✯Martaba-e-Hazrate Abu Bakr Siddhik (Razi'Allahu Anhu)

106 4 1
                                    

✯Martaba-e-Hazrate Abu Bakr Siddhik (Razi’Allahu Anhu)

♥ Mahfum-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
– Namaziyon Ko (Qayamat Ke Din) Baab-Us-Salaatu Se Pukara Jayega,
– Mujahideen Ko Baab-Ul-Jihaad Se,
– Sadaqat Karne Walon Ko Baab-Us-Sadaqa Se,
– Rozadaron Ko Baab-Us-Siyaam Se Pukara Jayega.
Abu Bakr Siddiq-e-Akbar (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya Ke –
“Ya Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) !
Kya Koi Shakhs Sab Darwazon Se Pukara Jayega?”

Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
‘Haan! Main Umeed Rakhta Hon Ke Aye Abu Bakr! Tum Unn Me Se Ho’.
– (Bukhari Sharif, Hadees:3432)

-----------------------------------------------------------

Rozaana jab Allah ke bande subah ko uthhte hain, to 2 farishte aasmaan se utarte hain;

un mein se ek kehta hai:

Aye Allah! (achchhe kaamon mein) Kharch karne waale ko aur maal ata farma, 

doosra kehta hai:

Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma.
(Bukhaari : 1442)

Beautiful world Of ISLAMWhere stories live. Discover now