“Hazrat Umar Bin Shuaib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bawaasta Apne Waalid, Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Sahaba-E-Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Farmaya :
Koun See Makhlook Tumhare Nazdeek Iman Ke Lihaz Se Sab Se Ajeebtar Hai?
Sahaba Ne Arz Kiya :
Farishte.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Farishte Kyoo’n Iman Na Laaye Jab Ki Woh Har Waqt Apne Rab Kee Huzoori Me Rahte Hain.
Unhone Arz Kiya :
Phir Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Aur Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Kyo’n Iman Na Laaye Jab Ki Un Par To Wahee Naazil Hoti Hai.
Unhone Arz Kiya :
To Phir Hum (Hee Honge).
Farmaya :
Tum Iman Kyo’n Nahin Lawoge Jab Ki Banafse Nafees Mein Khud Tum Me Jalwa Afroz Hoo’n.
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :
Makhlooq Me Mere Nazdeek Pasandeeda Aur Ajeebtar Iman Un Logon Ka Hai Jo Mere Baad Paida Honge.
Ka’i Kitabon Ko Paayenge Magar (Sirf Meri) Kitab Me Jo Kuchh Likha Hoga (Bin Dekhe) Us Par Iman Laayenge.”
رواه الطبراني وأبويعلى والحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
YOU ARE READING
Beautiful world Of ISLAM
RandomBismillah Rabbi zidni ilman " My lord ! Increase me in my knowledge " ASSALAMUALAIKUM brothers and sisters! When I was younger, I used to write things that captured or inspired me such as a quote or a few great lines in a diary . And now...