Kabhi shehed toh kabhi neem ho tum
Kabhi amrit toh kabhi afeem ho tumKabhi na chute vo nasha ho tum
Bhula na sake vo dastan ho tumChu na sake vo aasman ho tum
Ped ki ghani ghata ho tumDil churane vali leher ho tum
Taazgi bhari seher ho tumAasu ho tum, muskurahat ho tum
Hamare dil pe hui ek aahat ho tumDil dhadkaane mein mahir ho tum
Meri har kavita mein zaahir ho tumKabhi na bhoolne vali yaad ho tum
Ek ansuni fariyaad ho tumDil mein samaya ek raaz ho tum
Meri dhadkano ka saaz ho tumMere dil se nikalti aawaaz ho tum
Mere sapno ka aagaz ho tumKabhi shehed toh kabhi neem ho tum
Kabhi amrit toh kabhi afeem ho tumArey buri ho to kya hua
Hume lagi ek aadat ho tumAn early morning jamming session with cchinu
आप पढ़ रहे हैं
Khayalon Ke Parindey
PoetryChalte chalte in raahon pe Kai khayal yu hi aate hai Kuch dil me bas jaate hai To kuch parindey ban ud jate hai Kai khayal hasate hai Kai khayal rulate hai Kuch baarish ki tarah mehkate hai To kuch bhavandar jaga jaate hai Jo khayal hame bikherte ha...