Dard saha,paala tujhe
Taane sune,Maana tujhe
Aanch na aane di jism pe vo tere
Zamaane ki thokar se Maa ne shambala tujhe.Tode toh khwaab khud k tode
Saha toh dard khud he saha;
Apni jism ki dhaal se rakhsa ki aulaad ki
Khuda khush hoke Maa k kadmo mei jannat daal di.Suna mene khud apni Maa se
Aulad k liye bad-dua kabhi na nikalti dil o jaan se
Tang karta rahe vo umr bhar apni maa ko
Lekin sada dua deti hai Maa apni aulad ko.Jab chott lagi thi hamare jism pe
Taklif toh jyada Maa ko hui jamke;
Humne pucha Maa ye taklif toh tumhari be-buniyaad hai
Usne kaha na-samaj,"har Maa ka yahi sachha andaaz hai".Aaj har dard k liye tune khuda ko kasoorwaar tehraya
Kabhi khuda ka sukhr guzaar kar paaya;
Jisne Maa ko bina kisi ehsaan k duniya mei laaya
Aur Maa ko he hamara har dard ka hamdard banaya.
YOU ARE READING
It's All About Feeling
PoetryPoem is my life I feel I write Read few poem & correct me If you can do better because never feel shame to learn something from stranger. If I am good Do Speak Compliment is best step towards your ideology