Tut kar chaha tha tumko,
Ab bikhar gaye hai hum tut kar,
Na shikwa na shikayat tumse,
Bas bata do kya mila lut kar.
Kabhi fursat mile toh ye khat padhna,
Isme likha dard tumhe rulaega,
Ho gaye ab dur toh na milenge phir,
Ye pagal kisi aur ko bhi na chahega.
Tujhse mohabbat ki kaisi saza payi hai,
Bhigi aakhen bhi dua de rahi,
Aansu bhi hain aur hasi bhi,
Zindgi bhi maze le rahi.
Humne toh ki thi dil se dua,
Ki kabhi na chhute saath tera,
Par rab jo kahe wo bhi hai manzoor,
Akhir ispe kya hai zor mera.
Pr jaha ho tum waha yaad rakhna,
Bhul gaye toh bhi gam nahi,
Bas jab dekhoge taswir meri,
Toh keh dena ye tha wahi.
Na kahunga kuch aur,
Kyuki lafz nahi hai paas,
Par phir bhi tujhse milne ki,
Aaj bhi hai aas.
Bas itna keh du,
Ki na bhula paya hu tumko,
Ab toh har dua mein,
Bas yaad karenge tumko.
Raho khush tum sada,
Rabb se fariyaad karenge,
Yahi kaam har din,
Tere jaane ke baad karenge.
YOU ARE READING
A beautiful feeling called... LOVE...
PoetryA collection of poetry from the depth of my heart, expressing different shades of love...