Muskuraat hoto pe hai
Jaan yu nikalna baaki hai
Khushiya chehro pe hai
Abhi bhi dil ka dard kaafi hai...
Aansu k katre khushiyo mei tabdeel kr diye
Gamm ki gunjayish dil mei dafan kar diye
Jo na kiya dil k dard ko kamm karna
Yaado k sahare dil mei unki ghazal likh diye....Na likhna tha hume jaane walo ki haqiqat
Dil mei basaya jaane walo ki jarurat;
Chehre pe gamand yuhi dikhta raha
Aur Dil ka gamand chur hota raha;
Na hoti dil ko jaane walo ki jarurat
Dard kaafi hai bass dil tu ro matt....Logo k Dil mei aane walo ki bheed rehti hai
Hamare Dil mei roz dard ki ek nayi tasver rehti hai;
Na rehti toh bass un sabse dobara milne ki umeed
Umeed k tutne se roz ek nayi kahani sangeen hoti hai...Hum toh aise bikhre,Jese patt jadh mei patte hue ho bikhre
Hum toh aise gayab hue,jese kadi dhoop mei barish ki boonde;
Ab bass dil ka seene se nikalna baaki hai
Khushi aankho pe hai;Aur dil ka dard baaki hai.....Aaj pachtawa hai Dil ki ek nayi duniya banane mei
Kal takk gumaan tha logo ko apne dil mei basane mei;
Is tarah gaye ki shukriya bi na kiya dil ka
Jese rooh ne bina bataye kiya ho jaan ko alvida;
Ab bass unki yaado mei jeena kaafi hai
Khushi aankho pe hai;Aur Dil ka dard baaki hai.....
YOU ARE READING
It's All About Feeling
PoetryPoem is my life I feel I write Read few poem & correct me If you can do better because never feel shame to learn something from stranger. If I am good Do Speak Compliment is best step towards your ideology