"Agar pyar karna jaante ho toh uske liye intizar bhi karna zaroori hota hae
Agar intizar aur bharosa nahi toh pyaar bhi nahi".Uska Morning wish aya subah waqt se pehle he kuch hazar kisses aur hugs se badh kar
Be intiha pyaar kae saath."Mere Chand mein aaj Ghar jarahi hu"
Text messages mein dard dikhayi nahi daeta par mera dil jaanta tha kitna dard tha us message mein.
Me nae usko bahuuut saare kisses aur hugs wala message bheja usko woh khush Kara nae.
Aur woh khush hogayi, khush toh hona he tha ek page kisses aur hugs jo bheja tha."Mere chaand mein thodi daer baad chat karti hu ready hona hae agar message Nai aya toh samjh laena Abbu saath hu Ghar jaakar message karungi, apna gayal rakha Karo my husband khana khalo mere liye plss"
Ab toh yeh baat woh bhi jaanti thi kae mein tabtak khana nahi khata jabtak woh mujhse khana khanae ko nahi bolti.
"Acha mere pyaare gudya aap aaram se raho aur udas math raho gudya agar message call karne nahi hua toh bhi koi baat nahi humara pyaar in messages aur calls se bahut agaye.
Aap meri rooh mein Bastae ho."Jo kuch me na kaha woh shayad he sach tha par Mujhe usko udas nahi daekhna tha.uski udasi me daekh nahi sakta tha.
Aur hua wahi hua woh message daekhne baad usne kuch millions kisses aur infinit love wala message bheja bahut zyada he khush thi
"Allah Hafiz mere pyaare zindagi apna gayal rakhooo my husband".
Me sirf is message ko padhkar he saari zindagi guzar sakta tha.
Phir woh nikal gayi thi shayad
Shaam tak koi reply Nai aya uska.Me nae bhi uski wish poori kardi ache se khana khaliya aur college Chala gaya.
Ovaiz aur Ashraf ko niha kae baare mein bataya toh woh bahut khush hue niha kae character ko Daekh kar.
Dooriyan pyaar mein bahut zaroori hoti
Kyun kae sirf issi aap jaan sakte ho kae aap kitna pyaar karte ho apne Partner se.
YOU ARE READING
Love Beyond Limits
RomansaLove beyond limits is a true story of a couple who proved this entire world that there is nothing more precious than love.