krraha tha toh woh kuch soch me lagi hui thi
Shayad isse pehle woh kissi ladki kae saath bike pe nahi gayi thi.

"Bharosa rakho aur aao"
"Woh sun kar woh baith gayi thi"

Mujhe aise lagraha tha jaise me pehli baar bike chala raha hu.

Phir khamosh the Saara Rasta na woh kuch kehrahi thi aur na he meri zaban kuch araha tha.

Uski aisi masoum si aadatoun se pyaar toh hona he tha Mujhe par iqrar karne ka dar tha.

Finally hum pahounch he gaye
Buhari hotel, suna tha wahan khana acha milta hae aur bahut decent se hotel bhi thi.

Phir hum family hall gaye jahan ek aur Muslim family khana kharahe the
Sab humein he daekhrahe the.

Woh bahut uncomfortable feel karrahi thi toh me nae aisi jagah table book kiya jo bahut alag tha aur jahan koi humein daekh nahi sakta ho.

Phir hum wahan jakae baith gaye aur usne he order kiya

"Bhaiya 2 masala dosa daena aur uske baad 2 chaye boldena"

Woh mere bare mein sab kuch jaanti thi kya khata hu kya peeta hu sab

Me he tubelight tha kae Mujhe uske naam kae Siva kuch pata nahi tha
Uski pasand na pasand kuch bhi.


"The best moment in a guy life is,
Bike riding while his loveable person is seated in his bike."

Love Beyond LimitsWhere stories live. Discover now