⭐ Rishtedaro Se Bhalayi Ka Huqm Har Haal Me

92 2 3
                                    

⭐ Rishtedaro Se Bhalayi Ka Huqm Har Haal Me ….

♥ Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Ek Shakhs Ne Arz Ki – “Ya Rasool’Allah *(Sallallahu Alaihay Wasallam)!*
Mere Baaz Rishtedar Hai, Mai Unsey Ta’alluq Jodta Hoon Wo Mujh Se Ta’alluq Todtey Hai,
Mai Unke Saath Accha Salook Karta Hoon, Wo Mere Saath Bad’salooki Karte Hai.
Aur Mai Unki Ziyadtio Ko Bardasht Karta Hoon, Wo Mere Saath Jahalat Se Pesh Aate Hai”.

*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Jaisa Tum Keh Rahe Ho Agar Aisa Hi Hai Tou Goya Tum Unke Muu Me Garam Garam Raakh Jhonk Rahe Ho.
Aur Jab Tak Tum Iss Khoobi Per Qayam Rahoge Tumhare Saath
Har Waqt Allah Ta’ala Ki Taraf Se Ek Madadgaar Rahega”.
– (Muslim Shareef, Bab Silah Raham : 6525)

♥ Subhan’Allah !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..

Beautiful world Of ISLAMWhere stories live. Discover now