Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat

158 5 0
                                    

Habeeb e Khuda Muhammedur RasoolAllah ﷺ ke Mo'ajizat #981._

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

▶ Hazrat e Ali رضي الله عنه ki Walida e Majida Hazrate Fatima Binte Asad ka jabh inteqaal huwa aur unki qabr taiyyar ho gayi to khud Rasool e kainaat ﷺ ne apne daste mubarak se unki lahad khodi phir uss qabr mein leit kar aapne yuñ dua farmayi "Ya Allah meri chachi Fatima Binte Asad ko bakhsh de aur uss par uski qabr ko kushada farma de, ba waseela apne Nabi ﷺ ke aur unn Ambiya ke waseele jo mujhse pehle huwe hai kyuki tu 'Arham ur rahemeen' hai"

*Wafaa ul Wafaat Jild 2, Safah 89.*
*Seeratul Mustafa ﷺ Safah 683.*

▶ Jabh Huzoor ﷺ bachpan mein abu taleeb ki kifalat mein the tabh Huzoor ﷺ ki yeh chachi yaani abu taleeb ki ahelya Hazrate Fatima Binte Asad aapka khaas khyal rakhti thi yeh ussi ehsaan ka badla tha ki aap ne unko apni chadar mubarak ka kafan pehnaya aur khud apne dast e rehmat se unki qabr khodi aur unki qabr mein leit kar dua farmayi.

▶ Allahu Akbar kabeera, Wallah iss qabr mein Qayamat tak Rehmat ke phooloñ ki baarish hoti rahegi jis qabr waale par Rehmatul lil Aalameen ki rehmat ka itna bada hissa ataa huwa ho.

SubhanAllah

Beautiful world Of ISLAMWhere stories live. Discover now