Pain of Poor Child(Hindi)

4 1 0
                                    


Vyart hua jeevan garibi mei un saare bacho ka;
Bachpan guzrta chala majburi mei un saare bacho ka

Dard mehsus toh hua majdoori mei dhek kar
Humne socha;kaash hote yeh kisi guru ki tek par

Jhoote bartan uthate hue dheke un nanhe hatho ko
Kapde dhote hue dheke un nanhe hatho ko;
Jaha inhe milne chaiyye the khilone aur sikhsak ki taaliyan,
Afsos unhe mile logo k besumaar gandi gaaliyaan

Asaan hai hamara kehna desh azaad hai
Aman hai aur garibi be-buniyad hai;
Aksar nanhe sapne toot te  hai inke desh k tirange sadko pe bechte hue;
Na bike toh roti bhi nahi,khilone ki baat kaha se yeh kare

Jinhe khelne the khilone baali zindagi mei
Aaj vo bechte hai khilone
Do roti ki bandagi mei...

Haq hai bachpan inka
Haq kon sa insaan  dilaega;
Khud k khwab hai inko jeena
Yeh kon sikshak isse sikhaega

Yehi hamesa mene khud se kaha;
"Dua kar usse jyada tu daan kar
Kaam kar Usse jyada garibo ka haq aam kar;
Sham kar khudki,Koshish kar unki raat araam kar
Yeh kar tab khud ko ek baar salam kar"

"Ishq kar apno se inko bhi apne pyaar me shaamil kar
Madad kar inki bhot yea thodi kar
Aur jab kar
Toh khud ko ek baar fir salam kar"

It's All About FeelingWhere stories live. Discover now