MUSALMAN KI MADAD KARNE KA SAWAB
Bismillahhirrahmanirrahim
الْمُسْلِمُ أَخُو الْمُسْلِمِ، لاَ يَظْلِمُهُ وَلاَ يُسْلِمُهُ، وَمَنْ كَانَ فِي حَاجَةِ أَخِيهِ كَانَ اللَّهُ فِي حَاجَتِهِ، وَمَنْ فَرَّجَ عَنْ مُسْلِمٍ كُرْبَةً فَرَّجَ اللَّهُ عَنْهُ كُرْبَةً مِنْ كُرُبَاتِ يَوْمِ الْقِيَامَةِ، وَمَنْ سَتَرَ مُسْلِمًا سَتَرَهُ اللَّهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ”.
Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek musalman dusrey musalman ka bhai hai ,isliye us par zulm na karey aur na zulm honey de. Jo shaksh apney bhai ki zarurat puri karey Allah taala uski zarurat puri karega. Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur karey Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega.
Sahih Bukhari,Vol.3, 2442
================================
*🌹••》DAILY HADEES《••🌹*
*الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ*
*❣Aamd E Mustafa ﷺ...Marhaba..*
'''💠Main ne Ahle Madina ko Kabhi Is Qadar Khush Nahi Dekha ...'''
*_-»Hazrat Bara bin Aazib (Radiallahu Anhu) Farmate Hai:.._*
*●-"Main ne Ahle Madina ko Kabhi Is Qadar Khush Nahi Dekha Jitna Ke Wo NABI E KAREEM (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Tashreef Aawari Par Khush Hue.*
_📚-(Sahih Bukhari)_
YOU ARE READING
Beautiful world Of ISLAM
RandomBismillah Rabbi zidni ilman " My lord ! Increase me in my knowledge " ASSALAMUALAIKUM brothers and sisters! When I was younger, I used to write things that captured or inspired me such as a quote or a few great lines in a diary . And now...