HADEES

266 9 1
                                    

*🌹•••》🇩AILY 🇭ADEES《•••🌹*

🌺 Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge ….

❤» Mafhum-e-Hadees: Uqba-Bin-Aamir (Radi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Roz Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain
Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya –

🌹“Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam ALLAH Ki Main Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain,

🍃 Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam ALLAH Ki *_'''Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge'''_* Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar Ek Dusre Se Hasad Karne Lagoge”.

📚– (Sahih Muslim Sharif)

<><><><><><><><><><><><><><><><>

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,

Jab tum mein se koi shaksh kisi aise aadmi ko dekhe jo maal aur shakal aur surat mein us se badkar hai tuo us waqt usey aise aadmi ka khayal karna chahiye jo us se kam darja hai

{Sahih bukhari, Vol 7, 6490}
.
.
Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya,

Us shaksh ko dekho jo tum mein se kam ho ( Maal aur Daulat mein, aur Husn wa Jamaal mein aur Aulad mein) aur usko mat dekho jo tumse ziyada hai aur aisa karoge tuo Allah taaala ki Naimat ko apne upar haqeer ( yani kam) nahi samjhoge.

{Sahih Muslim, Vol 6, 7430}
.

Beautiful world Of ISLAMWhere stories live. Discover now