Wo nanhi si pari kaha kho gayi,
jhuthi si duniya mein tabaah ho gayi,
Jo leti thi kilkariya aangan mein,
Wo massom si hasi fanaah ho gayi...
Zamane ki soch ne ruswa kia,
Kaha hai hum aur kaha ja rahe,
Kya soch ke hai mardo ko paida kia,
Kya hum iss zamane ko sikhla rahe...
Jo kehte hai ladki khilona hai,
Padega rona unhe hi ik din,
Jo daag lagae hai daaman pe,
Kaise chukaoge tum ab wo rinn...
Jiss desh mein devi ko pujte hai,
Waha ki hi beti kyu hai dard mein,
Na kar sakte hifasat toh chudiya pehno,
Bas itni hi gairat bachi mard mein...
Na kaho khud ko aadmi na insaan tum,
Jo sikha bhi na paye kya galat kya sahi,
Agar chalta raha aisa hi toh,
Iss desh mein beti bachegi nahi...
Sharam hai toh roko iss soch ko,
Dikha do ki tum bhi insaan ho,
Aur aurat nahi hai devi se kam,
Aur uss devi ko tum bhi samman do...
YOU ARE READING
A beautiful feeling called... LOVE...
ПоэзияA collection of poetry from the depth of my heart, expressing different shades of love...